| chura ka chand lamhe zeest se chura kar chand lamhe zeest se
chup kar main aai hun
ajab ehsas ki dori se
bandh kar yahan tak aai hun
main charon orr dekhe ja rahi hun
hairan si ho ho ker
samandar soch ka hai k jis main dobi ja rahi hun
meri aankhon k aagay phir rahe hain
woh manazir sab
nazar yeh dekhti hai k koi shai bhi nahi badli
har aik shai apni ja par hai
shajar ashjar bhi hain woh
woh botai wohi gull bhi
wohi hai aasman upar
wohi hai neeche zameen bhi
magar woh hain kahan
kal tak jo meri dosti hoti thee
jo thee dam saaz sab meri
jo theen hum raaz sab meri
woh jin ka sath dil se
ranj sare durr karta hai
meri aankhon k agai phir rahe hain
woh manazir sab!woh aik dojai k peeche bhagna
deewana war apna
woh aik dojai ko ja kar cherna
mastana war apna
woh bajti ghantion k sath
kamron ko barhe jana
kitabon par nazar rakhna
magar batain kye jana
woh ustadon ki baton aur kapro par nazar rakhna
woh fiqre copion pe likh k
aik dojai ko de dena
woh phoolon se ghire sabze pe ja ke bethna apna
kabhi gup shap lagane ko
kabhi parhne parhane ko
kabhi batain sunane ko
kabhi hasne hasane ko
woh chanchal qahqahe apne
woh mastana adain bhi
wohi shokhi chal ki,woh bankpan
aur woh sadain bhi
meri aankhon k agai phir rahe hain
woh manazir sab
woh sapne dekhti aankhain
woh armano bhare dil bhi
jinhain main dhoondti hun char su par woh nahi milte
woh sathi ab na woh mausam
na woh lamhe na woh manzar
guzarte waqt k saae ki manind
dhal gae hain sab -----Saba Jawaid-----
Last edited by Princess_Mary; 10-07-2008 at 06:28 PM..
|