| Bhula Bethay Jab tera naam aaya har naam bhula bethay,
Gumnaam huay aisay har naam bhula bethay,
Bazar-e-muhabbat main sodagri kia kartay,
jab saamne aap aey sab daam bhula bethay,
Aane lagi har subah ko yaad teri jab sey,
Ulfat hui subha sey or sham bhula bethay,
jab se tera masoom sea chehra nazar aaya,
Dunya ko to kia khud ko bhi bhula bethay.
__________________ |