| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Nazam Below you will find a list of discussions in the Nazam forums at the Urdu Poetry/Shayari Forum. Ye Bazm urdu community members kay khobsurat aur umdah NazmouN kay intekhabat se sajai gai hay jis main app urdu k mashoor aur maroof shuara kay kalam na sirf parh sakte hain balke app bhi apne khobsurat ghazloon k intekhabat dosre members k sath share kar sakte hain. Find here the Huge collection of Urdu Nazms, all time best Nazms from all time best poets, share your most favorite Nazms of your most favorite poets. |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Rate Thread | Display Modes |
| ||||
| WaQt kisi ka dost nehi ajh nehi kal boley Ordh k kajal likhney waley apna daaman dholey YA mojh e beiTaab ki surat sahil say takraao Ya chup chaap tammasha dekho jo hona hai holey Aur kia tha apney palley jis par karty maan Paloon palkoon deep jaala kar heerey moti roley Ess say bhar kar ess dunia mein kon bhala nadaan Jo apno say naata jorey apni boli boley Kis ko apna maana hum ney kis pe taan maan haarey BeGaani anjaan nazar ney kia kia pardey kholey Ukhra ukhra lehjaa jin ka, teekhey jin kay boll Jis mein doobi baat ounhe ki kaanon mein rass Ghooley Chitwan ko mujhrim gardaanon ya ankhon ka dosh Dil mein apne choor tha sathi hum kab munh say boley Apne ansoo apni aankhain apne dil ka chaao Apney mooti maala Fursat ho toh Peeroley
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Muhabbaton main har ek lamha Wisaal, hoga yeh tay huwa tha Bichar k bhi ek dusrey ka khayal hoga, ye tay huwa tha Yeh kya k saanse ukhar gaii hain Safar k Aghaaz se Yaaron Koi bhi thak kar na raastey main nidhaal hoga, yeh tay huwa tha Wahi huwa na... badaltey mOsamon main tumney hamko bhula dia koi bhi rut ho, na Chahaton ko zawal hoga, yeh tay huwa tha Juda ho tou kya huwa Phir bhi tou dastoor -e- Zindagi hai Judaiyon main na Qurbaton ka Malal hoga, yeh tay huwa tha
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| جو چل سکو تو کوئی ایسی چال چل جانا مجھے گماں بھی نہ ہو اور تم بدل جانا یہ شعلگی ہو بدن کی تو کیا کیا جائے سو لازمی تھا ترے پیرہن کا جل جانا تمہیں کرو کوئی درماں ، یہ وقت آپہنچا کہ اب تو چارہ گروں کو بھی ہاتھ مل جانا ابھی ابھی تو جدائی کی شام آئی تھی ہمیں عجیب لگا زندگی کا ڈھل جانا سجی سجائی ہوئی موت زندگی تو نہیں مورخوں نے مقابر کو بھی محل جانا یہ کیا کہ تو بھی اسی ساعتِ زوال میں ہے کہ جس طرح ہے سبھی سورجوں کو ڈھل جانا ہر ایک عشق کے بعد اور اس کے عشق کے بعد فراز اتنا بھی آساں نہ تھا سنبھل جانا
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Bhari mehfil mein janey kiun main tanhaai say darti hoon Muhaley mein agar ghunjey toh shehnaai say darti hoon FaQt apneyy siwah kuch bhi nazar mujh ko nehi aaye KHUDA raa maaf karna, Aeisi binaai say darti hoon Khudhe ko aql e gull kehna agar hai Gur zahanat ka Toh pagli he bhali mein aeisi danaai say darti hoon Yahaan toh sach biyaani bhi bebaaki kay zeemrey mein Zamaney say nehi main apni ruswai say darti hoon Kabhi toh jee mein aata hai k sab marham khurach daalon MAgar main kia karoon zakhmoon ki ghehraai say darti hoon Ounhain zidd the k Lab khoolun zubaan say apney kuch bolun Nehi woh jantey k main toh Goyaai say darti hoon Jo chahoon toh mazah oun ko chakha daloon aadawat ka Magar rooz e mehshar jo ho gi shunwaai say darti hoon
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Saamney kuch bhi nehi zooQ e safar k aagey Silsalaa tera milla Qalb o jigar k aagey Aik main he nehi dunia kay sabhi ShaahGhada Sar jhukaatey hian aadab say tery DarR k aagey Gar zamaaney ko tabaahe say bachana ho toh Khull kay aana he parey ga tumhain shaar k aagey Log sotey rehy Bassti mein sakoon say lekin Hashaar barpaa tha faQat mery he ghar kay aagey Ranjh o ghaam NAz zamaney kay bohat thay lekin Koi thehraa he nehi Aazam e zafar kay aagey
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Jab bhi un ka khiyal aata hai Lay k ranjh o maalal aata hai Rah e Ulfat kathin hai itni k Jis koo dekhoo nidhaal aata hai Oun kay teivar badal jatey hain Lab pe jab bhi sawal aata hai Kirchi kirchi diloon ko kartey hain Oun ko bass yeh kaamaal aata hai Log Ujh e Falak ko *****ey hain Hum pe he kiun zawaal aata hai
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Raat kat ti rahi chand dhalta raha Aatish ye hijr mein koi jalta raha Ghar ki tanhaiyan mujhko dasti rahi Koi bechain karwat badalta raha Aason–e-umeed ke shama roshan rahi Ghar ki dahleez ko koi khatkata raha Raat bhar chandni gungunati rahi Raat bhar koi tanha sisakta raha Aashq palko par aakar bhikarte gaye Naam lab par kisi ka larazta raha Aaj phir raat basar hogay Aaj phir koi khud se ulajhta raha
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| jis ghari chaand namoodar hoa kerta hai... kiya tujhe ae dil beemar hoa kerta hai... log waisay hi nahin baatein banaya kerte... kuchh na kuchh to pas-e-deewar hoa kerta hai... haath apnon ka hoa kerta hai aksar shamil... pusht se jab kabhi waar hoa kerta hai... umar ka aakhri hissa ho kisi manzil per... maut se barsar-e-pekaar hoa kerta hai... jis ko mein hijar se tashbee diya kerta hoon... jaan leva wohi azaar hoa kerta hai... har cheez ki qeemat hai yaqeenan koi... har zaroorat ka khareedar hoa kerta hai... faisla qat-e-taaluq karo ya na karo... pyaar to bas aik baar hoa kerta hai...
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Wafa ka rishta jahaan oun say estawar huwa Qarar yoon bhi na tha Aur be Qarar kiya Woh duor reh kar bhi mere he dil kay pass raha Suunah khud ous ki zubaan say toh eitbaar huwa tumharey shehar mein aa kar milli woh ruswaai Jo aik jaama tha Ezaat ka taar taar huwa Woh aik sholaa biyaan BarQ si zubaan jeisa Bisaat e fikr pe aaya toh khaksaar huwa Esshe say mujh ko shikayat hai bass zamaney mein Jo mera ho kay bhi mera Na raaz dar huwa Kisey parakh hai yahaan dil kay aabghinoon ki Har Qatraa yahaan jazzb e raigzaar huwa Humarey dil mein hain manzar haazar ghatti kay Kisi ney shook say dekha toh Laala Zaar huwa
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Gulon mein rang bhare, baad-e-naubahaar chale Chale bhi aao ki gulshan ka karobaar chale Qaffas udaas hai yaro, sabaa se kuch to kaho Kahin to bahr-e-Khuda aaj zikr-e-yaar chale Kabhi to subah tere kunj-e-lab se ho aaghaz Kabhi to shab sar-e-kaakul se mushkabaar chale Bara hai dard ka rishta, ye dil gharib sahi Tumhare naam pe aayenge gham_gusaar chale Jo ham pe guzri so guzari magar shab-e hijraan Hamare ashk teri aaqabat sanwaar chale Huzoor-e-yaar hui daftar-e-junun ki talab Girah mein leke garebaan kaa taar taar chale Maqaam 'Faiz' koi raah mein jacha hi nahin Jo kuu-e-yaar se nikle to suu-e-daar chale
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| na shikayatain na sawal hai koi aasra na malal hai teri bayrukhi bhi kamal thi meray zabt ko bhi kamal hai meri chahatoon ka sila na day meray hoslay ki tu dad day na khuda say tujh ko talab kia na hi tujh say koi sawal hai bary rakh rakhaoo say ishq main meri wahshatoon nay guzar di tera naam hoo tera zikar hoo meri ankh naam hoo majal hai tu samandaroon ki misal day mujhy koh-saar passand hain tujhay tund khoi pay naaz hai mujhy khamoshi main jamal hai meri sooch nay meri chah nay jisy harf harf raqam kia wohi naam likhna azzab hai wohi intesaab mahal hai
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| us ko bhi bachana hai khud ko bhi bachana hai aik simt hai zaat apni aik simt zamana hai hum se na koi uljhe hum log hain deewane andhi se hamen zid hai aik deep jalana hai hum dono ko banta hai darya ke kinaron ne is simt bhi rehna hai us simt bhi jana hai ye ishq to fitrat hai kese ho juda mujh se ye rog hai matti ka aur sadiyon purana hai basti hi chupa li phir us shakhs ne hathon mein itna jo kaha main ne aik shahar basana hai aik ankh hai sehra to aik ankh samandar hai kya janye is dil mein kis kis ko samana hai kehne ko bohat kuch hai, ai saad magar hum ne aik wada nibhana hai aik dard chupna hai
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Palkon pe aansoon ko sajaya na jaa saka.. Us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka.. Zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera.. Ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka.. Jab teri yaad aayi to koshish k bawajood.. Aankhon mein aansoon ko chupaya na jaa saka.. Kuch log zindagi mein aise bhi aaye hain.. Jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka.. Bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho.. Hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka.. Woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar.. Chehre ka rang us se chupaya na jaa saka.. Tanhaiyon ki aag mein hum jal gaye.. Magar faasla ana ka mitaya na jaa saka...
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| badalate vaqt kaa ik sil_silaa saa lagataa hai ke jab bhii dekho use duusaraa-saa lagataa hai tumhaaraa husn kisii aadamii kaa husn nahii.n kisii buzurg kii sachchii duaa saa lagataa hai terii nigaah ko tamiiz rang-o-nuur kahaa.N mujhe to Khuun bhii rang-e-hinaa saa lagataa hai damaaG-o-dil ho.n agar mutma_ii.n to chhaao.n hai dhuup thape.Daa luu kaa bhii ThanDii havaa saa lagataa hai vo chhat pe aa gayaa betaab ho ke aaKhir Khudaa bhii aaj shariik-e-duaa saa lagataa hai tumhaaraa haath jo aayaa hai haath me.n mere ab aitabaar kaa mausam haraa-saa lagataa hai nikal ke dekho kabhii nafarato.n ke pinjare se tamaam shahar kaa "Manzar" khulaa saa lagataa hai
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Apne ehsas se choo kr mujhe sandal krdo, Mein k saddion se adhora hoon mukamal krdo Apni hatheli ko meray piyar ki mehndi se rango, Apni ankho me meray naam ka kajal krdo Dhoop hi dhoop ho toot kr barso mujh per, Is kadr barso k meri rooh me jal thal krdo Teray saee mein meray khab dehak uthay gay, Meray chehray pe mehakta howa anchal krdo
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| محبت کو بھلانا چاہیے تھا مجھے جی کر دکھانا چاہیے تھا مجھے تو ساتھ اس کا بھی بہت تھا اسے سارا زمانہ چاہیے تھا پرندہ اس لیے بے کل تھا اتنا اسے بھی آشیانہ چاہیے تھا تم اُس کے بن ادھورے ہو گئے ہو تمہیں اُس کو بتانا چاہیے تھا بہت پھرتا رہا تھا در بدر میں مجھے بھی اک ٹھکانہ چاہیے تھا چراغاں ہو رہا تھا شہر بھر میں ہمیں بھی دل جلانا چاہیے تھ
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Bachapan k dukh kitnay achay hotey thay. Tab tu sirf khilonay tuta kertay thay. Wo khushian b janay kaisi khushian thin. Titli k par noch kar uchala kartay thay. Chotay thay tow makr-o-faraib b chotay thay Daana daal kar chiriyan pakra kertay thay. Paon maar kar barish k paani mein Apni nao aap daboyya kertay thay. Apne jal jane ka b hsas na tha Jaltay huey sholon ko chera karte thay. Ab tu ik ansu b ruswa kar deta hai BACHAPAN mein ji bhar k roya karte thay.
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Tum meri Aankh k tawar na bhula pao ge An kahi bat ko samjho ge to yaad aaon ga Hum ne Khushiyon ki tarha dukh bhi ikathey dekhy Safa -e- Zeest ko Palto ge to yaad aaon ga Is judai mein tum andar se bikhar jao ge kisi Mazoor ko dekho ge to yaad aaon ga isi Andaz mein hotey thay hum se Mukatib Khat kisi or ko likho ge to yaad aaon ga Meri Khushboo Tumhe Khole gi Gulabon ki tarha Tum agar Khud na bolo ge to yaad aaon ga Sard raton k Mehaktey hue Sanaton mein Jab kisi phool ko Choomo ge to yaad aaon ga Shal pehnaye ga kon ab December mein Tumhe Barishon mein kabhi Bhigo ge to yaad aaon ga Aaj to Mehfil-e-Yara pe ho Magroor bohat Jab kabhi toot k bikhro ge to Yaad aaon ga Ab to ye Aashak mein Honto se Chura leta hun Hath se Khud inhe Pooncho ge to yaad aaon ga Hadisey aayein ge jeevan mein to Tum ho ge Nidhal kisi diwar ko thamo ge to yaad aaon ga Is mein Shamil hai mere Bakhat ki Tareeki bhi Tum jo Siyah rang Pehno ge to Yaad aaon ga
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Phool ki chahat mein kanata chubha liya humne Phool ko to pa na sake, dil ka he dard liya humne Suna tha logon se ki chand ko pana assan nahin Ab her tarah se koshish karke dekh liya humne Din raat aik kar diya lekin kamayabi nahin milee Khushi to mil na saki ghum ko apana liya humne Shama jalti rahi hum jalte rahe paravana ki tarah Jis ke chahat mein zindagi barabad kar liya humne Verma ye dunia hai rang birange phoolon ke tarah Dunia ko samajh na sake khud ko mita liya humne
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Kahin Tum Apni qismat Ka Likha Tabdeel Kar Letay To Shaed Hum Bhi Apna Rasta Tabdeel Kar Letay Agar Hum Waqiaa Kam Hoslaa Hotay Muhabbat Mein Marz Bharne Se Pehlay Dawa Tabdeel Kar Letay Tumharay Sath Chalne Per Jo Dil Raazi Nahin Hota Bohat Pehlay Hum Apna Faisala Tabdeel Kar Letay Tumhari Tarah Jeenay Ka Hunar Aata to Phir Shayad Makaan Apna wohi Rakhtay Pata Tabdeel Kar Letay Judaai Bhi Na Hoti Zindagi Bhi Sahal Ho Jati Jo Ek Dusray Se Masla Tabdeel Kar Letay Bohat Dundlaa Gaya Hai Yaadoon Ki Rim Jhim Mein Dil Saada Woh Mil Jata To Hum Bhi Aaina Tabdeel Kar Letay
__________________ ![]() ![]() ![]() Last edited by ~pari~; 17-08-2008 at 09:33 AM. |
![]() |
| Bookmarks |