| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Ghazal Below you will find a list of discussions in the Ghazal forums at the Urdu Poetry/Shayari Forum. Ye bazm urdu ghazalon ke khoobsurat aur behtareen intikhabaat se sajayi gayi hai.Yahan aap mashour-o-maroof shaur�a kay kalaam ka lutf utha saktay hain. Here you will find a huge collection of ghazals from the all time famous and best poets.iss kay sath sath aap yahan apne pasandeeda shaur�a ki ghazlain doosre ba zauq members ke sath share kar sakte hain. |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Rate Thread | Display Modes |
| Sponsored Links |
| ||||
| k chand tanha khila raha meray aasman say zara paray meray sath sath safar mein tha meri manziloon say zara paray teri justuju k hisaar say teray khuwab teray khayal say main woh shakhs tha jo khara raha teri chahaton say zara paray kabhi dil ki baat kahi na thi jo kahi tou woh bhi dabi dabi meray lafz pooray tou thay magar thay samaa'aton say zara paray tu chala gaya meray hamsafar zara dekh mur k tou ik nazar meri kashtiyaan hain jali hueen teray saahilon say zara paray
__________________ |
| ||||
| Ajeeb larki hoon khud ko jalana chahtee hoon Mai khud ko rakh ker kaheen bhool jana chahtee hoon Mere naseeb ki khushiyaan bhee kab mili mujh ko Bas ab to umer bher aansoo bhana chahtee hoon Najanay kitni mohabbat hai ranj-o-ghum se mujhe Koi bhee dard ho dil mai chupana chahtee hoon Baha baha k ye aasnoo bikhar chuki hoon bahut Simat k zaat mai ab muskurana chahtee hoon Jisay eik umer dil mai chupa k rakha hai Wo raaz aaj mai sab ko batana chahtee hoon Wahee hai yaad jo acha kaha hai logon ne Baqi saaray sitam bhool jana chahtee hoon Mujhe zamanay ne pathar samjh liya hai mager Mai eik larki hoon sab ko batana chahtee hoon Jo mujh se rooth chuki hain zamanay ki khushiyaan To mai bhee un khushiyoon se rooth jana chahteehoon Tu apnay dil k her eik dar ko khool day Main dard ban ker teray dil main aana chahtee hoo
__________________ |
| ||||
| mohabbat main pigalny ki nahi ye wo dhoop hai jo dhalny ki nahi mohabat kam karchuki apna ab koi surat dhalnay ki nahi mohabat jis say hogi khud hogi kisi k galay parnay ki nahi mohabat paak hai fareeb say usmain hath malnay ki nahi mohabat ki aao bisat bichain usmain chal chalnay ki nahi mohabat khail hai to aao khailain magar khail main sathi badalny ki nahi
__________________ |
| ||||
| Gham Un Ko Bhe Naseeb Hotey Hain Log Jo Khusnaseeb Hotey Hain Hota Hey Eik Hi Koe Apna Werna Sarey Raqeeb Hotey Hain Dolat Zindagi Ki Khawaish Hey Log Kitney Gareeb Hotey Hain Zakham Hum Ko Jo Deytey Hain Woh DIL Keh Tabeeb Hotey Hain HUM Ko Dushman Samujh Rahey Hain Woh Jo Humarey Habib Hotey Hain ISHAQ Main Mer Keh Bhe Fana Howa Silsaley Yeh Bhe Ajeeb Hotey Hain
__________________ |
| ||||
| woh janoon tha ke saraab tha mujhey sochney mein zaman laga mujhey munzilon ne bhoola diya mujhey jis masiha pe maan tha mujhey us ne sooli charha diya kai humsafar kai rahguzr mujhey rastey mein miley magar meri tushnagi kuch aur hai meri justajoo koi aur hai woh jo roshni ki tarha barhey magar ansuon mei sama sakey jo subha ki pehli kiran bane mere dil ka aangan nikhaar de jo muhabbaton ki ravaytein laho ki bali se sanwaar de mujhey us wafa ki talaash hai mujhey us wafaki talaash hai magar is jahan-e-kharab mein yahan khahishon ke saraab mei mujhey kaun de aisy wafa mein kahan se laoon woh wafa inhi uljhanon mein ghira hua yehi sochta mein chala gya
__________________ |
| ||||
| jaate waqt us ne ek masoom se yahi jumla kaha tha mein laut aaonga.. mera entezaar karna...... barson guzar gai suna hai aaj usi jage ek mehjoor qabr ke nishaan baaqi hain.........
__________________ |
| ||||
| Kaheen ik masoom nazuk si ladki Bohat khobsoort mager sanwali si Mujhay apnay khwabon ki banhoon main paa ker Kabhi neend main muskurati tu ho gi Usi neend main karwaten badel ker Serhanay se takiyay girati tu ho gi Wohi khawab din ki khamoshi main aa ker Usay man he man main lubhatay tu hongay Kaii saaz seenay ki khamoshion main Meri yaad se jhun jhanatay tu hongay Woh besakhta dheemay dheemay suron main Meri dhun main kuch gun gunati tu ho gi mujhay khat likhnay wo bathi tu hogi Mager ungliyan kapkapati tu hon gi Qalam haath se ***** jata tu ho ga mager qalam phir say uthati tu ho gi Mera naam apni kitabon per likh ker Woh Danton main ungli dabati tu ho gi Zuban se kabhi uff nikkalti tu ho gi Badan dheemay dheemay sulagta tu ho ga Kahiin k kahiin pauoon pertay tu hongay Zameen pe dupata larakta tu ho ga Kabhi subah ko shaam kehti tu ho gi Kabhi raat ko din banati tu ho gi Kahheen ik masoom nazuk si ladki Bohat khoobsorat mager sanwali si
__________________ |
| ||||
| Khus Negah.. Kisi khush nigah si ankh ne.. ye mujh pe kamaal karam kiya.. Meri loh-e-jan pay raqam kiya.. Woh jo ik chand sa harf tha.. Woh jo ik Shaam sa naam tha.. woh jo ik phool si baat phirti thi dar-ba-dar.. Usay gulistan ka pata diya.. Mera dil k shehar-e-malaal tha.. Usay roshni mein basaa diya.. Meri ankh aur meray khawab ko.. Kaisay ko aik pal mein baahum kiya.. Meray aeinoon pe jo gard thi mah-o-saal ki.. Woh utar gai.. Woh jo dhund thi meray char su.. Woh bikhar gai.. Sab he roop aks-e-jamal k.. Sab he khawab shaam-e-wisaal k.. Jo ghubaar-e-waqt mein sar-ba-sar thay attay howay.. Woh chamak gay.. Woh jo phool raah ki dhool thay.. Woh mehak gay.. Liay saat rung bahaar k.. chlaa mein jo sang bahar k.. Tow sajaa diay sub he rastay.. Kisi shobda saaz nay meray naam per.. Meray wastay... Meri bay ghari ko panaah di.. Meri justuju ko nishaan diya.. Jo yaqeen say bhi haseen hai.. Mujhay aik aisa gumaan diya.. Usay aik nazar mein baahum kiya.. Kisi khush nigah si
__________________ |
| ||||
| o tum ne thaan li hai ke humare dil se niklo ge to itna jaan lo wafa ki sirhiyon per har qadam phela hua yeh aarzoon ka lamha zaya na jaye ga, samander saamne hoga agar saahil se niklo ge sitaare jin ki aankhon mai ne humain aik saath dekha tha gawahi daine ayen ge purane kaghazon ki balkoni se bohat se lafz jhaanken ge, kaye waade fasade qarz khuahon ki tarah raaste mai roken ge tumhara daaman pakren ge chupa ker kis chehra bhari mehfil se niklo ge nikal to jaao geshayd magar mushkil se niklo ge..!
__________________ |
| ||||
| Na Sawal bun k mila kero.. Na jawab bun k mila kero.. Meri zindagi meray khawab hain.. Mujhay khawab bun k mila kero.. Her shaam ko meray dosto.. Na azaab bun k mila kero.. Mujhay maiy-qaday mein milo agar.. Tow shraab bun k mila kero.. Mujhay achay log bohat milay.. Mein tow un k karz say mar gya.. Aray ho sakay tow kabhi kabhi.. Tow kahraab bun k mila kero.. Abhi sochna hai tow soch lo.. Abhi chorna hai tow chor dow.. Naiy mosmoo mien milo mujhay.. Tow ghulaab bun k mila kero.. Na tow iss terha say mila kero.. Na tow us terha say mila kero.. Haan hazoor bun k mila kero.. Haan janab bun k mila kero.. Na Sawal bun k mila kero.. Na jawab bun k mila kero.. Meri zindagi meray khawab hain.. Mujhay khawab bun k mila kero.. !!
__________________ |
| ||||
| Udasiyan baysabab nahi hein.. khayaal rakhna!!! udasiyan baysabab nahi hein udasiyon ka agar yeh mausam thehar gya to...ghazab karay ga na jee sako ge.... na marr sako ge na koi hi kaam kar sako ge kisi ko her pal talab karay ga udasiyan baysabab nahi hein suno jo lamhay hein aaj hasil unhein hamesha sambhaal rakhna wafa k gulshan mein charon janib bahar rakhna ..nikhar rakhna mohabbaton ka nikhar rakhna udasiyan baysabab nahi hein jahan mein kitnay hi log aaye rahay, basay hein, ujar gaye hein magar yeh jazbay azal se hein aur abad talak bhi yunhi rahein ge tum apni aankhon mein saray jazbon ka pehlay jesa hi jaal rakhna udasiyan baysabab nahi hein zara yeh socho! bichar gaye to kahan milein ge yuhin rahein gi tamam rahein magar yeh raahi na mil sakein ge bahaar mein bhi khizaan ki soorat na phool her simat khil sakein ge na dil ko apnay udaas rakhna her aik jazbay ka paas rakhna milein ge akhir yeh aas rakhna udasiyan baysabab nahi hein..!!
__________________ |
| ||||
| suna hoga bohat tum ne .... kahiN aankhoN ki rim jhim ka, kahin palkoN ki shabnam ka... parha hoga bohat tumne .... kahiN lehjay ki barish ka, kahiN sagar ke aansoo ka... magar tum ne kabhi humdam ... kahin daikhay? kahin parkhay? kisi tehreer k aansoo ??? mujhe teri judaai ne... yehi mairaaj bakhshi hai... k main jo lafz likhta hooN... woh saray lafz rotay hain k main jo harf bunta hooN... woh saray bain kartay hain, mere sang is judaai main... mere alfaz martay hain. sabhi tareef kartay hain... meri tehreer ki lekin.. kabhi koi nahin sunta... mere alfaz ki siski... falak bhi jo hila daalay.. mere lafzoN main hain shamil... usi taseer k aansoo... kabhi daikho mere humdam... meri tehreer k aansoo...!!!
__________________ |
| ||||
| Mere sochon ke harpal main, tum kyon ajatay ho Mere dil ko anjane main, tum kyon tarpatay ho… Iss Daman main tu bas, kaanton ka gulshan hai Phir is banjar duniya main, kyon phool sajatay ho… Mehtaab bhi kehta hai, ye chand kahan se aya Taaron ke jhurmat main, jab tum sharmatay ho… Phir kon na chahega, jeetay jee hi marna Apni ankhon mai jab, samandar bhar kar latay ho… In khushk fizaon mai, ghangoor gatta cha jati hai Chehre par mere jab bhi, zulfien lehratay ho… Is veeranay se ghar main, baharen lot ati hain Jab dil ke darvazay par, dastak de kar jatay ho… Ye dil tu pagal hai, bass jhoomta rehta hai "Tum mere Saghar ho", jab keh kar jatay ho
__________________ |
| ||||
| Is nai meray seenay pai sar rak k pucha Jana!apnai jeewan ka wo lamha to batlao mujh ko Jis k badlay mill saktai hai sabhe seetaray Daryaoo k saaray moote.... Saawan ki pehli barish kai saray katraay Ujlay chand ke sari kirnay.... Dharti k seenay se liptai sabhe khazanai..... Saaray moosam sabhe duwaiy..... Poolo ki rangeen kubaye...... Phatti phatti parnai wali bheeni shabnum..... Essmai AAHZAM........ Uss nai meray seenay pai sar rakh k pucha Jana!apnai jewan ka wo lamha to batlao mujh ko Jis k badlai sabkuck apna sabkuck,sabkuch Apna sabkuck desaktay ho....... Mai nai us ka maata chuma oor bola jab Pehli baar meray seenay par tum nai apna sar rakha ta
__________________ |
| ||||
| Hame Jab Alwida Kehene Lago Tu Muskura Dena Sitara Saath Kar Dena K Raaste Me Andhere Bhi Too Aiinge Kisi Hurf-e-Dua Ka Istaara Saath Kar Dena Hamey!!! Zaaad-e-Safar Ko Tumhari Yaad KI Soghaaat Kaafffi He Tumare Saath Guzara HUa Pal Bhi Ghaneemat Hai Kahin Thehre Jo Raaste Main Sunheri Yaad Ki Soorat Tumhen Hamraah Paainge To Hum Tanhaa Kaha Honge Magar Phr Bhi Hame Jab Alwida Kehene Lago Tu Muskura Dena Sitara Saath Kar Dena Kisi Hurf-e-Dua Ka Istaara Saath Kar Dena
__________________ |
| ||||
| kitni maasoom hai kitni qatil hai tu aye mohabbat bata kiya cheez hai tu sasoo ki sasoo se tu guftago hai armaa bhre dil ki tu aarzo hai tu jo nnahi tu zindagi nahi hai zindagi se bhi hasee tu hi tu hai kitni zarori kitni adhori hai tu aye mohbbat bata kiya cheez hai tu jiski khatir hum likhte thy apni palko se gazal jiske waste hum jaagte thy shaam o saher dil se dil ki tu hi awaaz hai her aashiqo ke dil ka tu hi saaz hai kitni shffaaf tu kitni humraaz hai tu lafzo main kiya tera naam do main anmool hai tu kiya enaam do main kitni chunchal kitni khamosh hai tu kabhi shola tu kabhi shabnam tu kabhi aag hai tu aye mohabbat bata kiya cheez hai tu?
__________________ |
| ||||
| Jab guzar jayegi Bahar to Kya Karoge Yaad ayega Mera Pyaar to Kya Karoge Satate ho aise jese Ajnabi hoon Mai Jab Roothega Tum se Yaar to Kya Karoge Apnaoge kisi aur ko Mujhay Tanha chorr kar Usay hoga na Tum se Pyaar tto Kya Karoge Aakhir Laut aaoge Tum Meri Raahon pe Phir milega na pehla Pyaar to Kya Karoge Abhi to Hanste ho Meri Wafa'aon pe 'MOHSIN' Yaar phir Rona bhi hoga Bekaar to Kya Karoge
__________________ |
| ||||
| Main zindagi bhar chup rahoon ga tum badal kar dekh lo, Meray sehar say ho sakay tu tum nikal kar dekh lo! Khud hi khusboo main kissi kay qaid hojaoo gay tum, Dali main kantoon kay koi phool masal kar dekh lo! Jo ho sakay tu dekh lena meri hidat ki jhalak, Phehloon main jis kay chaho tum behal kar dekh lo! Phir do qadam par chaltay chaltay larkaraoo kis liye? Ho jis tarha tum ko tasali tum sambhal kar dekh lo! Tum meray pheloo ki tarhja chen paoo gay kahan? Hai ijazat jis say chaho mil kar dekh lo! Main chala aoon ga panay saray bandhan tor kar, Bus do qadam hi meri janib ab bhi chal kar dekh lo! Kyun jalatay ho humari akhri tasveer tum? Jalti shama ki tarha tum kash pighal kar dekh lo
__________________ |
| ||||
| kitni takleef ho tou cheekhoon ga aaj yea baat aazmani hai mein nai us say kaha keh aansooo hein us nai mujh say kaha keh paaani hai phir usi zakhm ko khurachna hai phir woh hi chout mujh ko khani hai phir woh hi hai sawal e koun o makaN phir woh hi meri bay makani hai aadmi kiya hai , aata jata hai zindagi kiya hai, aani jani hai
__________________ |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | Rate This Thread |
|
|
| These are the 70 most used thread tags
Tag Cloud
|
| (r) acne scars anti virus bahar beauty tips bhala clean technology dosti ke sms dosti sms dosti sms in hindi dosti sms in urdu |