Chori Ke Saaza Islam Mein?? Q) Tamaam Mazahib Logo Kou Acche Kam Kerne Ke Taleem deyte hai, Phir Ek Shaks kou Islam he ke Pairwi Kyu Kerne chaiye?? Kya Wooh Kisi Doasrey Mazhab Ke Pairwi Nahi Ker sakhta??
Ans) Tamaam Mazahib Buniyadi Tour Per Insaan kou Sahi Raah Per Chalne aur Burai Say Bachne ke Talgeen kerte hain, Lekin Islam En Sub say badh kar hain, yeh hamey sahi raah per chalne aur apni infiradi aur Ejtemaai Zindagi say burai kou kharij kerne mey aamli rehnumai kerta hain, Islam Insaani fitrat aur Maasherey Ke Pechedgio pesh-e-nazar rakhta hain, Islam Kudh Khaliq-E-Kayenat ke taraf say Rehnumai hain, Esiliye Islam kou deen Fitrat, Yaani Insaan ka fitri deen kaha gaya hain, Islam aur Doasrey Mazahib ka buniyadi farq darj zail amwaar say wazeh hota hain.
• Islam aur Daaka Zani ka Tadrak
Tamaam Mazhab Ke Taleem hain kay Daaka Zani aur chori bura Aamal hain, Islam ke bhi yehi taleem hain phir Islam aur Doasrey Mazahib mey kya Farq hain?
Farq Yeh hain kay Islam is Talgeen Kerne kay Saath Saath Kay Daaka Zani aur Chori bura kam hain, essay Samajhi Dhancha bhi faraham kerta hain, Jismey Log Daaka Nahi daaleange, es kay liye Islam Darj Zail Eqdamat Ke Tajweez Kerta Hain….
Zakat Ka Hukum:- Islam Insani Falah Kay liye Zakat Ka Nizam Pesh Kerta hai, Islami Kanoon Kehta hai kay her wooh Shaqs jis ke Maali Bachat Nisab Yaani 85 Gram Sona (GOLD) yaa es ke Maaliyat kou pahuch jaye tou wooh her saal Es mey say 2 /12” (dhai Feesad) es mey say Allaha ke Raah mey Taqseem karey, agar her ameer shaqs Imandari say Zakat Ada Karey Tou Is Duniya Say Gurabat Jo Daka Zani Asal Wajah hain Insha Allaha khatam ho jayega aur koi Shaqs bhi Bhuk say nahi marega.
Chori Ke Saaza:- Islam Mey chori kerne wale kay Haath Katne ke saaza deyta hain jo Surey Maida mey aayat # 38 mey hain
“Chori kerne wale mard aur chori kerne wali aurat kay haath kaat dou, yeh Allaha ke taraf say en dono kay kiye huwey jurm ke saaza hai, Aur Allaha bohath Taqatwar aur Bohath Hikmat wala hain”
Es per Gair Muslim keh sakhtey hain, 20th Century Beeswi Saadi mey Haath Kaatey Jaye?? Islam tou Ek Zalim aur Waheshana Mazhab hai, lekin enke yeh souch sateh aur Haqeeqat Baeed hai.
Aamli Nifad:-America kou Duniya mey sub say ziyada Taraqi aafta Mulk Samjha jaata hai, Badkismati say waha Juram jaise Chori, Dakaiti Etc.. Etc.. bhi Sub say Ziyada hai, Faraz karey America mey Islami Shariyat Nafiz Ke jaati hain aur her aadmi insaaf kay mutabiq Zakat nekalta hain, aur her chor ka haath Kaat diya jaata hain, tou kiya America mey Chori Aur Dakaiti ke Sharah Badh jayega? Kam Ho jayega? Yaa Utni hi Rahegee? Yaqeenan Kam ho jayega, islam ka Sakth Kanoon Chori aur Dakaiti rokne mey Madadgar sabit hoga aur Ek Khush Haal Society Wajood mey aayege.
Mey Es baath say Muttafiq hou kay Es waqt Duniya mey Chori Kerne wale ke Taadat Bohath ziyada hai aur agar haath katne ke saaza Nafiz ker di jaye tou Lakho Ke Taadat Mey Logo kay haath kateange, lekin yeh Nuqta Pesh-E-Nazer rahe kay jaise hi aap es kanoon kou nafiz Kareange chori ke Taadat Fouri tour per kam ho jayega, Essay Pahele Islam ka Nizam Zakat Kar Farma hou, aur Society mey Sadqaat waa Khairat aur Allaha ke Raah mey kerch kerne aur Gharibo Ke Madat ka Jazba Farma hou aur phir Saaza ka Nizam nafiz hou chori kerne wala chor chori kerne say pahele sou baar souchega kay wooh apne haath katane ka khatra moul lay raha hain, Ebratnaak saaza ka tasawoor hi Dakoo aur chori ke hosla shikni karega bohath kam log hi chori karey yaa daka daaleange, Es Tarha Islami Shariyat kay Aamli Nifaz say Ek Khushgawar Mushara Aman aur chain ke Zindagi guzarega.
__________________ Mohammed Salman |