Ussy Kehna! Bikhar rahi hai meri zaat ussy kehna
Kahein mile woh tu yeh baat Ussy kehna
Kehna ussy bin Usskay din nahi kat-ta
Sisak ke kat ti hai har raat Ussy kehna
Woh saath tha tu zamana tha hamsfar mera,
Magar ab koi nahi saath mery Ussy kehna
Ganwa ke pyaar mein ham tu khud ko hi betha gaye,
Kare hain ishq ke lamhaat osey keh dena,
Woh jis ko sunn ke palat aaye meri duniya mein,
Hawaao aise koi baat Ussy kehna
Agar woh phir bhi naa loute tu mehrbaan kasid,
Hamaari zeest ke halaat Ussy kehna
Har aik jeet os ke naam kar raha hoon main,
Main mantaa hoon apni maat osey keh dena,
Osey pukaaron yaa khud puhanch jaaon os ke paas,
Rahay bas mein kab yah halaat Ussy kehna
Baras baras ke nigahein bhi ho gayein hain pathar,
Parri hai ghum ki ajab raat Ussy kehna
Woh din kaha gaye zamaanay ki khushboan hoon mari,
Hain ab tu khaali mere haath Ussy kehna...
GOD Bless U!
***\\\Angel’s Doll\\\***
__________________ Take my heart back !!!
Steal back my memories... Angel's Doll!!! |