Wafa mein ab yeh hunar... Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..
Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..
Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?
Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai
Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh
Kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai
woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya
Khayaal tha yeh ussay sharamsaar karna hai
tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay
Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai
Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain
Kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai
Khda khabar yeah koi zid keh shouq hai mohsin
Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai...
GOD Bless U!
***\\\Angel’s Doll\\\***
__________________ Take my heart back !!!
Steal back my memories... Angel's Doll!!! |