| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Ghazal Below you will find a list of discussions in the Ghazal forums at the Urdu Poetry/Shayari Forum. Ye bazm urdu ghazalon ke khoobsurat aur behtareen intikhabaat se sajayi gayi hai.Yahan aap mashour-o-maroof shaur�a kay kalaam ka lutf utha saktay hain. Here you will find a huge collection of ghazals from the all time famous and best poets.iss kay sath sath aap yahan apne pasandeeda shaur�a ki ghazlain doosre ba zauq members ke sath share kar sakte hain. |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Rate Thread | Display Modes |
| |||
| Mere Khuwab'Meri Kahaniyaan Mere Bey Khabar Tujhy Kiya Pata Teri Aarzooun Key Dosh Pey Teri Keafyaat Key Jaam Mein Tere Naqsh Mein'Tere Naam Mein Mere Khuwab'Meri Kahaniyaan Mere Zaeichy'Mere Raste Mere leakh Ki Ye Nishshaniyaan Teri Chah Mein Hain Ruki Hoi Kabhi Aansoun Ki Qatar Mein Kabhi Pattharoon Key Hasar Mein Kabhi Bad Naseebi Ki Ghat Mein Kaei Rang Dhoop Sey Jal Gy Kaei Chand Shakh Sey Dhal Gy Kaei Tan Sulag Key Peighal Gy Teri Aulfatoon Key Qayam Mein Tery Dard Key Dar O Bam Mein Teri Kaeinat Ki Raat Mein Koi Kab Sey Sabt E Saleib Hai Tujhy Kiya Khabar'Mery Bey Khabar!
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Zindagi ke railay mein, khuahishon ke mele mein tumse kya kahein jana isqadar jhamele mein waqt ki rawani hai baqkht ki girani hai sakht bezamini hai sakht la makani hai hijr kay samaundar mein takht aur takhtay ki ek hi kahani hai jo tum ko sunani hai baat go zara si hai baat umr bhar ki hai umr bhar ki baatein kab do ghari mein hoti hai dard ke samaundar mein unginat jazeeray mein bay shamar moti mein ankh ke darichay mein tum ne jo sajaya tha baat us diye ki hai baat us gilay ki hai ji lahu ke khalut mein choor ban ke aata hai nabz ki fasilon pe toot toot jata hai zindagi se lambi hai baat raat jaage ki hai raaste mein kaise ho baat takhliye ki hai takhliye ki baaton mein guftagu izafi hai pyar karne walon ki ek nigah kafi hai ho saake to sun jao ek din akele mein zindagi kai mele mein khuahishon ke rele mein tum se kya kahein jana is qadar jhamele mein zindagi kay mele mein khuahoshon ke rele mein
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| ||||
| Mainey haq-e-mohabbat ada kiya, Na kabhi kisi se gila kiya Mujhay ajab iska sila mila mujhay dil se usney bhula diya Mohabbaton ki kitaab ka har warq warq jala diya Woh jo aarzoo ka chirag tha usey nafraton ne bhuja diya Mujhay zaikhm phir ek naya diya, mujhay is MOHABBAT ne kia diya Mera nishaan tak mita diya mujhay zindagi ne sata diya..... Woh jo kehtay thay khush raho, Woh jo kehtay thay meri jaan ho Tum har lamha hansa karo, mujhay aaj unhoney rula diya
__________________ ![]() Bheegi Howee Ek Sham Ki Dahlez Per Bethay Howay Hum Dil k Sulagnay K Sabab Soch rahay hai |
| ||||
| Quote:
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |

EXCELLENT
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| ♥♥ Be“wafaa mujhsey terey khat jalaye nahi jatey ♥♥ Kuch aisey log jo zehan sey bhulaye nahi jatey kuch aisey lamhey jo dil sey mitaaye nahi jatey Bebasi badh key meri aankhon main utar aati hai meri hasi sey merey aansu chupaye nahi jatey Wafaa ki raahon main bujhney ke baad ye jaana hai sar-e-hawa diye mohabbat ke sajaye nahi jatey Teri tehreeron sey aati hai terey haathon ki mehak be“wafaa mujhsey terey khat jalaye nahi jatey Dard ki chaadrain meri ghazlon ko dhaanp leti hain mujh sey shairon main naye rang dikhaye nahi jatey Aye merey Khuda taqdeer ko itna to batayaa hota dukhon ke pahaad insaanon pe giraye nahi jaatey
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko Tum ko Aankho Mai Tasawwoor Ki Tarah Rakhte Hoon Dil Mai Dharkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh ko Baat Karnay Main jo Mushkil ho Tumhein Mehfil May Main Samajh Jaaonge Nazron Se Bataana Mujh ko Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho Khuwab Pura jo na ho wo na Dikhana Mujh ko Apne Rishtey ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena Main to Aashiq Hoon Deewane na Banana Mujh ko Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| JAb tera dard mairay dard say wafa karta hay EK samundar mairi aankhon say baha karta hay Uski batian mujhay khushbuu ki tarah lagti hien Phool jaisay koii sehra may khila karta haaaay Mairay dost ki sirf yehi pehchaan kafiiiiiii hay WO har shanks ko danistaa khafa rakhta hay Aur tou koii sabab uski mohabbat kaa nahiiiiiii Baat itni si hay kay wo mujh say jafa karta hay JAb khizaan aaye tou lot aaye ga wo bhiiiii WO baharoon may zara kam hi milaa karta hay
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Kisii se kabhii Dil lagaayaa na thaa Muhabbat kaa sadamaa uThaayaa na thaa Hasiinon ke rone pe haNsate thAy hum Kabhii ek aaNsuu bahaayaa na thaa Ko_ii huur ho yaa parii, apanaa sar kisii aastaaN par jhukaayaa na thaa Siyaah gesuuon ko tamannaa Rahiiiii Magar dil ko ham ne phaNsaayaa na thaa Zamaane mein vo kaun thaa zohraa_vash Ke seene se jiss ne lagaayaa naA thaa Basar kii sadaa aish-o-isharat mein umr Kabhii ranj hum ne uThaayaa na thaa Magar ek jhalak ne hamein kho diyaa yeh sadamaa to hum ne uThaayaa na thaa
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Samander per sukoo'n hai per kinaray shor kertay hain Meray atraaf bas rangee'n nazaray shor kertay hain Aur ab to chandni raatein mujay achi nahi lagtein Sukoo'n say so nahi sakta k taray shor kertay hain Mein jab khamosh rehta hon to sab khamosh rehtay hain Agar ik lafz bhi bolon to saray shor kertay hain Bohat muddat hoe jab tum meray kochay say guzray thay Pa'kadmon k nishaa'n ab tak tumharay shor kertay hain Koe bhi baat yaksooe say ab sochi nahi jati K meray zahen mein kuch ista'aray shor kertay hain Mera ghar jal raha hai, mein kisi say kuch nahi kehta Magar aye doost yeh shulay shararay shor kertay hain......
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Mumkin Ho Aap Say To Bhula Dijiye Mujhay Pathar Pay Hon Lakeer, Mita Dijiye Mujhay Har Roz Mujh Say Taaza Shikayat Hai Aap Ko Mai Kia Hon, Aik Baar Bata Dijiye Mujhay Merey Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhay Ki Mai Nay Apnay Zakham Ki Tash'heer Jaa Ba ja Mai Maanti Hon Jurm, Saza Dijiye Mujhay Qaim To Ho Sakay Koi Rishta Gohor K Saath Gehray Samandaron Mai Baha Dijiye Mujhay Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasnay Say Faida Hai Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhay Jaltey Dinon Mei Khud Pass-E-Deewar Baith Kar Saaye Ki Justuju Mei Laga Dijiyey Mujhay Yun To Shola-E-Jaan Sard Ho Chuka Laikin Sulag Uthoon To Hawa Dijiye Mujhay
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Kaha usne bharosa dil pe itna nahin karte.. kaha meine mohabbat mein kabhi socha nahin karte.. kaha usne bahut khush rang duniya k nazarey hein.. kaha meine jab tum ho tou hum kuch dekha nahin karte.. kaha usne mein tumse duur hoon lekin tumhari hoon.. kaha meine k sapney dil ko behlaya nahin karte.. kaha usne tumhari chahat tumhein ruswaeinya degi.. kaha meine shohrat se ghabraya nahin karte.. kaha usne samajh jao, samajh jao.. kaha meine k deewanoon ko samjhaya nahin karte
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Ussne kaha, tum mein pehle si baat nahin.. meine kaha, zindagi mein tera saath nahin.. ussne kaha, ab bhi kisi ki aankhoon mein doob jatay ho.. meine kaha, ab kisi ki ankh mein woh baat nahin.. ussne kaha, ku itna tuuth ka chaha mujhe.. meine kaha, insaan hoon pathar zaat nahin.. ussne kaha, kia mein bewafa hoon.. meine kaha, mujhe ab wafa ki talash nahin.. ussne kaha, bhool ja mujh ko.. meine kaha, tum haqeqt ho koi khuwab nahin
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Aavaara Hain Galiyon Men Main Aur Merii Tanhaaii Jaayen To Kahaan Jaayen Har Mod Pe Rusavaaii Ye Phuul Se Chehare Hain Hanste Hue Gul_Daste Koii Bhii Nahiin Apanaa Begaane Hain Sab Raste Raahen Hain Tamaashaaii Rahii Bhii Tamashaaii Main Aur Merii Tanhaaii Armaan Sulagate Hain Siine Men Chitaa Jaise Qaatil Nazar Aatii Hai Duniyaa Kii Havaa Jaise Rotii Hai Mere Dil Par Bajatii Huii Shahanaaii Main Aur Merii Tanhaaii Aakash Ke Maathe Par Taaron Kaa Charaagaan Hai Pahaluu Men Magar Mere Zakhmon Kaa Gulistaan Hai Aankhon Se Lahuu Tapakaa Daaman Men Bahaar Aaii Main Aur Merii Tanhaaii Har Rang Men Ye Duniyaa Sau Rang Dikhaatii Hai Rokar Kabhii Hansatii Hai Hans Kar Kabhii Gaatii Hai Ye Pyaar Kii Baahen Hain Yaa Maut Kii Angadaaii Main Aur Merii Tanhaaii
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| ||||
|
__________________ ![]() Bheegi Howee Ek Sham Ki Dahlez Per Bethay Howay Hum Dil k Sulagnay K Sabab Soch rahay hai |
| ||||
| Quote:
my personal favv.. thx for sharing
__________________ ![]() Bheegi Howee Ek Sham Ki Dahlez Per Bethay Howay Hum Dil k Sulagnay K Sabab Soch rahay hai |
| ||||
| Quote:
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | Rate This Thread |
|
|