| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Ghazal Below you will find a list of discussions in the Ghazal forums at the Urdu Poetry/Shayari Forum. Ye bazm urdu ghazalon ke khoobsurat aur behtareen intikhabaat se sajayi gayi hai.Yahan aap mashour-o-maroof shaur�a kay kalaam ka lutf utha saktay hain. Here you will find a huge collection of ghazals from the all time famous and best poets.iss kay sath sath aap yahan apne pasandeeda shaur�a ki ghazlain doosre ba zauq members ke sath share kar sakte hain. |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Rate Thread | Display Modes |
| ||||
| ab ke yuN dil ko sazaa dii hamne us kii har baat bhulaa dii hamne ek, ek phuul bahut yaad aaya shaaKh-e-gul jab vo jalaa dii hamne aaj tak jis pe vo shermaate haiN baat vo kab kii bhulaa dii hamne shah’r-e-jahaaN raaKh se aabaad huaa aag jab dil kii bujhaa dii hamne aaj phir yaad bahut aaya vo aaj phir us ko du’aa dii hamne ko’ii to baat hai us meN “Faiz” har Khushii jis pe luTaa dii hamne
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| Thak jaao gar pathreele raaston pe chalte hue Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum Har waqt bura kat jaat hai, yaqeen karna Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage Apni duaaon main mujh ko paaoge tum Ishq naam to nahin hai milan ka, deedar ka Dil se dil ka mil jaana hai naam-e-mohabbat Jo yaad aa jaaye meri, na samjhna ki door hoon Apne seene main dhadakta mujh ko paaoge tum Waqt ki garmi jo jhulsaane lage wujood Meri chahat ki nami ko mehsoos karna Jo sard hawaain zamane ki aane lagen paas Meri wafaaon ki garmi ko mehsoos karna Main tumse juda to nahin hoon mere humdum Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum !!
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| |||
| nice collection... thz for sharing.
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| ||||
| Yeh zindagi bari ajeeb si Kabhi gulzar si kabhi bezar Si Kabhi khushi hamaray sath sath Kabhi gammon ki Barsat si Yeh zindagi bari ajeeb si Kabhi to tofanon main Bhi hain rastay Kabhi manzilon ka pata nahi Kabhi do Kadam pay zindagi Kabhi saddeuon tak intizar si Yeh Zindagi bari ajeeb si Kabhi her pal emtihan hai Kabhi Bin mangay Inaam hai Kabhi kuch nahi Kabhi sab kuch si Yeh zindagi bari ajeeb si Kabhi gulzar si kabhi bezar si
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| Main andheri raat ka musafir keroon roshni ka intezaar kia?? Tay ker loon musafatain raat main sulaghtay din ka etabar kia?? Mujhay rastay main nafratain mili or kuch phool bewafai k.. Main kia janoo kia hai muhabat kia samjhoon hai yeh pyar kia?? Main tanhaiyon main zinda hoon main per katta parinda hoon.. Koi aa k mujhay bata jaey hota hai wisaal-e-yaar kiaa?? Koh-e-toor per to pohanch gaey sang le ker kuch ahl-e-nazar.. Jis nazar ko taab-e-deedaar nahi woh nazar keray deedar kia?? Yeh rog ishq ka rog hai yeh saaz nahi yeh soz hai… Is rog ki koi dawa nahi phir dawa keray beemaar kia?? Us ne jaan meri maang li sadqay main apnay pyaar k… Yeh dum to usi humdum ka tha phir kerta main inkaar kia?? Main thak ker baitha tha Majid ik shajar ki ghanni chaon main.. Jis ne tan man mera jala diya woh shajar tha sayadaar kia??
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| acha G...aap kaisay kah saktay hain:)
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| |||
| ya phir kabhi bcz its time to khisco.. nice talking with u apna bohat sara khayal rekhna or duaon may yaad rekhna.. Allah hafiz
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| ||||
| Ok G khair naal jao te khair naal aao...:)
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| vaqt-e-safar qariib hai bistar sameT luu.N bikharaa hu_aa hayaat kaa daftar sameT luu.N phir jaane ham mile.n na mile.n ik zaraa ruko mai.n dil ke aa_iine me.n ye manzar sameT luu.N Gairo.n ne jo suluuk kiye un kaa kyaa gilaa phe.nke hai.n dosto.n ne jo patthar sameT luu.N kal jaane kaise ho.nge kahaa.N ho.nge ghar ke log aa.Nkho.n me.n ek baar bharaa ghar sameT luu.N sail-e-nazar bhii Gam kii tamaazat se Khushk ho vo pyaas hai mile to samandar sameT luu.N 'Ajmal' bha.Dak rahii hai zamaane me.n jitanii aag jii chaahataa hai siine ke andar sameT luu.N
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| |||
| Paas apne ager wah bulate kissa-e-gam unhe ham sunate sar mera apne pahloo me lekar kash koi gazal wah sunate der kitni laga di unho ne mar na jaun kahin aate aate mujh se hoti ager unko ulfat wah rakibun se keun dil lagate elm eska to thaa aam hona ishque aakhir kahan tak chupate har jafa har setam bhool jate tum bulate to keya ham na aate jaan karte feda tum pe zahid kash unko kabhi aazmate
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Unki yaad aaye to dil kya kare Yaad dil se na jaye to dil kya kare Socha tha sapno main mulakat hogi magar Neend na aaye to dil kya kare Kaash wo meri taqdeer ho jaye main uska aena wo meri tasveer ho jaye, zameen asman se cut jay mera nata, uski yad ka her lamha meri jageer ho jay zuban khamosh, aankhon main nami hogi, yahi bus ek daastan-e-zindagi hogi, bharne ko to har zakhm bhar jayega, kaise bharegi woh jagah jahan aapki kami hogi
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Koi Aarzoo Nahi Hai Koi Justujoo Nahi Hai Tera Gham Rahe Salamat Mere Dil Mein Kya Nahi Hai Tu Bachaaiy Laakh Daaman Mera Phir Bhi Hai Ye Dawa Tere Dil Mein Main Hi Main Hun Koi Doosra Nahi Hai Tumhein Keh Diya Sitamgar Ye Qusoor Tha Zubaan Ka Mujhe Tum Maaf Kardo Mera Dil Buraa Nahi Hai Mujhe Dost Kehne Waale Zara Dosti Nibhaa Le Ye Mutaalba Hai Haq Ka Koi Iltijaa Nahi Hai Meri Aankh Ne Tujhe Ba Khuda Mujhsa Paaya Main Samajh Raha Tha Mujhsa Koi Doosra Nahi Hai
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Patta Patta boota boota Hal hamara janay hay Janay najanay Gul hi na janay, Bagh to sara janay hay Charagari bimariye dil ke rasme shehre husn nahi Warna dilbar ay nada.N bhi is dard ka Chara janay hay Mehr o wafa o lutf o inayat ik se waqif in main nahi aur to sab kuch tanz o kenaye ramz o ishara janay hay.
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Jaanay kyun loag pyar kartay hain? Sach poocho to waqt barbaad kartay hain, Kya rakha hai aise fazool kaamon main? Raaton ki neend apni haraam kartay hain, Kuch nahi milta dil lagaanay main, Jeena aur bhi dushwaar kartay hain, Jhoot hain sab ishq o pyaar ki baatain, Yeh lafz kitaabon main hi sajaa kartay hain...,
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Mera khamosh reh kar bhi unhain sabb kutch suna dena Zuba'n se kutch na kehna dekh kar aansoo baha dena Nasheman ho na ho ye to falak ka mashghala thhehra K do tinkey jaha'n par dekhna bijlee gira dena Ijazat ho to kehdoo'n qissa e ulfat sar e mehfil Mujhey kutch to fasana yaad hai kutch tum suna dena Mai mujrim hoo'n mujhey iqrar hai jurm e mohabbat ka Magar pehley khata par ghaur kar lo phir saza dena Mai jiss haalat mai pohncha hashr waley khudd pukar utthey Koi faryad karne aa raha hai raasta dena
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| mudaat howi hay yaar ko mahmaan kiye howay joshe qadha se bazam charagaan kiye howay karta hon jama phir jigar e lakht lakht ko arsa howa hay dawat e mishgaan kiye howay phir wazha e ahtiyaat se ruknay laga hay dam barso howay hain chaak garaibaan iye howay phir garm e nala haye sharar baar hay nafas muddat howi hay sairae charagaan kiye howay phir purshishe jarrahate dil ko chala hay ishq saman e sad hazar namakdaan kiye howay baham digar howay hain dil o deeda phir raqeeb nazzara o khayal ka saman kiye howay dil phir tawafe koey malamat ko jaye hay pindaar ka sanam qada weeraan kiye howay phir shoq kar raha hay kareedaar ki talab arze matae aqal o dil o jaan kiye howay doray hay phir har aik gul o lala par kahayl sad gulistaan nigah ka saman kiye howay phir chahta hon,naamae dildaar kholna jaan,nazrae dil faraibi onwaan kiye howay mangay hay phir,kisi ko lab e baam par hawis zulf e siyaah,rukh pe preshaan kiye howay chahye hay phir,kisi ko muqabil main,aarzoo surmay se taiz dashna e mishgaan kiye howay ik no bahar naaz ko takay hay phir nigaah chera faroge may se gulistaan kiye howay phir,jee main hay k dar pe kisi k paray rahain sar zair baar e mannat e darbaan kiye howay jee,dhondta hay phir,wohi fursat k,raat din bhaithay rahay tasawurr e jaana kiye howay ghalib,humain na chair k phir josh e ashk se bhaitay hain hum tahiyyae tofaan kiye howay
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Wafa mein ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai Woh sach kahay na kahay aitbaar karna hai . . Yeh tum ko jaagtay rehnay ka shoq kab se hua? Mujhe tau khair tera intizaar karna hai!! . . Hawa ki zadd mein jalanay hain aansu-on k charagh Kabhi yeh jashan sar-e-raah guzaar karna hai . . Woh muskura k naye was-wason mein daal gaya Khayyal tha yeh k ussay sharamsaar karna hai . . Misaal-E-Shaakh-E-Barehna khizaan ki rut mein Khud apnay jism ko barg-o-baar karna hai . . Tere firaq mein din kiss tarah kaatay hain K shughal-e-shab ko sitaray shumaar karna hai . . Chalo yeh ashk hi moti samajh k baich aayein Kissi tarah tau humain rozgaar karna hai . . Kabhi tau dil mein chhupay zakhm bhi numaayaan hon Quba samajh k badan taar taar karna hai . . Khuda khabar yeh koi zid hai k shauq hai MOHSIN Khud apni jaan k dushman se piyar karna hai....!!!
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Sham-E-Gham bikhar gayee ho gi Janay kiss kiss k ghar gayee ho gi . . Itni larzaan na thi charagh ki la'u Apnay saaye se darr gayee ho gi . . Chandni ik shab ki mehmaan thi Subah hotay hi mar gayee ho gi . . Dair tak woh khafa rahay mujh se Door tak yeh khabar gayee hogi . . Aik dariya ka rukh badaltay hi Aik nadi phir utar gayee ho gi . . Jiss tarah woh safar pe nikla tha Sari raunaq udhar gayee ho gi . . Raat suraj ko dhhondnay k liye Taa ba hadd-e-sehar gayee ho gi . . Meri yaadon ki dhoop chhaaon mein Us ki surat nikhar gayee ho gi . . Ya talluq nibh na saka us se Ya tabbiyat hi bhar gayee ho gi . . Teri pal bhar ki dosti MOHSIN Us ko badnaam kar gayee ho gi.....!!!
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
| |||
| Hum tere shehr main aye hain musafir ki tarha sirf ek bar mulakat ka moka de day... Hum tere shehr main aye hain musafir ki tarha.. meri manzil hai kaha mera thikana hai kaha? subho tak tujh say bhichar kar mujhay jana hai kaha? sochnay k liye ek raat ka moka de day.. Hum tere shehr main aye hain musafir ki tarha.. apni ankho main chupa rakhay hain jugno mai nay apni palko main saja rakhay hain ansu main nay meri ankho ko bhi barsaat ka moka de day.. Hum tere shehr main aye hain musafir ki tarha.. aj ki raat mera dard-e-muhabat sun lay kapkapatay huay honto ki shikayat sun lay aj izhaar-e-khayalaat ka moka de day.. Hum tere shehr main aye hain musafir ki tarha.. bhoolna tha tu ye iqraar kya hi kue tha? bewafa tunay mujhay pyar kya hi kue tha? sirf do char sawalaat ka moka de dy.. Hum tere shehr main aye hain musafir ki tarha.. sirf ek bar mulakat ka moka de day...
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | Rate This Thread |
|
|