| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Love & Romance Post your romantic poetry here... and share with others... |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Rating: | Display Modes |
| ||||
| Ham Nay Tumharay Pyaar Main -------------------------------- Ham Nay Tumharay Pyaar Main Kiya Kuch Nahi Kiya Dil Jaan Or Jegar Sab Tumharay Naam Kar Diya Elzaam Na Aye Tum Per Koee Ay Meray Ham Nasheen Ghar Galii Tu Kiya Ham Nay Tera Wo Shaher Bhi Chorr Diya Khud Ko Bhula Diya Ham Nay Kuch Is Tarah Apnay He Ghar Ka Pata Ghairo Say Hamay Puchna Para Weraan Howay Wo Ghar Wo Galee Meray Wastay Main Nay Guzaray Thay Kuch Pal Jaha Intazar Kay [ Abdul Salam ] ![]()
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Haqooq -e- Niswan ------------------- Kyun Aaj Ke Ourat Nay Uthaya Hai Yeh Toufaan Ak Tarfa Tamasha Hai Yeh Haqooq -e- Niswan Islam Nay De Hai Jo Us Ko Takreem Kyun Hai Aaj Yeh Usi Say Guraizaan Maa Hai, Behan Hai, Beti Hai Yeh Kahi Har Rishtay Ke Khoobsurti Hai Is Main Pinhaa Magrib Ke Taqleed Main Hai Yeh Khud Pay Nazaa Ak Seraab Kay Dhokay Main Hai Galtaa wo Pechaa Niswaniyat Us Ka Waqaar, Sharam wo Hayaa Hai Zeever Aari Hai Yeh Aaj Us Say Phirti Hai Chaak Garaibaa Eblees Kay Behkaway Main Ho Rahi Hai Ruswa Ghar Ke Jannat Ko Samajti Hai Zindaa Masawat Mard o Zan Kay Chakkar Main Uljhaya Hai Usko Dushmanaan -e- Deen Nay Bana Dala Usay Shama Be-Maya Larzaa Haqooq Kay Liye Kosha, Fara'ez Say Nalaa Bin -t- Hawwa Ka Aaj Maqaam Hai Kaha Do Jaha Ke Doulat Ho Jaye Us Ko Naseeb Pehchaan Lay Apna Rutba Ho Jaye Ger Aamil Quran [ Nuzhat Kareem ] ![]()
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Mere Khudaa mujhe itnaa to mo’atbar kar de maiN jis makaan meN rahtaa huuN use ghar kar de ye roshnii ke ta’aqqub meN bhaagtaa hu’aa din jo thak gayaa hai to ab is ko muKhtasar kar de maiN zindagii kii du’aa maangne lagaa huuN bahut jo ho sake to duaaoN ko be-asar kar de sitaaraa-e-sahrii Duubne ko aayaa hai zaraa ko’ii mere suuraj ko baa-Khabar kar de qabiila-vaar kamaaneN kaRakne vaalii haiN mere lahuuu kii gavaahii mujhe niDar kar de maiN apne Khvaab se kaT kar jiyuuN to mere Khudaa ujaaR de merii miTTii ko dar-ba-dar kar de merii zamiin meraa aaKhrii havaalaa hai so maiN rahuuN na rahuuN is ko baa-ravar kar de
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| vo ko’ii aur na thaa chand Khushk patte the shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the abhii abhii tumheN sochaa to kuchh na yaad aayaa abhii abhii to ham ek-duusre se bichhRe the tumhaare baad chaman par jab ek nazar Daalii kalii kalii meN KhizaaN ke chiraaG jalte the tamaam umr vafaa ke gunaah-gaar rahe ye aur baat ke ham aadmii to acche the shab-e-Khaamosh ko tanhaa’ii ne zubaaN de dii pahaaR guuNjte the dasht san-sanaate the vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar jo zindagii se gurezaaN, the roz marte the naye Khayaal ab aate haiN Dhal ke zehn meN hamaare dil meN kabhii khet lah-lahaate the ye irtiqaa kaa chalan hai ke har zamaane meN puraane log naye aadmii se Darte the jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii ke ek chehre ke piichhe hazaar chehre the
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| tanhaii mein teri yaad jaise ek sureeli dhun jaise chaand ki thandi lau jaise kirnon ki kun mun jaise jal-parioN ka taaj jaise paayal ki chhun chuun
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| AaNkhoN Kaa rang, baat kaa lahjaa badal gayaa vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa ! kuch din to meraa aks rahaa aaiine pe naqsh phir yuN hu’aa ke Khud meraa chehraa badal gayaa jab apne apne haal pe ham tum na rah sake to kyaa hu’aa jo hamse zamaanaa badal gayaa qadmoN tale jo rait bichii thii vo chal paRii us ne chuRaayaa haath to sehraa badal gayaa ko’ii bhii chiiz apnii jagah par nahiiN rahii jaate hi ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa ! ek sar-khushii kii mauj ne kaisaa kiyaa kamaal vo be-niyaaz, saare kaa saaraa badal gayaa uThTh kar chalaa gayaa ko’ii vaqfe ke darmiyaaN pardaa uThThaa to saaraa tamaashaa badal gayaa hairat se saare lafz use dekhte rahe baatoN meN apnii baat ko kaisaa badal gayaa kahne ko ek seh’n meN diivaar hii banii ghar kii fizaa, makaaN kaa naqshaa badal gayaa shaayed vafaa ke khel se uktaa gayaa thaa vo manzil ke paas aa ke jo rastaa badal gayaa qaayem kisii bhii haal pe duniyaa nahiiN rahii taa’biir kho gayii, kabhii sapnaa badal gayaa manzar kaa rang asl meN saayaa thaa rang kaa jis ne use jidhar se bhii dekhaa badal gayaa andar ke mausamoN kii Khabar us kii ho gayii us nau-bahaar-e-naaz kaa chehraa badal gayaa aaNkhoN meN jitne ashq the jugnuu se ban gaye vo muskuraayaa aur merii duniyaa badal gayaa apnii galii meN apnaa hii ghar dhhuNdhtee haiN log “Amjad” ye kaun shah’r kaa naqshaa badal gayaa
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| Ek thi larki meri saheli saath pali aur saath hi kheli phoolon jaise gaal the uske resham jaise baal the uske ham usko gudiya kehte the rangon ki pudiya kehte the ek din usne bholepan se poochha ye papa se ja ke ab main khush rehti hu jaise sada hi kiya khush rahungi aaise papa bole meri bachi baat bataun tujh ko sachhi kal ki baat na koi jaane kehte hain ye sabhi siyaane ye mat socho kal kiya hoga jo bhi hoga acha hoga... bachpan beeta aai jawaani larki ban gayi roop ki raani college mein ithalaati phirti bal khaati lehraati phirti ek sundar chanchal larke ne chhup-chhup kar chupke-chupke se larki ki tasveer banai aur ye keh kar use dikhai is par apna naam to likh do chota sa pegham to likh do larki pehle to sharamaai phir man hi man mein muskaai ik din usne bholepan se poocha ye apne saajan se ab main khush rehti hu jaise sada hi kiya khush rahungi aaise usne kaha ke meri raani itni baat hai maine jaani kal ki baat na koi jaane kehte hain ye sabhi siyaane ye mat socho kal kiya hoga jo bhi hoga acha hoga... ik paradesi door se aaya larki par haq apna jataaya ghar waalon ne haami bhar di pardesi ki marzi kar di piyaar ke waade huve na poore reh gae saare khwaab adhoore chor ke saathi aur hamsae chal di larki des parae par larki kuch munh se na boli patthar ban kar gair ki ho li ab gumsum hairaan si hai wo mujhse bhi anjaan si hai wo jab bhi dekho chup rehti hai kehti hai to ye kehti hai kal ki baat na koi jaane kehte hain ye sabhi siyaane ye mat socho kal kiya hoga jo bhi hoga acha hoga...
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| Khud Ko Shaam Be Sehar Kay Ahad Main Pata Hoon Main ------------------------------------------------------ Khud Ko Shaam Be Sehar Kay Ahad Main Pata Hoon Main Sath Day Ay Roshni -e- Ghum Bhuja Jata Hoon Main Koee Tu Sang Hareefa Janoo Ke Zad Pay Ho Thokaray Khata Hoon Lakin Sanbhal Jata Hoon Main Teray Imkaan Main Ager Hai Laa Koee Mera Jawab Ay Basaat Jabar Hansti Lay Utha Jata Hoon Main Kia Ghazab Hai Shaher Aazar Ibn Aazar Say Tahi Johar Arz Hunar Ab Tujh Say Sharmata Hoon Main Main Nay Batan Dashat wo Sehra Say Ubhara Tha Jinhain Aaj Unhe Shehroo Main Dar Dar Thokaray Khata Hoon Main Doob Kar Khoon Main Ubharna Ak Fasana He Sahi Is Sadi Kay Saneha Ko Pher Say Dhorata Hoon Main Meri Na Karda Gunahi Pher Sar -e- Fehrist Hai Jurm Hurf Aa Gahi Ke Pher Saza Pata Hoon Main Kesa Sannata Hai Ab Koh-e- Nida Bhi Chup Howa Apnay He Dil Kay Dharaknay Ke Sada Pata Hoon Main Shayed Agli Fasal Main Mehkay Mohabbat Kay Gulaab Aas Kay Poudoo Ko Mohsin KhooN Diye Jata Hoon Main [ Mohsin Bhopali ] ![]()
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Naseeb Sab Ka Yahi Hai, Raza Kese Ke Nahi ------------------------------------------- Naseeb Sab Ka Yahi Hai, Raza Kese Ke Nahi "Charag Sab Kay Bujhay Gay Hawa Kese Ke Nahi" Hamaysha Main Nay Jalaye Hain Aandheyoon Main Charag Yeh Tum Say Kis Nay Kaha Hai Hawa Kese Ke Nahi Sab Aanganoo Main Utarti Hai Us Say Pyaar Na Kar Yeh Chaandni Yeh Setam Aashna Kese Ke Nahi Wager-na Aatay Thay Aflaak Say Jawab Aakhir Tu Kia Yeh Tay Hai Keh Aah Rasa Kese Ke Nahi Paigaam Khaas Ko Harjaee Kay Supard Na Kar Bohat He Aam Hai Baad -e- Saba Kese Ke Nahi Na Janay Routh Kay Kis Dees Ja Basi Taseer Qaboliyat Ko Pohachti Dua Kese Ke Nahi Utha Kay Naaz Bohat Zindagi Kay Nazaa Hain Bhula Diya Hai Keh Yeh Be Wafa Kese Ke Nahi Setam Hai Wo Keh Qyamat Machi Hoee Hoti Mager Wo Khoof Keh Gongee Sada Kese Ke Nahi Yeh Shaher-Tu Ke Pari Say Sawal Sab Nay Kiya Tu Kis Ke Ban Kay Rahay Ge, Kaha Kese Ke Nahi [ Noureen Talat ] ![]()
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Abhi Wo Dard Baki Hai ------------------------- Abhi Wo Dard Baki Hai Ager-cha Waqt Marham Hai Mager Kuch Waqt Lagta Hai Kese Ko Bhool Janay Main Dobara Dil Basanay Main Abhi Kuch Waqt Lagna Hai Abhi Wo Dard Baki Hai Main Kesay Naii Ulfat Main Apni Zaat Ko Ghum Kar Loon Keh Meray Jisam wo Wajdaan Main Abhi Wo Fard Baki Hai Abhi Us Shaks Ke Mujh Per Negah -e- Sard Baki Hai Abhi Wo Eshq Kay Rastoon Ke Mujh Per Gard Baki Hai Abhi Wo Dard Baki Hai. ![]()
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Quote:
|
| ||||
| Suno ! Tum Laut Aao ! ------------------------ Suno ! Tum Laut Aao ! Jaha Tum Ho Wo Duniya Kab Tumhari Hai Keh Suraj Dhal Gaya Hai,, Hasseen Shaam Utri Hai Wo Dekho Chand Nikhal Hai ,, Sitaray Jagmagaty Hain, Hamari Muntazir Ankhien,, Duaen Mangti Aankhein , Tumhay Socthi Aankhein,, Tumhe Dhondti Aankhein ,,, Tumhe Wapis Bulati Hein, Ye Dil Jab Bhi Dharakta Hai Tumhare Naam Laita Hai , Ye Ansoo Jab Bhi Behtay Hain , Tumharay Dukh Mein Behtay Hain Kay Barish Jab Bhi Hoti Hai Tumhe Hi Yaad Yaad Karti Hai , Khushi Koe Bhi Jo Aye Tumhary Bin Adhuri Hai, Suno Tum Laut Aao !!!! ![]()
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Tum Say Kuch Nahi Kehna -------------------------- Ham Nay Soch Rakha Hai Chahay Dil Ke Har Khowish Zindagi Ke Aankhoon Say Ashk Ban Kay Beh Jaye Ghar Ke Sari Dewarain Chatt Samait Gir Jaye Or Be-Muqaddar Ham Khud He Kyun Na Dab Jaye Tum Say Kuch Nahi Kehna Kese Neend Thi Apni Kesay Khowab Thay Apnay Or Ab Gulaboo Per Neend Wali Aankhoon Per Naram-Kho Say Khowaboo Per Kyun Azaab Totay Hain Tum Say Kuch Nahi Kehna Ghir Gaye Hain Ratoon Main Be-Lebaas Batoon Main Is Tarah Ke Ratoon main Kab Charag Jaltay Hain Kab Azaab Taltay Hain Ab Tu In Azaboo Say Bach Keh Bhi Nikalnay Ka Rasta Nahi Jana ! Jis Tarah Tum Ko Bhi La-Zawaal Lamhoo Say Wasta Nahi Jana ! Ham Nay Soch Rakha Hai Tum Say Kuch Nahi Kehna !!!!! ![]()
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Mujh Ko Panay Ke Chahat Main ------------------------------ Meray Mola! Aaj Zara Is Taptay Din Ko Thanda Kar Day Chotta Kar Day Isay Ghata Day Badal Kay Tukray Say Keh Kar Barish Kar Day Boonday Aaye Pon Chalay Or Sooraj Guzray Jaldi Say Magrib Aa Jaye Meray Malik ! Aaj Bhi Us Nay Meri Khater Mujh Ko Panay Ke Chahat Main Tera Roza Rakha Hai [ Wasi Shah ] ![]()
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Ak Larki Pagal Pagal See -------------------------- Ak Larki Pagal Pagal See Jeenay Ke Tamannah Dil Main Liye Weraan Gali Kay Konay Main Woh Mujh Ko Dekha Karty Thi Woh Mujh Ko Dekha Karty Thi Main Us Ko Dekha Karta Tha Woh Pagal Pagal Pagal Thi Woh Khabti See Dewani See Woh Ishq Ka Shola Dil Main Liye Woh Chupkay Chupkay Chalti Hoi Ak Roz Woh Mere Paas Aye Woh Ishq Main Doobnay Aai Thi Main Ishq Ka Aik Samander Tha
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Us Ka Haath Kitna Sard Tha ---------------------------- Mujhay Chaandni Raat Ke Wo Haseen Ghari Yaad Hai Jab Us Nay Meray Haathon Ko Apnay Haath Main Lay Kar Kaha Tha Keh Jantay Ho Garam Haath Wafa Ke Alamat Hoti Hay Main Us Ke Yeh Baat Sun Kar Khushi Say Jhoom Utha Tha Mager Aaj Shab -e- Tanhaii Main Betha Soch Raha Hoon Keh Us Waqt Us Ka Haath Kitna "Sard" Tha
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Koee Tu Hota...... -------------------- Koi To Hota Mein Jis Kay Dil Ki Kitab Banti .. Mein Jis Ki Chahat Ka Khawab Banti ... Mein Hijar Kay Mosam Ki Lambi Ratoo Mein Yaad Ban Kar Azab Banti.. Koi To Hota Jo Meri Khawahish Mein .. Uth Kar Rato Ko Khoob Roota ... Dukho Ki Chadar Lapait Kar ... Hajoom -e- Duniya Say Door Hota .... Mein Rooth Jati Manata Mujh Ko ... Kay Chahay Mera Kasoor Hota, Koi To Hota ....
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Aaj Routha Howa Ak Shaks Bohat Yaad Aaya -------------------------------------------- Aj Rootha Hoa Aik Shaks Buhat Yaad Aya .... Acha Guzra Hoa Waqt Buhat Yad Aya .. Meri Aankho K Her Ak Ashk Pay Ronay Wala .. Aj Jub Aankh Ye Rooee Tu Buhat Yad Aya .. Jo Meray Dard Ko Seenay Mein Chupa Layta Tha ... Aj Jab Dard Hoa Dil Mein Buhat Yad Aya ... Jo Meri Aankh Mein Kajal Ki Tarah Rehta Tha Aj Kajal Jo Lagaya Tu Buhat Yad Aya ... Jo Meray Dil Kay Tha Qareeb Fakat Us Ko He ... Aj Jab Dil Nay Bhulaya Tu Buhat Yad Aya