| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Pakistan's Current Affairs Pakistan Pakistan Pakistan Politics and Internal Affairs Discuss domestic and current affair issues related to Pakistan |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Display Modes |
| |||
| Ghareeb mulk kay hukmran pakistan ki 70 fesad abadi ghareeb hay aur baki 30 % woh Tabqa jo mulk kay wasail par qabiz hay yah currupt logon ki mawnat karta hai aur khud bhi is may say apna hisa wasool karta hai mulke wasail par qabiz in logon may kaseer tadaad saysat dano ki hai jo awam ko baiwooq bna kar ya un ki majboori ka faida uttha kar iqtadar main atay hain aur awam ki parashnian aur masayal khatam karnay kay bajay apni aiyashion may mashghool hojaty hain Hamaray mulk main insaf ka hasool ghareeb awam kay liay namumkin banadiya gaya hai,insaf milta nahi biktah hai,insaf hasil kar nay kay leya Ghar dokan Zameen sub kuch bechnay par jata hai , nokrian aur colloeges main dakhlay kay leya qabliat kay bajay rishwat aur sifarish merit hain- gareeb aurat Bachay palney kay liay kis aziat ka samna karna parta hai is ka ihsaas woh hi kar sakta hai jo khud is tarah kay halaat say dochar rah ho- police awam ki hifazat aur khidmat karnay kay bajay hukmranoy aur ameer tabqay ki londi aur muhafiz hay - maishat ki abtar halat ki wajah say mulazmatain nahin milti is liay khudkashi aur jurm ki sharah barti ja rahi hay Chori aur docoity karnay wolo may aksaryat 20 say 30 saal kay nojwanon key hai- yahan ghareeb ko apni behan maa ya bapp bhai ki bemari kay liay apna gurda bechna parta hai yah petrol ki qeemtain roz barahi jati hain atta aur Khurdonosh wali ajanas ki qeemtain aam insan ki ponch say bahar hoti jari hain - utility bill main azafa mamol ka amal hay aisay mulk hay jahan Char Afrad Mulk kay wazir azam jitna protocol laity hain jahan Adalat may faisaly un ki marzi kay mutabiq hotay hain-is mulk ka wazir azam hi nahi balkay doosray wazir bhi charterd jahaz istamal kartay hain- yeh log khansi,nazla zukam aur mamoli sehat ki khrabi main beiroon mulk sarkari khrchay par ilaj kay liay jatay hain- bhook say bilakti awam kay wazirazam kay kitchen ka daily kharcha 8 lakh ruppee hai - lahasil, aur baymaqsad dooroon par honay walay ikhrajaat ka andaza lakoh dallar hai - allah hamaray Aur is mulk ki Ghareeb awam kay hal par Reham karay (Ameem) Last edited by zakir shah; 29-07-2008 at 01:46 PM. Reason: proofing |
| Sponsored Links |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
|
|
| Register | FAQ | Members List | Calendar | Search | Free SMS | Today's Posts | Mark Forums Read |