| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Voting Booths Let the world know your opinions by voting into Voting Booths |
| View Poll Results: emergency law in country, Is President doing good? | |||
| yes | | 5 | 33.33% |
| Not | | 10 | 66.67% |
| Voters: 15. You may not vote on this poll | |||
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Display Modes |
| ||||
| emergency law in country, Is President doing good? sab log vote dijiay ga |
| Sponsored Links |
| ||||
| yessssssssssss
__________________ ![]() RULES & DETAILS OF UNFORGETABLE http://forum.kalpoint.com/gupshup-fo...ml#post1349581 koolanni6@hotmail.com & koolanni6@yahoo.com |
| ||||
| ch, shujat says in today news papers k emergency sirf iss liay lagai gai k adalat musharaf ki sadarti ehliat k khilaf faisla karnay wali thi. iss say saf zahar hoa k haqoomat sup court ko nahin manti, kion tamam judges ko nazarband kia gaya, |
| |||
| yesssssssssssss................ |
| ||||
| Socho yar kaya ho raha hai Pakistan ki economic halat oh God |
| |||
| BEHKI BEHKI BATAIN AIK PAGAL PAKISTANI KI Tera pakistan hay na mera pakistan hay. yea uska pakistan hay jo sadaar-e-pakistan hay. 60 saaloo say pakistan ka khoon choosnay waalay 6 lakh bheriaay is mulk ka wajood taak khatam karkay daam laingay. 16 karor aawam aik taaraf zaati mufaad aik taraf. yea musharaf ko baadshah kio nahi bana daitay siyaah karay yea safeed aanday day yea bachay koi rooknay waala nahi ho ga president bhi Chief of army staff bhi aur chief justice bhi. sabsay pehlay pakistan ka matlab hay kay sabsay pehlay zaati mufaad aur meri kursi pehlay tu kisy ki samjh may nahi aaya, aub samajh may aaya. Aafreen hay sirf aik shakhs ki khaatir jaab zaroorat parti hay aain ki dhaajia ura di jaati hain. Aur salute hay army kay (****y say ziaada wafaadar) generaloo ko jinho nay sirf salute maarna seekha zehaan say soochna nai gheraatmandi ko topi may daal kar pehaan li hay. pakistan may emergency laagi hay yea media aur aadlia par shaab khoon maara gaaya hay. Aub humain samjh jaana chiay haawas iqtaadar kia hoti hay? Is mulk ka naam islami jamhoria pakistan kay bajai Azaad Khiaal Martial Law pakistan or musharafistan.is say samjh may yea aata hay haalaat kharaab sirf parweezi hukoomat ko tool dainay kay liay ki gai taakay AAQA (America) kay maaqaasid poray kiay jaa sakay khuch aur begunahoo ka khoon bhaaya ja sakay. Dukh hay hum 16 karor ki booli sirf 16 Afsaaro nay laagai hoi jo humaay kabhi america tu kabhi birtish ko baich rahay hay yea phir apni hi inteligence kay aaqobat khaanoo may takhta maashq banay howay hain aur kisy kay maa baap biwi bachoo ko koi haaq haasil nai unko pata bhi chalay wo zinda hay yea maar gai kisy judge nay pehli baar bera uthaaya tu agencies aur musharaf ko itna bura laga kay unko haata dia. Yea wahi media hay jisay mainay independance di hay baqool baadshah salaamat pakistan aur zairay lab apnay khilaaf likhnay kay liay nahi di aazadi judicary ko aazadi di hay maagar aapnay khilaaf faisloo kay liay nahi kia aandhair naagri aur choopat raaj hay jiskay gaalay may phaanda aagaya phaansi usko dainy hay aur agencies ko 90 Aaraab lootnay waaloo ko steel mill saastay daamo beechnay waaloo ko aawaam ko dhaakia gaalia dainay waalay minister ko khuch nai kehna. haam murda qoam hain koi baahar say nai aaiy ga baachaanay. America aub emergency kay nifaaz paar jhoota wawela karay ga 2 din pehlay General Faalan apni behaan ka rishta le kar aaya tha musharaf kay p***. Emergency lagnay kay baad condoleza rice taabsaray say inkaar china jaa kar tabsaara karo gi sab pata tha. Kia humaaray mulk may venezvella waalay haalaat paida ho rahay hain jaha CIA nay plotting ki Hugo chavez ko nikaal kar khud hookumat karnay ki maagar kia humaaray p*** wo media hay jo ultaay howay taakhtay ko seedha kaarday kia wo awaam hay jo maazooll aur arrested saadar ko waapis lay aiy maagar ham saawal yea hay ham laai kisko yeha tu haar shaakhs ka daaman phaata howa hay kahi laachari say kahi corruption say kiski jhooli may daalaay yea zimadaari. Mubaarak musharaf tumhay aub khiaal karna american agenday ki taakmeel may waziristaan saawat maata balochistan deeni madarsoo par qaatlay-aam aaraam say ho. Aub tu na koi aadliaa hay na aawaam na leader. sikaast khoorda fauj nay pehlay wazeeristan aur phir swaat may hatiaar daalnay kay baad aik baar phir apnay hi capital ko faatah karlia. 6 lakh ki fauj may aik shakhs bhi pakistan ka waafadaar nahi hay. may halaaf na lainay waalay judges ki aazmat ko salam karta ho aur uthaanay waaloo paar laanat bhaijta ho. aur jaab AAQA ko aitraaz nahi tu haam kon hotay hain taanqeed karnay walay pichli daafa AAQA nahi chaatay thay tu raat ko phone kardia is daafa chaatay hain tu daabi aawaz may muzaamat kar rahay hain aur imdaad jaari rahay gi ka naara. |
| |||
| Behki Behki Batain Aik Pagal Pakistani Ki BEHKI BEHKI BATAIN AIK PAGAL PAKISTANI KI Tera pakistan hay na mera pakistan hay. yea uska pakistan hay jo sadaar-e-pakistan hay. 60 saaloo say pakistan ka khoon choosnay waalay 6 lakh bheriaay is mulk ka wajood taak khatam karkay daam laingay. 16 karor aawam aik taaraf zaati mufaad aik taraf. yea musharaf ko baadshah kio nahi bana daitay siyaah karay yea safeed aanday day yea bachay koi rooknay waala nahi ho ga president bhi Chief of army staff bhi aur chief justice bhi. sabsay pehlay pakistan ka matlab hay kay sabsay pehlay zaati mufaad aur meri kursi pehlay tu kisy ki samjh may nahi aaya, aub samajh may aaya. Aafreen hay sirf aik shakhs ki khaatir jaab zaroorat parti hay aain ki dhaajia ura di jaati hain. Aur salute hay army kay (****y say ziaada wafaadar) generaloo ko jinho nay sirf salute maarna seekha zehaan say soochna nai gheraatmandi ko topi may daal kar pehaan li hay. pakistan may emergency laagi hay yea media aur aadlia par shaab khoon maara gaaya hay. Aub humain samjh jaana chiay haawas iqtaadar kia hoti hay? Is mulk ka naam islami jamhoria pakistan kay bajai Azaad Khiaal Martial Law pakistan or musharafistan.is say samjh may yea aata hay haalaat kharaab sirf parweezi hukoomat ko tool dainay kay liay ki gai taakay AAQA (America) kay maaqaasid poray kiay jaa sakay khuch aur begunahoo ka khoon bhaaya ja sakay. Dukh hay hum 16 karor ki booli sirf 16 Afsaaro nay laagai hoi jo humaay kabhi america tu kabhi birtish ko baich rahay hay yea phir apni hi inteligence kay aaqobat khaanoo may takhta maashq banay howay hain aur kisy kay maa baap biwi bachoo ko koi haaq haasil nai unko pata bhi chalay wo zinda hay yea maar gai kisy judge nay pehli baar bera uthaaya tu agencies aur musharaf ko itna bura laga kay unko haata dia. Yea wahi media hay jisay mainay independance di hay baqool baadshah salaamat pakistan aur zairay lab apnay khilaaf likhnay kay liay nahi di aazadi judicary ko aazadi di hay maagar aapnay khilaaf faisloo kay liay nahi kia aandhair naagri aur choopat raaj hay jiskay gaalay may phaanda aagaya phaansi usko dainy hay aur agencies ko 90 Aaraab lootnay waaloo ko steel mill saastay daamo beechnay waaloo ko aawaam ko dhaakia gaalia dainay waalay minister ko khuch nai kehna. haam murda qoam hain koi baahar say nai aaiy ga baachaanay. America aub emergency kay nifaaz paar jhoota wawela karay ga 2 din pehlay General Faalan apni behaan ka rishta le kar aaya tha musharaf kay p***. Emergency lagnay kay baad condoleza rice taabsaray say inkaar china jaa kar tabsaara karo gi sab pata tha. Kia humaaray mulk may venezvella waalay haalaat paida ho rahay hain jaha CIA nay plotting ki Hugo chavez ko nikaal kar khud hookumat karnay ki maagar kia humaaray p*** wo media hay jo ultaay howay taakhtay ko seedha kaarday kia wo awaam hay jo maazooll aur arrested saadar ko waapis lay aiy maagar ham saawal yea hay ham laai kisko yeha tu haar shaakhs ka daaman phaata howa hay kahi laachari say kahi corruption say kiski jhooli may daalaay yea zimadaari. Mubaarak musharaf tumhay aub khiaal karna american agenday ki taakmeel may waziristaan saawat maata balochistan deeni madarsoo par qaatlay-aam aaraam say ho. Aub tu na koi aadliaa hay na aawaam na leader. sikaast khoorda fauj nay pehlay wazeeristan aur phir swaat may hatiaar daalnay kay baad aik baar phir apnay hi capital ko faatah karlia. 6 lakh ki fauj may aik shakhs bhi pakistan ka waafadaar nahi hay. may halaaf na lainay waalay judges ki aazmat ko salam karta ho aur uthaanay waaloo paar laanat bhaijta ho. aur jaab AAQA ko aitraaz nahi tu haam kon hotay hain taanqeed karnay walay pichli daafa AAQA nahi chaatay thay tu raat ko phone kardia is daafa chaatay hain tu daabi aawaz may muzaamat kar rahay hain aur imdaad jaari rahay gi ka naara. |
| ||||
| kabal-e-gor batain hain |
| ||||
| me ko tu lagta hai k musharraf k ghar ka toilet kharab hai aur isliyai usko bari zoor ki emergency lagi hui :( |
| ||||
| ha ha ha ha,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, |
| ||||
| kahan politics kahan ham no comments
__________________ Dars Yeh Karbala Ka Hai K Khauff Sirf Khuda Ka Hai |
| ||||
| bilkul sahi kia hai PRESIDENT MUSSHHARAFF ne aur koi hal nahin hai is qaum ko seedha karne ka
__________________ ![]() Suno! Tum Azm Walay Ho Bala Ka Zabt Rakhtay Ho Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga Magar Dekho Jisay Tum Chhoray Jatay Ho Usay Tou Theek Se Shayad Bichharna Bhi Nahi Aata Suno! Tum Azam Walay Ho Usay Matt Chhor Ke Jao |
| ||||
| Qomain aisay seedhi bhi nahin hoa kartin, oor aik oor khabar suniay, dolat-e-mushtarqa ki membership say issi emergency k dramay ki waja say hi Pakistan ko out kar dia gaya hai, Is iqdam pay bhi shayad emergency ko sport karnay walay khush hon gay
__________________ ![]() ʪ ʪ ʪ ʪ ǟ ʪ ʪ ʪ Ȫ Ț ǐ ʪ ʪ Ȫ ʪ ʪ Ȫ ǐ Ȫ ʪ ʪ ǟ Ȫ Ȫ ǐ ʪ ʪ farhan_mughal_fsd85@yahoo or hotmail.com farhan85mughal@gmail.com |
| |||||
| Quote:
|
| |||||
| Quote:
kaim khud ba khud sedhi hoty chali jai gi...inshAllah.... |
| ||||
| Daulat e mushtarqa se cut nahin kia gaya hai siraf kuch arsay ke liye suspend kia gaya hai laikin ye us se to beherhaal behtar hai ke rozana jalsay jaloosoon main bomb dhamakay hotay thay aur itne begunah bechaaray aise hi maaray jaatay thay jin main se kuch ko ye bhi nahin pata hota tha ke wo us jalsay main karne kia aaye hue hain.
__________________ ![]() Suno! Tum Azm Walay Ho Bala Ka Zabt Rakhtay Ho Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga Magar Dekho Jisay Tum Chhoray Jatay Ho Usay Tou Theek Se Shayad Bichharna Bhi Nahi Aata Suno! Tum Azam Walay Ho Usay Matt Chhor Ke Jao |
| ||||
__________________ ![]() ʪ ʪ ʪ ʪ ǟ ʪ ʪ ʪ Ȫ Ț ǐ ʪ ʪ Ȫ ʪ ʪ Ȫ ǐ Ȫ ʪ ʪ ǟ Ȫ Ȫ ǐ ʪ ʪ farhan_mughal_fsd85@yahoo or hotmail.com farhan85mughal@gmail.com |
| ||||
| Kisi bhi masharay may emergency ka lagana sedha sedha jamhoriat ka katal hay. Emergency laganay say kia fark para tha ? Kia khodkush humalay ruk gay thay ? Kia dakaitee chorian, rap sub kuch tu aisay eh chul raha tha.. ? Phir kia fark para ? sirf itna kay ab adalat Musharaf kay kaboo may hay ? Musharaf jaisay chayay wo faisalay adalat say kerva saktay hain. Adalat ko kharid lia hay Musharaf nay. Jis mulk ke adalat biktee ho. Judge biktay hon, Kanoon biktay hon.... tu mera khayal hay Presidnet aur prime minister samait agar chief of army staff bhi bik jay to koi nahi bat to na hogee.... Afsoos to yahi hay kay Liaqut Ali Khan aur Quaid Azam kay bad bharion ke amad hoi jo hukumat ke gadi per baith ker charon taraf say noch noch ker khatay rahay aur abhi bhi jo jo arahay hain sub kha rahay hain..
__________________ ISHA ...Pakistani Cartoons, Have a fun ... Updated on 04-04-08 Updated ...Bollywood channel ... on 02-04-08 Updated ...Meeting with Pakistan's Players... Index ... (Updated on 04-04-08) ...Pakistan Tour ... Description of Pakistan Films 1950 era Updated on ..... 15-03-08.... ...English Learning Center ... State Verb .....(20-03-08) |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
|
|
| These are the 70 most used thread tags
Tag Cloud
|
| (r) acne scars anti virus bahar beauty tips bhala clean technology dosti ke sms dosti sms dosti sms in hindi dosti sms in urdu eid sms english eid sms forumpk free urdu poetry friendship iz friendship poetry funny eid sms funny islamic sms funny poetry funny ramadan sms funny sms funny urdu poetry gama green it greetings & quotes happy eid |