| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Rate Thread | Display Modes |
| ||||
| ******************************************* Ab KaY YooN DiL Ko SazA Di HamNaY Us Ki Hr BaT BhuLa Di HamNaY Ek eK PhOoL BoHaT Yad AyA ShAhK_e_gul Jab Who Jala Di HamNaY Aj Phir Yad Bohat AyA Who Aj PhiR UsKo Dua Di HamNaY Ko e To BaaT Hy UsMay FaraZ Har KhushI GiS Py Luta Di HamNaY:( ************************************** dukh dena to shayad us ki fitrat mein shamil hai mera yeh zarf hai ke usse sajdon mein bhi dua doon meri rooh tak to us ke hisaar mein hai mein is se barh kar usse aur kya doon? woh shakhs ke qadam qadam per karta raha munafiqat magar mein chahoon ke usse umer bhar ki wafa doon meri khushion ka qatil bhi wohi hai lekin dil nahin manta ke usse koi saza doon dharakta hai dil ban kar seene mein woh tum hi kaho kaise mein us ko bhula doon faaslon ne bhatka diya hai woh aesa to naa tha mere qareeb kabhi aaye to mohabbat ka pekar bana doon ************************************************** ******* Jaao kay mujay yakeen nahiN hai Tum ab kay gaey toH aaH sako gay Dehleez say ik qadam utar kar WoH raH ghuzar muntazir hai Jis par jo chala gaya hai QadmuN kat nishaaN bichha gaya hai Furqat kay diye jala gaya hai............. ************************************************** ********** Is Ishq Nay Berbaad Kiya Hai her Shaks Ko, Is Ishq Main Bikhernay Walay Tanha Tum he Nahi Kehnay Ko To Faqat aik Dil He Tota Hai, Apna Sub Kuch Lutanay Walay Tanha Tum He Nahi, Hasntey Huway Chehrey Hain Yahan Sub K, Derd Yun Chupanay Walay Tanha Tum He Nahi Shab_E_Tanhaie Ki Dastaan Aik See Hai Sub ki Andheroon Main Rehnay Walay Tanha Tum he Nahi Aisa Lagta Hay Aik Saza Ho Zindagi Meri, Is Qaid Main Rehnay Walay Tanha Tum He Nahi, Is Sheher Main Aur Bhe Dewanay Hain SAHIL... DER DER Bhatakney Walau Tanha Tum He Nahi... ************************************************** ******* Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan ............. Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Uusay Jeenay Ki Too Duaa Na Day, Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day, Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day, Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day. ************************************************** *************************** "Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai... MAin ney kaha sitaron ka koi shumar nahin Us ney kaha k kon tumhin hai bohat aziz ? MAin ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai Us ney kaha Kon sa Tofah tumhin main doon MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz... Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai...... Us ney kaha senkron gham zindagi main hain Main ney kaha gham nahin, jab ghamgasar saath hai Us ney kaha saath kahan tak nibhaon gey...??? Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai...... Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah Main ney kaha, naam mera Eitbaar hai....!!! ************************************************** ******************* mujhay ek baat kehni thi, tumhain itna bataana tha ke meri zindagi ho tum , tumhain hi sochta hon main buhat masrof rehta hon , buhat say kaam hain mujh ko magar tum say nahin ghafil,tumhain hi sochta hon main buhat say log miltay thay , magar jab say tumhain dekha na janay kya hua mujh ko , tumhain hi soochta hoon main mujhay auroon say kya lena, mera logoon say kya rishta meri dunya ho tum hi tum , tumhain hi soochta hoon main nigahoon main basi ho tum , khayaloon main samai ho sukoon-e-dil ho tum mera, tumhian hi soochta hoon main buhat mushkil hai ye jeena, tumharay bin mera rehna kay meri saans main ho tum , tumhain hi sochta hon main kabhi tanhai main betho, agar tanhai main tum ho tou itna yaad kar lena , tumhain hi soochta hoon main ************************************************** ******************* Phool hi phool khilata hai sar-e-shaakh-e-wajood Aur khushboo ko musalsal nahi hone deta Aalam-e-zaat main darwaish bana deta hai Ishq insaan ko pagal nahi hone deta ************************************************** ****** koi yaad bhi usko yaad nahi koi baat bhi usko yaad nahi ik shakhs ney usko chaha tha yeh zaat bhi usko yaad nahi jub shab ki bijli chamki thi aur badal toot k barsa tha hum dono jiss main bheegey they woh barsaat bhi suko yaad nahi woh sahil darya phool hawa woh wada saath nibhaney ka aur shab bhar chand ko daikha tha Woh raat bhi usko yaad nahi wohg kehta tha main sunta tha Un lakhon main koi baat bhbi usko yaad nahi ************************************************** ************ friend_love_life_110@hotmail.com ![]()
__________________ friend_love_life_110@hotmail.com apne haatho se u chehre ko chupate q ho, mujh se sharmate ho tou saamne atay q ho.. |
| Sponsored Links |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | Rate This Thread |
|
|
Similar Threads | ||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Poetry Competition | Amial Khan | Bait Bazi | 17 | 30-08-2008 02:10 PM |
| Poetry Talk SHalk....................aaiay janab | Farhanmughal | Ashaar - Misc | 127 | 01-12-2007 01:52 PM |
| Poetry Competition (September ) | Amial Khan | Old Competitions | 21 | 14-09-2007 09:27 AM |
| Nice Chat For Nice People | DesichatpK | Science & Technology News and Discussion | 1 | 20-08-2007 05:24 PM |
| Register | FAQ | Members List | Calendar | Search | Free SMS | Today's Posts | Mark Forums Read |