| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Ghazal Below you will find a list of discussions in the Ghazal forums at the Urdu Poetry/Shayari Forum. Ye bazm urdu ghazalon ke khoobsurat aur behtareen intikhabaat se sajayi gayi hai.Yahan aap mashour-o-maroof shaur�a kay kalaam ka lutf utha saktay hain. Here you will find a huge collection of ghazals from the all time famous and best poets.iss kay sath sath aap yahan apne pasandeeda shaur�a ki ghazlain doosre ba zauq members ke sath share kar sakte hain. |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Rate Thread | Display Modes |
| |||
| aap ki yaad aati rahi raat bhar chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar raat bhar dard ki shamma jalati rahi Gam ki lau thartharati rahi raat bhar baansuri ki surili suhani sada yaad ban ban ke aati rahi raat bhar yaad ke chand dil mein utarte rahe chandni jagmagati rahi raat bhar koi divana galiyon mein phirta raha koi aavaz aatii rahi raat bhar
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| raat bhar didaa-e-Gam-naak mein lahraate rahe saans ki tarah se aap aate rahe, jaate rahe Khush the ham apani tamannaon kaa Khvaab ayega apanaa armaan bar-af****aa naqaab aayegaa nazrein nichi kiye sharmaaye huye aayegaa kaakulein chehre pe bikhraye huye aayegaa aa gai thi dil-e-muztar mein shakebai sii baj rahi thi mere Gam-khane mein shahnai sii shab ke jaage huye taaron ko bhi neend aane lagii aap ke aane kii ik aas thii ab jaane lagii subah ne sej se uThate huye li angrai o sabaa tu bhii jo aai to akele aai mere mehboob meri neend urane vaale mere masjud meri rooh pe chane vaale aa bhi ja take mere sajadon ka arman nikle aa bhi ja ke tere qadamon pe meri jaan nikle
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Dareecha bay sada koi nahi hai Agar chay bolta koi nahi hai..... May aisy jam ghatay may kho gaya hon Jahan maray sewa koi nahi hai......... chalon tu manzilaen hee manzilaen hain rukon tu rasta koi nahi hai................ kisi se aashna aisa huwa hon mujhay pehchanta koi nahi hai
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| ncie sharinggggggggggg Rider |
| ||||
| very nice rider... ![]() nice sharing.. |
| |||
|
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Thanks for the way u like :069:![]()
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| ||||
| Quote:
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| |||
| Mainey din raat apney jisski yaad ke naam kiye hain woh to ikk pall bhi mujhe sochta na hoga jiski tasveer main har aik shae main hoon dekhti rehti ikk nazzar bhi woh shaks mujhe dekhta na hoga yeh labb jo sada osska naam ley kar mangtey hain duaian mera naam bhi woh to kabhi laita nahin hoga ossey sadain daita rehta hey yeh pagal dil mera aik pukar bhi kabhi dil oska mujhe daita nahi hoga meri ankhain dekhti hain har pall rasta oska woh to youn pall pall mera inteezar karta na hoga jiskey liye mera bhawla mann tarasta rehta hey shabb-e-tanhai main meri terah woh tarapta nahin hoga haathon ki lakeeron main ossko dekha hey mainey kabhi bhi mujhe woh shaks aisey talaash karta na hoga osska ehsas beh raha hey mujh main laho ki manidd mujhe woh apney ansoun main bhi pata nahin hoga apney naam ko main osske naam se jor daiti hon merey aur osske rishtey ka ossey kheyal bhi ata nahi hoga jissko mana hey mainey sabab mussarat-e-zindagi woh to mujhe apna dukh bhi maanta nahin hoga ban chukka hey woh meri manzil meri taqdeer kabhi bhi juda rastoon ko meri terah woh aik karta nahi hoga itni door hey mujhse phir bhi merey kitney kareeb hey oss ne to kabhi mujhe mehsoos hi kia nahi hoga tumne to aafi apney wajood ko rang dia hey oski chah main kabhi socha hey tumne woh shaks tumse pyar karta bhi hoga?
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Mohabbat Thair Jaati Hai... Hum aksar yeh samajhtay hain jisay hum piyaar kartay hain usay hum bhool baithay hain magar aisa nahin hota mohabbat daimi such hai mohabbat thair jaati hai !!! hamari baat kay andar mohabbat baith jaati hai hamari zaat kay andar magar yeh kam nahin hoti kisi bhi dukh ki soorat mein kabhi koi zaroorat mein kabhi anjaan se gham mein kabhi lehjay ki thandak mein udaasi ki zaroorat mein kabhi baarish ki soorat mein hamari aankh kay andar kabhi aab-e-rawan ban kar kabhi qatray ki soorat mein bazahir aisa lagta hai usay hum bhool baithay hain magar aisa nahin hota magar aisa nahin hota.... yeh hargiz kam nahin hoti... MOHABBAT THAIR JAATI HAI...!!
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| wajah ye nahi ki tum buri ho sakti nahi... wajah ye hai ki me acha samajhna chahta hoon. wajah ye nahi ki tu ne mujhko chaha nahi... wajah ye hai ki me sirf tujh hi ko chahta hoon. wajah ye nahi ki tu ne mujko ghum nahi diye... wajah ye hai ki me her ghum sehna chahta hoon. wajah ye nahi ki tujhe bhool nahi sakta me... wajah ye hai ke tujhe yaad rakhna chahta hoon. wajah ye nahi tu tabeer de saki na mujhe... wajah ye hai ki me khuaabon me rehna chahta hoon.
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Bachpan k dukh kitnay achay hotay thay, Tab to sirf khilonay toota kartay thay, Wo khushian bhi jane kaisi khushian theen, Titlee k parr noch kar uchala kartay thay, Chotay thay to Makr-o-faraib bhi chotay thay, Daana daal kar chirrian pakra kartay thay, Paon maar k barish k pani main, Apni nao aap daboyya kartay thay, Apnay jal janay ka bhi ehsas na tha, Jaltay hoay sholon ko ch~hera kartay thay, Ab to ik aansoo bhi ruswa kar daita hai, Bachpan main jee bhar k roya kartay thay
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| ||||
| its really nice haan... ![]() |
| |||
|
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Chehra Mera... Nigaahein Uski Chehra mera tha Nigaahein thin uski Khamoshi mein bhi Woh baatein thin uski Mere chehrey pe ghazal likhti gayin Sher kehti hui aankhein us ki Chehra mera tha Nigaahein thin uski Aisey mousam bhi guzaarey hum ne Subhein jab apni thin, shaamein uski Chehra mera tha nigaahein thin uski Khamoshi mein bhi Woh baatein thin uski Neend is soch se tooti Kis tarhan kat-ti hain raatein uski Chehra mera tha nigaahein thin uski Khamoshi mein bhi Woh baatein thin uski
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Meray har aik gunah ki koi haseen saza do mujhay; Aisa karo tum bhula do mujhay mujhsay door rah kar bhi sada khush rahnay ka yakeen dilado mujhay; Aisa karo tum bhula do mujhay Ban k Baygana apnay dil-o-dimag say mita do mujhay; Aisa karo tum bhula do mujhay ho k door mujh say mukamal tanha kardo mujhay; Aisa karo tum bhula do mujhay kahin gar zikar mera jo cchir jayay to bay jhijhak baywafa kahdo mujhay; Aisa karo tum bhula do mujhay
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| ||||
| Quote:
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| |||
| wajah ya nahi k ya fantastic hai wajah ya hai k tumhay pasand hai Aadab........
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | Rate This Thread |
|
|
| These are the 70 most used thread tags
Tag Cloud
|
| (r) acne scars anti virus bahar beauty tips bhala clean technology dosti ke sms dosti sms dosti sms in hindi dosti sms in urdu eid sms english eid sms |