| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Ghazal Below you will find a list of discussions in the Ghazal forums at the Urdu Poetry/Shayari Forum. Ye bazm urdu ghazalon ke khoobsurat aur behtareen intikhabaat se sajayi gayi hai.Yahan aap mashour-o-maroof shaur�a kay kalaam ka lutf utha saktay hain. Here you will find a huge collection of ghazals from the all time famous and best poets.iss kay sath sath aap yahan apne pasandeeda shaur�a ki ghazlain doosre ba zauq members ke sath share kar sakte hain. |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Rate Thread | Display Modes |
| |||
| cheharo.n kii dhuup aa.Nkho.n kii geharaa_ii le gayaa aa_iinaa saare shahar kii biinaa_ii le gayaa Dube huye jahaaz pe kyaa tabsaraa kare.n ye haadasaa to soch kii geharaa_ii le gayaa haalaa.Nki bezubaan thaa lekin ajiib thaa jo shaKhs mujh se chhiin ke goyaa_ii le gayaa is vaqt to mai.n ghar se nikalane na paa_uu.Ngaa bas ek kamiiz thii jo meraa bhaa_ii le gayaa jhuuTe qasiide likhe gaye us kii shaan me.n jo motiyo.n se chhiin ke sachchaa_ii le gayaa yaado.n kii ek bhii.D mere saath chho.D kar kyaa jaane vo kahaa.N merii tanhaa_ii le gayaa ab asad tumhaare liye kuchh nahii.n rahaa galiyo.n ke saare sang to saudaa_ii le gayaa ab to Khud apanii saa.Nse.n bhii lagatii hai.n bojh sii umro.n kaa dev saarii tavanaa_ii le gayaa
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| ||||
| Mujhe se poochte kiya ho zindagi ke bare mein Ajnabi bataye kiya, ajnabi ke bare mein Gair ko bura kehd'oun, gair toh nahi aisa App hi se shikwaa hai, app hi ke bare mein Bewaafa kaha aksar app ne mujhe lekin Is tarha nahi kahte har kisi ke bare mein Ye ghareeb log'oun ke ghar se door rehti hai Tajruba hai ye mera chaandni ke bare mein
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| --MOHABBAT-- Mai Aur kuch nahi Manga tumse siwaye un chahhto ke badle jo maine beshumar tum pe lutaee hain un dharakano ke badle jo sirf tumhare nam pe hi dharki hain un aankho ke badle jinho ne aaj tak sirf tumhare khawab dekhe hain Mai aur kuch nahi mangta tumse apni us zindagi ke badle jisay hamesha tumhare husmsafar hone ka intzar hai apni un sanso ke badle jo aaj bhi tere aney ke intzar mai chal rahi hain mai Aur kuch nahi manga tumse bas aik bar meri chahto ke badle muje apni beshumar chahte de do is dharakte dil ki dharkano ko apna nam lene ki ijazat de do meri aankho mai base her sapne mai akey unhe mukalmal kar do mai Aur kuch nahi Manga tumse bas meri zindagi ke tanha safar mai mere sath chal ke mere humsafar ban jao Mai Aur kuch nahi manga tumse bas aik bar in sanso ke rukne se pehely inhe akey tham lena tum ......
__________________ not failure but low aim is crime |
| ||||
| Ajeeb shaks tha kasa mezaj rakhta tha Sath reh kar bi ikhtalaf rakhta tha main kio na dad doun us k fan ki mere har sawal ka pehly hi jawab rakhta tha Woh tu Roshnion ka basi tha magar meri andheri nagri ka barahi khayal rakhta tha Mohabat tu thi usye kisi or say shayad Humse tu bas younhi hasi mazaq rakhta tha,
__________________ not failure but low aim is crime |
| ||||
| Kabhi Mile to ye baat usay kehna. Bikhar rahi hai meri zaat usay kehna, Kabhi mile to ye baat usay kehna. Wo saath tha to zamana tha humsafar mera, Magar ab koi nahin mere sath usay kehna. Usay khena k bin uske din nahin guzerta, Sissak sissak ke kut ti hai raat usay kehna. Usay pukaroon k khud hi puhanch jaoon uske pass, Nahin rahe wo ha|at usay kehna. Ager wo phir bhi na |oty to Ay Mehrbaan "Suroor" Hamari zeest k ha|aat usay kehna, Her jeet uskey hi naat ker raha hoon main. Main maanta hoon apni haar usay kehna.
__________________ not failure but low aim is crime |
| |||
| Quote:
nice poetry.. thx for sharing..
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| na kisii kii aa.Nkh kaa nuur huu.N na kisii ke dil kaa qaraar huu.N jo kisii ke kaam na aa sake mai.n vo ek musht-e-Gubaar huu.N na to mai.n kisii kaa habiib huu.N na to mai.n kisii kaa raqiib huu.N jo biga.D gayaa vo nasiib huu.N jo uja.D gayaa vo dayaar huu.N meraa rang-ruup biga.D gayaa meraa yaar mujh se bichha.D gayaa jo chaman fizaa.N me.n uja.D gayaa mai.n usii kii fasl-e-bahaar huu.N paye faatehaa ko_ii aaye kyuu.N ko_ii chaar phuul cha.Daaye kyuu.N ko_ii aake shammaa jalaaye kyuu.N mai.n vo bekasii kaa mazaar huu.N mai.n nahii.n huu.N naGmaa-e-jaa.N_fishaa.N mujhe sun ke ko_ii karegaa kyaa mai.n ba.De barog kii huu.N sadaa main ba.De dukh kii pukaar huu.N
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| ||||
| Quote:
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| Quote:
thanks alot for sharing
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| ye shab-e-firaq ye bebasi haiN qadam qadam pe udaasiyaa.N meraa saath koi na de sakaa meri hasarateN haiN dhuaaN dhuaaN maiN taRap taRap ke jiyaa to kyaa mere Khvaab mujh se bichaR gaye maiN udaas ghar ki sadaa sahi mujhe de na koi tasalliyaa.N chali aisi dard ki aaNdhiyaN mere dil ki bastii ujaR gayee ye jo raakh-si hai bujhi bujhi haiN isi meiN meri nishaniyaaN ye fizaa jo gard-o-GubaaR hai meri bekasi kaa mazaar hai maiN vo phuul huuN jo na khil sakaa meri zindagi meiN vafaa kahaN
__________________ ![]() Suno! Tum Azm Walay Ho Bala Ka Zabt Rakhtay Ho Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga Magar Dekho Jisay Tum Chhoray Jatay Ho Usay Tou Theek Se Shayad Bichharna Bhi Nahi Aata Suno! Tum Azam Walay Ho Usay Matt Chhor Ke Jao |
| ||||
| Jo khayal thay na kyas thay wo log hum se bicharr gaye , meri zindgi ki jo aas thay wo log hum se bicharr gaye jinhain manta he nhn ye dil wohi log meray humsafar, mujay her tarha se jo rass thay wo log hum se bicharr gaye mujay lamha bhar ki rafakton kay azab or staiyain gaye, meri umar bhar ki jo payas thay wo log hum say bichaar gaye ye khayal saray hain arzi, ye gulab saray hain kagzi, gulay arzo ki jo bas thay wo log hum se bicharr gaye jinhain kar saka na kabool mein, wo sharik e safar hoay, jo meri talab meri aas thay wo log hum say bichar gaye
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| Koi nishaani-e-gham chorrh kar nahi jaatey Bagoolay naqsh-e-qadam chorrh kar nahi jaatey Kuch is tarha say paroyee gai khayalon mai Wo hum ko chorh dain--hum chorrh kar nahi jaatey Humein hi maangtey rehtay hain--jee nahi bharta Wo dil mai dard toh kum chorrh kar nahi jaatey Kabhi toh unko humaara khayal ayeega NAHI--wo aisa bharam chorrh kar nahi jaatey
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| Kabhi yon bhe aa mayri ankee may kha mayri nazar ko khabar na ho Mujay aik raat nawaz day, magar us kay bad sayhar na ho Wo bara raheem-o-kareem hay , mujay ye sifit be ata kar Tujay bholnay ki dua karoon to mayri dua may asar na ho Mayray bazooaoo may taki taki abhi mayhw-y-khuab hay chandni Na uthay sitaroon ki palki, abhi ahtoon ka guzar na ho Ye gazal kha jaysay hiran ki ankee may pichlii raat ki chandni Na buhjay kharabay ki roshni, khbi bay charge ye ghar na ho Kabhi din ki dhomm may ghom kay, khabi shaab kay phol ko choom kay Yon sath sath chalay sada, khabi khatam apna safar na ho
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| Ghayal kiya jab apno ne,to gairon se gila kya karna . uthaaye hain khanjer jab apno ne, to zindagi ki tamanna kya karna dil tha ik kanch ka ghar ,so aakhir wo bhi toot gaya . qismat main likhey hain jab gum ,to khuda se gila kya karna taraste rahi zindagi bhar jin sachey rishton ke liye. jab unhon ne hi thukra diya, to gairon se tawaqo kya karna jis ko samjha tha apna, jis ko banaya tha apna raazdaan. usi ne jab dil tor diya, to gair ko apna kar kya karna muskurana jo bhool gaye hont to kya hua . gum ko bana liya hai apna, to muskura ke ab kya karna
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| Dil pareshaan hai raat bhaari hai Raat kya umra yun guzari ha Wo haseen fitratan shikari hai Dena awaaz kiski baari hai Maut kya Zindagi ko maaregi Zindagi Zindagi ki maari hai Subah aayi nahi bulayi gayi Raat guzri nahi guzaari hai Dil be-muda-a kissika nahi Saara sansaar hi bhikhari hai Uska jalwa na dekh paaya koyi pardadaari ki pardadaari hai
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| |||
| Is se pehle ke bewafaa ho jaayein Kiyon na ai dost, hum judaa ho jaayein Tuu bhii hiire se ban gayaa patthar Hum bhii kal kyaa se kyaa ho jaayein Hum bhii majbooriyoon kaa uzr karein Aur kahiin aur, mubtalaa ho jaayein Ishq bhii khel hai nasiiboon kaa Khaak ho jaayein, kimiyaa ho jaayein Ab ke gar tuu mile toh hum tujh se Aise liptein, terii qabaa ho jaayein Bandagii hum ne chorr dii hai 'Faraz' Kyaa karein, log jab khudaa ho jaayein
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Agar ansoo baha deta to us ke pass kia rehta woh mujh ko hoosla deta to us ke pass kia rehta nishan mujh ko nahi milta koi us tak pohachnay ka mujhe apna pata deta too us ke pass kia rehta woh iss man main tha kay jiss kay dam per ab woh zinda hia main us ka dil dukha deta to us kay pass kia rehta musafir saray hi phaal kha kay apni rah chal daitay shajar tehni jhuka deta to us ke pass kia rehta meri yaadon nay hi ab tak usay abaad rakha hai woh muj ko bhi bhula deta to us k pass kia rehta
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Azmat-e-Fun K Parastar Hai Hum Yeh Khata Hai Tu Khata War Hai Hum Jhd Ki Dhoop Hai Iemaan Apna Munkar Saya-e-Dewar Hai Hum Jante Hai Tere Ghum Ki Qeemat Mante Hai K Ghuna-gar Hai hum Us Ko Chaha To Kabhi Khud Ki Tarah Aaj Khud Apne Hi Talab-gar Hai Hum Koi Manzal Hai No Jadoo MOHSIN Soorat-e-Gardish Parkar Hai Hum
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Kisi ki maang sajti hai, mujhe tum yaad aatey ho Mohabbat jab tarahpti hai mujhe tum yaad aatey ho Khiza'n mai zard pattey jab bitcharh jate hain shakho'n se Koi rutt jab badalti hai mujhe tum yaad aatey ho Mujhey ye bhi kisi ki chahato'n ka khoon lagta hai Kahee'n mehndi nikharti hai mujhey tum yaad aatey ho Mohabbat bhi to yunhee bheeg jati hai andhero'n mai Shafaq mai dhoop dhalti hai mujhe tum yaad aatey ho Sama jata hai aankhon mai terey jazbo'n ka bheega pann Kahee'n baarish barasti hai mujhe tum yaad aatey ho Zamaney k sawalo'n ko mai hans kar taal doo'n lekin Nami aankho'n ki kehti hai mujhe tum yaad aatey ho
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | Rate This Thread |
|
|