Aurato Ke Asmat Dari Per Islam Ka Hukum?? Aurato Ke Asmat Dari ka SADH BAAB
Q) Tamaam Bade Mazahib Kay Nazeek Aurato say Ched Chad aur unke Asmat dari Ek Sangeen Jurm hain , Islam ke bhi Yehi Taleem hai, Phir Islam Aur Doasre Mazahib Ke Taleemat Mey Kya Farq hain?
Ans) Farq Yeh hain kay Islam Mahez Aurto Ke Ehtaraam ke Talgeen hi nahi kerta aur Khawateen say Ched Chad aur Unke Asmat Dari Jaise Juran say Nafrat hi nahi kerta , balke puri rehnumai kerta hain kay Society say kis Tarha say essay Mukammal tour per Khatam kiya jaye.
Islam Sub Say Pahele Mardo Kou Hijab ka Hukum deta hain aur Phir Aurato kou, Mardo Kay Hijab Per Allaha Farmata hain “ Aay Nabi Momin Mardo Say Keh dijiye kay wooh apni Nigahe Neechi rakhe aur apni sharmgaho ke hifazat karey, yeh enke liye bohath pakizgi ke baat hai, aur Allaha un Tamaam baato say baqubi waqif hai jo wooh kerte hain” (Surey Noor 30/24)
Aurato Kay Hijab ka Zikar “ Aay Nabi Momin Aurato say Keh dijiye kay wooh apni Nigahe Neechi rakhe aur apni Sharamgaho ke hifazat karey aur apni zeenat ke Numaish naa karey seewaye uskay jo kudh zahir hou, aur inko chaiye kay apne seeno per Aodhniya daaley rakhe aur apni zeenat zahir naa karey magar apne shohar yaa apne Baap per yaa apne susrey per yaa apne Beto per yaa apne shohar k ay beto per yaa apne bhaiyo per yaa apne bhatijo per yaa apne bhanjo per yaa apni Musalman Aurato per yaa apne daye Haath ke Milkiyat (Kaneezo) Per Yaa Aurato say ruqbat naa rakhna wale Nokaro per Yaa Aurato ke Chipi baton say Naa Waqif Ladko per aur wooh (Auratey) Apne Pao Zor Zor Say Zameen per Maarti Naa ChaleKay Enke Zeemat Zahir hou jaye, Jissay wooh Chipati hai, Aur Aay Momino Tum Sub Allaha Say Touba Karo Taakay Falah Pao (Surey Noor 31/24)
Hijab ke hadh yeh hain kay Tamaam Jism Dhaka huwa hou, Sirf Chahera Aur Haatho Ke Kaalia khuli rakhi ja sakhti hai, aur agar Auratey chahe tou inko bhi dhanp sakhti hai, aur baaz Ulema eski baath per Esrar kerte hain kay Chahera bhi Dhanpna Lazmi hai.
Allaha (SWT) Hijab ka hokum kyu deta hain Eske wazahat Sureh Ahzab Ke Aayat Mey Ke gai hai, Allaha Farmata hain “ Aay Nabi Apni Biwio aur Apni Betio aur Momino Ke Aurato say keh dijiye kay wooh apne Upper apni Chaderay odh liya karey (Jab wooh baher Neakle) yeh (baath) unkay liye kareeb Tar hai kay wooh (Hayadar Mominat kay Tour Per) Pehchani jaye aur inhe Ayza naa de jaye (Koi Ched Chad Naa Kar Sake) Aur Allaha bohath bakshne wala aur bohath Rahem kerne wala hain” Sureh Ahzab 59/33.
Ek Misal say wazahat: Farz Karey Do Judwaa Bahene Dono hi Khoobsurat hai aur Ek Gaali Mey Jaa rahi hain, En mey say Ek Islami Hijab mey hai, jab kay doasri Mini Skirt Mey hai, Chorahe per Koi Baadmash Ladki kou chedne kay intezar mey khada hai, wooh kiss say chade chad karega, Islami Hijab mey jo hain ussey yaa jis ladki ney Mini skirt Pahena huwa hain ussay?? Lehaza Quran Sahi kehta hain kay Hijab Aurato kou Ched Chad say Mehfooz rakhta hai, Allaha hamari Musalman baheno kou Mukammal Islami Hijab Ekhtiyaar kerne ke Toufeeq dey…. Ameen… Ya Rabul Alameen….
American Mey Asmat Dari Kay Waqeyat:- America kou Duniya mey sub say Ziyada Taraqi Aafta Mulk Samjha jaata hain, 1990 F.B.I. Ke report kay Mutabiq Asmat dari (Rape) Kay 1,02,555 Case Darj Kiye gaye, Es Mey Mazeed Kaha gaya hain kay sirf 16% Muqadmat ka Andraj huwa yaa in ki report ke gai, agar 1990 mey Pesh aaye Asmat Dari kay waqiyat ke Asal Taadat Malum kerne kay liye 16/100 yaani 6.25 say zarab de jaye tou wooh 6,40,968 Banti hain, aur agar es majmoui Taadat kou Saal 365 Dino say Taqseem kiya jaye tou Roz aana Kamas kam 1,756 Nekalti hai.
Baad ke Ek aur report kay mutabiq America mey es baras Asmat dari kay ausatan 1900 waqiyat Roz Aana Pesh aaye, American Kay Mehkamey Insaaf kay National Crime Survey Bureau kay Aadat O Shumat kay Mutabiq Sirf 1996 Mey Aabro Razi kay 3,07,000 Waqiyat ke report ke gai, aur yeh Aasal Taadat ka Sirf 31% thi, Es Tarha Asmat dari kay waqiyat ke Asal Taadat 9,90,332 banti hain, jo Dus Lakh kay Kareeb hain, goya America mey Es saal her 32 Seconds kay baad Rape ka Ek Waqiya Pesh aaya,
Ho Sakhta hain kay Asie Crime kerne wale aur Dilare ho gaye hou, 1990 F.B.I ke report kay mutabiq waha asmat dari kay jitney waqiyat ke report ke gai enkay Mujrimo mey sirf 10% giraftar kiye gaye Jo Zanio ke Kul Taadat ka Sirf 1.6% tha, aur Giraftar shuda mey say bhi 50% kou Muqadme ke Naubat aane say Pahele chode diya gaya, es ka matlab hain kay sirf 0.8% Mujrimo kou Muqadmat ka Saamna kerna padha, Doasrey lafzo mey agar ek shaqs 125 Martaba jurm kerta hain tou sirf Ek baar saaza milne ka Emkaan hai.
Ek Doasri Report kay mutabiq 50% jin kou Muqatmat ka Samna kerna padha enhe Ek Saal say bhi kam Qaid Ke Saaza Sunai gai, agarche Americi Kanoon kay Mutabiq Asie Jurm kerne wale kou Saaza 7 Years hai, lekin Pahele daafa asia crime kerne wale kay saath Judge Narmi ka Rawaiya Ekhtiyaar kerta hai, Zara Tasavoor karey kay Ek Shaqs 125 Martaba Jurm kerta hain, aur Esko Mujrim Taheraye jaana ka Emkaan Sirf 1% hota hai…….. bus Allaha hi rahem farmaye aap kudh faisla ke jiye…
Farz karaye Insha Aane waqt mey America Mey Islami Shariyat Nafiz ho jaati hain, tou kya waha ka Crime rate Badhega? Yaa Utna hi Rahega?? Yaa Kam hoga?? Insha Allaha Yakeenan kam hoga.. Allaha hum sub kou Ilm aur Amal ke Taufeeq aata farmaye….. Ameen
__________________ Mohammed Salman |