| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Ghazal Below you will find a list of discussions in the Ghazal forums at the Urdu Poetry/Shayari Forum. Ye bazm urdu ghazalon ke khoobsurat aur behtareen intikhabaat se sajayi gayi hai.Yahan aap mashour-o-maroof shaur�a kay kalaam ka lutf utha saktay hain. Here you will find a huge collection of ghazals from the all time famous and best poets.iss kay sath sath aap yahan apne pasandeeda shaur�a ki ghazlain doosre ba zauq members ke sath share kar sakte hain. |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Rate Thread | Display Modes |
| Sponsored Links |
| ||||
| yeh koochay yeh nelaam ghar dilkashi kay ye lutay huay karwaan zindagi k kahan hain kahan hain muhafiz khudi k sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain ye pur paych galiyaan ye badnaam bazaar ye gumnaam raahi ye siikoon ko jhankaar asmaat kay sauday yeh saudoon pay tikraar sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain taafuun say pur, neem roshan ye galiyaan ye maslee hui adh khili zard kaliyaan ye bikti hui khokhli rang raliyaan sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain ye ujlay darechoon mai payal ke chan chan tanafuus ek uljhan pay tablay ki dhan dhan ye bay rooh kamroon mai khansi ke thun thun sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain ye gonjtay huay qahqahay rastoon par ye charoon taraf bheer se khirkiyun par ye awazay khainchtay huay anchaloon par sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain ye phoolon kay gajray yeh peekon kay cheentay ye baybaak nazraian ye ghustakh fikray ye dhalkay badan aur bemaar chehray sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain ye bhoki nighain hasenoo ke jaanib ye barhtay huay hath seenoo ke jaanib lapaktay huay paoon zeenoo ke jaanib sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain yehan peer bhi aa chukay hain jawan bhi tanoo mand baytay bhi aba miyan bhi ye biwi bhi hai aur behn bhi hai maa bhi sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain madaad chahti hai ye hava ki baytee yashodha ke hamjins radha ke baytee paimbar ki umaat zulekha ki baytee sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain zara mulk kay rahbaroo ko bulaoo ye koochay ye galiyan ye manzar dikhaoo sana khuwaan e taqdees e mashriq ko laoo sana khuwaan e taqdees e mashriq kahan hain |
| ||||
| nigah ki aakhri hadh tak chaloon ga, mein rah ki aakhri hadh tak chaloon ga tujhey paaney ki khawahish dil mein ley kar, dua ki aakhri hadh tak chaloon ga mujhey tera kinara dekhna hey, jafa ki aakhri hadh tak chaloon ga agar woh neem wah aankhein pilaaen, gunah ki aakhri hadh tak chaloon ga bhattak kar us sheher mein ittefaqan, nazah ki aakhri hadh tak chaloon ga mein kaisey aeteraf_e_ishq kar loon, ana ki aakhri hadh tak chaloon ga woh khanjar bhi agar maarey to saghar, wafa ki aakhri hadh tak chaloon ga |
| ||||
| SABIT HOWA KAY ABB MUHABAT NAHI RAHI.. WO SHAKHS MUJKO DEKH KER ANKHAIN CHURA GIA... |
| ||||
| Dekhon Jo Teray Hathon Ko Lagta Hai Teray Hath Mandir main Faqt Deep Jalanay kay Leay hain Yeah Ilam Ka Soda, Yeah Rasalay, Yeah Kitabain Ik Shakhs Ki Yaadon ko Bhulanay kay Leay Hain |
| ||||
| To Badla hai To BaySakta MERI ANKHAIN.. Meray Hathoin Ki LAKIRON se Ulaj Jati hain |
| ||||
| Ajj Lay Chal Mujhey Phir Dor Fizaon Main Kahin KHAMOSHII BHIKHRI HOWI HO JO MERAY JARON TARAF KOI MOJOD NA HO MERAY SIWA US JAYE PER MAIN SARA GUZARI HOWI BATAON KO DHURAHON GA APNAY DAMAN MAIN SAMATEY HOWAY IN KHARON KO JIN KI NOKON PAY MERAY KHOON KAY NISHAN BAGI HAIN AK IK KER KAY BHIKHARON GAA KAY EHSAD TO HO ZINDAGI.. HAAN KAY NAHI... INKAY BINA GUZARAY GII..!!!! |
| ||||
| Meray piyasay khawab jazeeroon per Umeed tadapti rehti hai Ek aas machalti rehti hai Ek sawan aag lagata hai Bin barsay guzaray jata hai Yeh jeewan tanha tanha sa Yeh rahein sooni sooni sii Meri jagi jagi aankhoon ko Kion her pal chubhati rehti hain Kisi hamdam ki kisi rahi ki Umeed main jagti rehti hain Dil seenay k iss pinjaray main Kion baykal baykal rehta hai Khamoshi k iss parday main Janay mujh say kia kehta hai Hum khush hain bohat yeh baat alag Her sans sisakti rehti hai |
| ||||
| ISKI NAWAZISHON NEY TO HERAN KAR DIYA MAIN MAIZBAN THA MUJHE MEHMAN KAR DIYA IK NO BAHARE NAZ KEH HALKE SAY LAMS NEY MERE TO SARE JISM KO GULDAN KAR DIYA JEENE SAY IS QADAR LAGAO NA THA MUJHE TU NE TO ZINDAGI KO MERI JAN KAR DIYA QURBAT KEY PAL WO ITNA SAKHI THA KEH IS NE PURA TAMAM UMER KA NUQSAN KAR DIYA ITNE SAKOON KEY DIN BHI KABHI NA DAIKHE THEY ASOODGI NEY MUJHKO PARESHAN KAR DIYA |
| ||||
| waha wah wah
__________________ ![]() l||l • Kamii • l||l |
| ||||
| Quote:
|
| ||||
| TERE BAREY MEIN JAB SOCHA NAHI THA MEIN TANHA THA MAGAR ITNA NAHI THA TERI TASWEER SAY KARTA THA BAATEIN MERE KAMRAY MEIN JAB AINA NAHI THA SAMUNDAR NEY MUJHE PYASA HI RAKHA MEIN SEHRA MEIN THA TU PYASA NAHI THA MANALAY ROOTHNEY KEY KHEL MIL KAR BICHAR JAYEIN GAY YEH SOCHA NAHI THA |
| ||||
| thaki thaki si aas hay,yeh dil buhat udaas hay koi to dard raas hay,yeh dil buhat udaas hay yeh to hay ya lata pata huwa koi khyal hay koi to aas paas hay,yeh dil buhat udaas hay nidhal youn huay keh saab zerroratain he margayin na bhook hay na piyaas hay,yeh dil buhat udaas hay nah janay kis khyal say,bhuja bhuja hay aaj kal yahi jo tera udaas hay,yeh dil buhat udaas hay her aik aik say yahipaker kay poochtay rahay kahan woh gham e hehnaashay,yeh dil buhat udaas hay ajab tarah kay wasoon mein ghir gayi hay zindagi umed hay na aas hay,yeh dil buhat udaas hay na jao jisam par sajay huay haseen libaa par badan tou khush libaas hay,yeh dil buhat udaas hay |
| |||
| Quote:
oooo wohhhhh its really nice one aap nay tu kamal kar dia
__________________ Aansu ko bahot samjhaya tanhai me aaya karo, Mehfil me hamara mazak na udaya karo, Ispar aansu tadap kar bola, Itne logo me apko tanha paate hai, Isliye chale aate hai! |
| ||||
| Quote:
ShukeriYa |
| ||||
| Ahl-e-dil aur bhee hain ahl-e-vafa aur bhee hain aik hum hee naheen duniya say khafa aur bhee hain kiya hua gar miray yaaron kee zubaanain chup hain mairay shaahid miray yaaron kay siwa aur bhee hain hum pay hee khatm naheen maslak-e-shoreeda-saree chaak-e-dil aur bhee hay chaak-e-qaba aur bhee hain sar salaamat hay to kiya sang-e-malaamat kee kamee jaan baaqee hay to paikaan-e-qaza aur bhee hain munsif-e-shehar kee vehdat pay na harf aajaye log kehtay hain kay arbaab-e-jafa aur bhee hain |
| ||||
| mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho kahin aur ho na ye hadsa koi raaste mein judaa na ho mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakir hai zaraa barh ke chand se puchna vo isi taraf se gayaa na ho sar-e-shaam Thehari hui zamin, aasman hai jhuka hua isi mod par mere vaaste vo chiragh le kar khada na ho vo farishte aap hi Dhoondiye kahaniyon kii kitaab mein jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakegii ek din vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho mujhe yun lagaa ki Khaamosh Khushbu ke hont titali ne chu liye inhi zard patton ki oT mein koi phool soyaa huaa na ho isii ehatiyaat mein main rahaa, isi ehatiyaat mein vo rahaa vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho |
| ||||
| jo meri aankhon say khuab daikho to,, aik shab bhi na so sako gay. hazar chaho na hans sako gay hazar chaho na ro sako gay, k,,khuab kiya hain azab hain yeh, meray dukhon ki kitab hain yeh, rafaqatain in main chutt-ti hain, mohabbatain in main rooth-ti hain, panapty hain in main wehshatain si, azziyatain in main phoot-ti hain, inhi kay darr say khizan hain jazbay, inhi say shakhain si toot-ti hain, ghamon ki bandish hain khuab meray, dukhon ki barish hain khuab meray raheen-e-atish hain khuab meray ubal raha hay dukhon ka laawa.. khayal saray jhulas gaye hain, sulagti khuahish hain khuab meray ukhadti sansain hain zindagi ki lahoo ki sazish hain khuab meray jo mery ankhon say khuab daikho to.... ek shab bhi na so sakogay..... |
| ||||
| kyaa Khabar thii ke main is darjaa badal jaaungaa tujh ko kho duungaa tere Gam se sambhal jaaungaa ajanabii ban ke miluungaa main tujhe mahafil men tuu ne chhedii bhii to main baat badal jaaungaa Dhuundh paaye na jahaan yaad bhii terii mujh ko aise jangal men kisii roz nikal jaaungaa zid men aaye hue maasom se bache kii tarah Khud hii kashtii ko Dubone pe machal jaaungaa |
| ||||
| ajnabi si rahon mein, dor tak nigahon mein teergi ka mosam hai, berukhi ka mosam hai aaj phir nigahon ko, bete kal ki pyas hai aisa lagta hai jese, chand phir udas hai rang pheeke pheeke hain, tary roothe roothe hain badalon ka shor hai, khizan khizan ye shor hai iss qadar akele mein, pyar ki talash hai aisa lagta hai jese, chand phir udas hai ajab hai dil ki weshaten, aur aas paas ahaten jis ko dhoondna chaho, os ko dhoond kab pao phir raha hon darbadar, mojze ki talash hai aisa lagta hai jese, chand phir udas hai |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | Rate This Thread |
|
|
| These are the 70 most used thread tags
Tag Cloud
|
| (r) acne scars anti virus bahar beauty tips bhala clean technology dosti ke sms dosti sms dosti sms in hindi dosti sms in urdu eid sms english eid sms forumpk free urdu poetry friendship iz friendship poetry funny eid sms funny islamic sms funny poetry funny ramadan sms funny sms funny urdu poetry gama green it greetings & quotes happy eid hindi poetry funny hindi ramadan sms islamic sms islamic sms collection islamic sms in urdu jat latest / new eid sms latest/new islamic sms love & romantic sms love poetry love sms love sms2 love urdu poetry matka. mobi-number city details nazms new ramadan sms nice sms pakistani forum. play online games poems quotes poetry pos quran ramadan sms text messages |