| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Nazam Below you will find a list of discussions in the Nazam forums at the Urdu Poetry/Shayari Forum. Ye Bazm urdu community members kay khobsurat aur umdah NazmouN kay intekhabat se sajai gai hay jis main app urdu k mashoor aur maroof shuara kay kalam na sirf parh sakte hain balke app bhi apne khobsurat ghazloon k intekhabat dosre members k sath share kar sakte hain. Find here the Huge collection of Urdu Nazms, all time best Nazms from all time best poets, share your most favorite Nazms of your most favorite poets. |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Rate Thread | Display Modes |
| ||||
| ham tujh se kis hawas ki falak justaju karen dil hi nahin raha hai jo kuch arazu karen mit jayen ek an main kasrat namayan ham aine k samne a kar jo hu karen tar-damani pe sheikh hamari na jaio daman nichor den to farishte wazu karen sar ta qadam zaban hai jun shama go k ham par ye kahan majal jo kuch guftagu karen har chand aina hun par itna na qabul mun pher le wo jiske mujhe ru-ba-ru karen na gul ko hai sabt na ham ko aitabar kis bat par chaman hawas-e-rang-o-bu karen hai apni ye salah k sab zahidan-e-shahar ai "Dard" a ke bet-e-dast-e-sabu karen
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Kisi ki aas ban kar phir isse tanha nahi karna Bala kuch bi pare karna magar aisa nahi karna Khabir kia kis ghari wo raakh kar dale tere sapne Yun hi jalte shararon se kabi khela nahi karna Na ho aisa ke yadein Rooh ka Sartan ban jaye Kabi had se ziyaada tum usse socha nahi karna Mohabat mian sikayat ka kaha dastoor hota hai Gila kar ke mohabat ko kabi ruswa nahi karna Wafain Dar haqeeqat be panah Anmol hoti hai Kabi apni wafaon ka sila maanga nahi kar Kahi aisa na ho wo apni manzil ka nishaan ko de Kisi ka sath raste mian kabi chora nahi karna
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Shab dali chand bi nikle tu sahi Dard ju dil main hai chamke tu sahi Sab se hat kar hi manana hai usse Ham se aik baar wo roote tu sahi Dil issi waqt sambal jaye ga Dil ahwaal wo pouche tu sahi Is ki nafrat bi muhabbat ho gi Mere bare main wo souche tu sahi Is ke qadmon main bicha do aankhen Meri basti se wo guzre tu sahi
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta Manderon se cheragon ko bujha kar much nahi milta Koi aik aadh sapna tu phir acha lagta hai Hazaron khawab aankhon main saaja kar kuch nahi milta Sukoon in ko nahi milta kabi pardais ja kar bi Jinhe apne watan se del laga kar kuch nahi milta Isse kehna ke palkon par na tanke khuwab ki jalar Samandar ke kinare ghar bana kar kuch nahi milta Ye acha hai ke aapas ke bharam na tootne paye Kabi bi doston ko aazma kar kuch nahi milta Fiqat tum se hi karta ho main sari raaz ki batein Har aik ko dastan-e-dil suna kar kuch nahi milta Amal ki sokhti aag main zara sa khoon shamil kar Mere hamdam fiqat batein bana kar kuch nahi milta Isse main piyaar karta ho tu muje ko chain aata hai WO kehta hai ke usse muje ko sata kar kuch nahi milta Muje aksar sitaron se yahi aawaz aati hai Kisi ke hijar main neendein ganwa kar kuch nahi milta Jigar ho jaye ga chalni ye aankhen khoon roye gi Wasi be-faiz logo se nibha kar kuch nahi milta
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Teri aankhon ka ye kajal bara anmol lagta hai... Teri zulf ka ye badal bara anmol lagta hai... Bara masoom sa hai ye tere chehre ka bhola pan... Tera wo shokh chanchal dil bara anmol lagta hai... Tere pairon ki wo payal tere hathon ka wo kangan... Wo jhumka tere kaano ka bara anmol lagta hai... Jo milte ho mujhe raahon mey... Zara sa saath ka wo pal bara anmol lagta hai.. Wo kagaz par tumhara naam likhna aur mita dena... Mujhe khud ye pagal pan bara anmol lagta hai...
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Aandheri raat main rehte tu kitna acha tha Ham apni zaat main rehte tu kitna acha tha Dukhon ne bant liya hai tumhare bad hame Tumhare hath main rehte tu kitna acha tha Mange tu agar jaan b tu hans ke tuje deide Teri tu koi baat bi taali nahi jati Maloom hame bi hai buhat se tere qisse Har baat teri ham se uchali nahi jati Hamraah tere phool khilati thi ju dil main Ab sham wahi dard se khali nahi jati Ham jaan se jayen ge tabi baat bane gi Tum se tu koi raah nikali nahi jati
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Muje ko bi khuaff-e-tarq-e-taluq ne a liya Wo bi issi kiyal se orro ki ho gayi Gham de is seel ko kabi bi na samaj paye gi Tu mere dil ko kabi bi na samaje paye gi Muje ko tasleem teri saari zahanat lekin Muje se Jahil ko kabi bi na samaje paye gi Isse kaho ke sitam main kuch kami kar de Ke zulam tore wale bi soog karte hai Tum apne dukh pe akele nahi ho afsorda Tumhare chahne wale bi soog karte hai
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Jahan phoolon ka khilna tha wahi khilte tu acha tha Tumhi ko ham ne chaha tha tuhme milte tu acha tha Koi aa kar hame pouche tuhme kaise bhulaya tha Tumhare khat ko aashkon se shab-e-gham main jalaya tha Hazaron gham aise hai agar silte tu acha tha Tumhi ko ham ne chaha tha tumhi milte tu ahca tha Tumhe jitna bhulaya hai tumhari yaad aayi hai Bahaar-e-noo ju aayi hai wahi khusboon layi hai Tumhare lab meri khatir agar hilte tu kitna acha tha Tumhi ko ham ne chaha tha Mila hai lutf bi ham ko haseen yaadon ki jilmil main Kati hai zindagi tum bin magar itni si hai dil main Agar aaye hote tu acha tha agar milte tu acha tha Tumhi ko ham ne chaha tha tumhi milte tu acha tha
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Aarzon ke shokh rango me bikhar jane ke bad Yaad ayeen ge tumhe ye din guzar jaane ke bad Muskoraati aankhon se tumko kahon ga Alvidah Aankh main aanso sajaon ga main ghar jaane ke bad Behissi ke is bayanat doar main A Doston Yaad aaye ga kaise ab kon mar jaane ke bad Aab koi insaan dharti pe nazar aata nahi Kho gaya hai ye khala main chand par jaane ke bad Waqt le kar aa gaya hai phir puraani uljhane Meri qismat ki zia zulfe sanwar jaane ke bad
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Wo ana parast hi sahi us ki baton ma iqrar bhi tha Us ka chubtay howe lehge ma chuppa pyar bhi tha Wo muje likhta ha ka muntazir na rahoon lakin Us ki tahreer ma sadioon ka intezar bhi tha Wo kehta ha ka maat rotho manana nahi ata Meri narazgi pa lakin wp beqrar bhi tha Main shaid phir na likhta usay apni khabr Dosti ka bharam rakhna tha kuch dil ka ikhtiar bhi tha Shayed yeah hi us ka andaz e mohabbat ho Wo mera hum dumb hi tha aur sitam shuaar bhi tha
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Ek Tera Ehsas Hai Jo Her Waqat Meray Saath Hai Ik Teri Yaad Hai Jo Din Raat Mujhey Terpaati Hai Ik Umeed Hai Teray Aany Ki Apna Tujhey Banany Ki Na Chain Hai Na Sakoon Hai Yeh Kesa Mera Hall Hai Raaten Ho Gai Hain Itni Lambi Jo Kaatey Nahin Kattin Na Bhook Hai Na Piyas Hai Na Koi Aas Hai Na Koi Paas Hai Bas Ik Tera Ehsas Hai Jo Her Waqat Meray Saath Hai...!
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Jiss Ney Dil Tor Diya Uss Ka Tazkira Kiya Karain, Joe Hum Say Rotth Gaya Uss Say Ab Mila Kiya Karain. Saath Detay Hain Lubb Na Dil Tumhaari Tarha, Tumhi Kaho Ke Rab Say Hum Ab Dua Kiya Karain. Jeetay Ji Jiss Nay Hamain Mar Diya Duniya Main, Uss Ko Phir Bhi Chahain, Iqrar-E-Wafa Kiya Karain. Woh Nahi Meray Liyay Aaj Main Nay Jaan Liyaa, Rashk Batlao Zindagi Pe Ay Duniya Kiya Karain. Jhoot Ka Le Ke Sahara Na Jiya Jaay Ga, Ay Bewafa Teray Binn Ab Jiya Kiya Karain. Laut Jaay Ga Meray Baad Tera Husn Sanam, Joe Khatm Tujh Say Apna Silsila Kiya Karain. Woh Laut Aay Bhi Toe Mujh Ko Farq Kiya Hoga, Ke Mussawir Say Haarha Koi Shikwa Kiya Karain
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya Sab beeti hui baatein bhula di hum ne Ab Dil main maazi basana chor diya Kaanton se bhar dete hain log daaman Hum ne Aangan main Phool khilana hi chor diya Kabhi na maangen ge kisi se bheek Mohabbat ki Is hi liye hum ne Pyaar karna hi chor diya
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| ai maut! unhein bhulaaye zamaane guzar gaye aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye o jaane vaale aa ki tere intazaar mein raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye kya laayaq-e-sitam bhii nahin ab main doston patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye jaane bahaar phuul nahin aadmi hun main aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Khushgawaar mausam ki Khushgawaar yaadain hain Tere sang beeti hui Beshumaar shaamein hain Waqt urta pancchi hai haath mein nahin aata Khushgawaar lamhon ki Beqarar yaadein hain Din ki roshni hogi Subah hum bhi dekhenge Abhi meri aankhon mein
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Kon hai badshah gaada hai kon Kis ko hai kia khabar ki kia hai kon Sunte aaye hai is ke kooche main Ho gaya hai qatal par howa hai kon Soch ki bi koi had hogi Aur is had se aura hai kon Ban ke dharkan wo sath rehta hai Mere dil se bala juda hai kon Apni tanhayon ke jangle main Piyaar se yun bula raha hai kon Kio na manjdhar ki taraf jaye Kaisi kashti hai Na-khuda hai kon Chand kis simat se nikal aaya Dekhye tu wo Aa raha hai kon
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Humko kiske gam ne mara yeh kahani phir sahi kisne tora dil hamara yeh kahani phir sahi Dil ke lutne ka sabab pucho na sabke samne naam aayega tumhara yeh kahani phir sahi Nafrton ke teer kha kar doston ke shahar mein humne kis kis ko pukara yeh kahani phir sahi Kya batayen pyar ki bazi wafa ki raah mein kaun jita kaun hara yeh kahni phir sahi
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Meri aankhon ko aankhon ka sahara kon de ga samandar ko samandar main kinara kon de ga meray chehray ko chehra kab inayat kar rahay ho tumhain meray siwa chehra tumhara kon de ga mohabbat neela mausum ban ke aa jaey gi ik din gulabi titliyon ko phir sahara kon de ga meri awaz main awaz kis ki goonjti hai meray geeton ko geeton ka ishra kon de ga baddun main aik sehra jal raha hai bujh raha hai meray daryaoon ko qaisar kinara kon de ga
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| "Main so’un to khawabon main ho tum ARZOO Main jagoon to mere khyalon main ho tum ARZOO Main nazar uthaoon to meri ankhon main ho tum ARZOO Main chaloon to meri manzil ho tum ARZOO Main likhoon to mera qalam ho tum ARZOO Main parhoon to meri ghazal ho tum ARZOO Main gungunaoon to mera geet ho tum ARZOO Main sunaoon to meri dastaan ho tum ARZOO Main dhoop main hoon to mera saibaan ho tum ARZOO Main raat main hoon to meri sahar ho tum ARZOO Main sochoon to mera khayaal ho tum ARZOO Main mangoon to meri DUA ho tum ARZOO
__________________ ![]() ![]() ![]() |
| ||||
| Dar-o-baam sab ne saja liay Sabhi roshni main naha liay Meri ungliyan bhi jhulas gaeen Mager ik charagh jala nahi... Gham-e-zindagi teri rah main Shab-e-arzu teri chah main Jo ujer gaya woh basa nahi Jo bicher gaya woh mila nahi... Pas-e-karvan sar-e-rahguzer Main shakista paa hoon to isliay Ke qadam to sab ne mila liay Mera dil kisi se mila nahi... Mera hamsafar jo ajeeb hai To ajeeb ter hoon main aap bhi Mujhe manzilon ki khaber nahi Usay raston ka pata nahi...
__________________ ![]() ![]() ![]() |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | Rate This Thread |
|