| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| General Poetry Share your general poetry here ... |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Rate Thread | Display Modes |
| ||||
| Z a i n o's Collection Mukaddar k sitaron per, Zamanon k ishaaron per, Udaasi k kinaron per, Kabhi veeran sheron mein, Kabhi sunsaan raahon per, Kabhi hairaan aankhon mein, Kabhi beejan lamhon mein, Tumhari yaad chupke se koi Sarghosi karti hai, Ye palkein bheeg jati hain, Main palkon ko jhukata hon, bazahir muskurata hon, Faqt itna hi kahta hon.... Mujhe kitna satatey ho.. Mujhe tum yaad aatay ho ....
__________________ |
| Sponsored Links |
| ||||
| Tum meray ho tumhara koi naam na le, In bheegti aankhon ka koi jaam na le. Kuch is liye bi maine tmhara haath na chora, k tum gir gaye tu tmhein koi thaam na le.
__________________ |
| |||
| bth khoob zaino.......... keep posting |
| ||||
| Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki, Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki. Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo, Saza mili hai hume muskurane ki Hasraton pe rivaajo ka sakhta pehraa hai, Na jaane kaun si ummeed pe jaake yeh dil thehraa hai, Meri aankhonmein se chhalakte hue yeh ashk aur gam ki kasam; Mera yeh pyaar.... Bahot gehraa hai... Aansuo mein raat bhar rona para , Tery milan sy to haath dhona para , Tery milna tha khwaab mera ; Khwaab laany k liye sona para... Taarikh ke duniya mein kabhi aisa bhi dor aayi hai... Lamhon ne khata ke hai, Sadiyon ne sazaa paayi hai... Zindagi mein do he lamhe bari mushkil sy guzaary , Ek tery aane sy pehlay.... or ek tery jaany k baad...
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| Be naam sa yh dour thehr keun nahi jata Jo beet geya hai wo guzar keun nahi jata Sab kuch to hai kya dhondhti hain nigahain Kya baat hai main waqt py ghar keun nahi jata Wo aik he chehra to nahi saray jahaan mein Jo door hai wo dil sy utar keun nahi jata Main apni he uljhi hue rahoon ka jamasha Jatay hain jidhr sab main udhr keun nahi jata Wo naam jo barson sy na chehra na badnn hai Wo khuab agay hai to bikhar keun nahi jata....
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| kitnay din beet gaye hain dekho to sahi kitnay chiragh bujh gaye hain dekho to sahi mausam bahar ka phir tanha guzar gaya khizaan ek bar phir agayee hai dekho to sahi kitni chahat say likhta tha main naam tumhara wo qalam hi tordia hai zara dekho to sahi itni asaani sy to milti nahi nafrat bhe lakin tumnay hasil shuda pyar thukradia dekho to sahi anchal mai apnay chupayay thy moti bohat ab k zabt tutnay sy saylab ravan hai dekho to sahi ana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar kitni bar tumnay jhukaya hai dekho to sahi faqeer ban kar teray kuchay mai akar "S", kitni aas say dekhta hoon tumhain dekho to sahi...
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| Ashk ankh main phir atak raha hai kankar sa koi khatak raha hai main is k khial sy gureezan woh meri sada jhatak raha hai tehreer usi ke hai ,magar dil khat parhtay huay atak raha hai hain phone pay kis kay sath batain or zehan kahan bhatak raha hai sadioon say safar main hai samundar sahil pay thakan tapak raha hai aik chand saleeb saakh -e-gul par bali ki tarah latak raha hai!
__________________ ![]() Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil... ...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ... ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ... believe in ALLAH n urself" |
| ||||
| Hamesha Dair Kar deta hon main..... Zaroori Baat kahni ho, Koi wada nibhana ho, usay awaaz deni ho, usay wapis bulana ho. Hamesha dair kar deta hon main.... madad karni ho uski, uski himmat bandhani ho, bohat dairina raston pe, kisi se milne jana ho. Hamesha dair kar deta hon main... badalte mausamon ki sair mein, dil ko lagana ho, kisi ki yaad rakhna ho, kisi ko bhol jana ho. Hamesha dair kar deta hon main.... kisi ko maut se pehlay, kisi gam se bachana ho, haqiqat aur thi, usko ja ke ye batana ho. Hamesha dair kar deta hon main.....
__________________ |
| ||||
| Jaana....!!! ye tu tumhein pata hi hoga, K janay walon ka afsos kar sakte hain.... Marnay walon pe ro sakte hain, Magar unke lautney ka intezaar nahi karte. Marnay wale kabhi wapis nahi aatay.... Unko awaaza nahi detay. Un mein dil nahi dharakta, Ehsas nahi hota.. Jazbaat nahi hotey... Jo mar jayein wo lauta nahi karte.. Tum bhi mera rasta na takna, Mera intezaar na karna... Jo tumhari mohabbat k liye marta tha, Usay tumhari mohabbat ne hi maar dala.. Aur Janaa...!!! Marney wale kabhi lauta nahi karte.....
__________________ |
| ||||
| Dekh lo khuwaab magar khuwab ka charcha na kro... Log jal jayein ge, Soraj ki tamanna na karo. Waqt ka kia hai, kisi bhi pal badal sakta hai... Ho sakey tu tum mujh pe bharosa na karo. Kirchyan totay hue aks ki chubh jayein gi... aur kuch roz abhi Ayina dekha na karo. Ajnabi lagne lagne lagay, khud tumhein apna hi wujood, Apney din raat ko itna tanha bhi na karo. Khuwaab bacchon k khilonon ki tarhan hote hain, Khuwaab dekha na karo, khuwaab dikhaya na karo. Bekhayali mein kabhi ungliyaan jal jayein gi, Raakh guzre hue lamhon ki kuraida na karo. Moum k rishtey hain, garmi se pighal jayein ge, Dhoop k sheher mein ye tamasha na karo....
__________________ |
| ||||
| Ta'lluq torta hon tu mukammal tor deta hon, Jisey main chorta hon, mukammal chor deta hon... Yaqeen rakhta nahi hon main kisi kaccheyy tal'luq pe, Jo dhaaga totney wala ho, usay mein khud tor deta hon... Mohabbat ho k nafrat ho, bhara rahta hon shiddat se, jidhar se aya ye darya, udhar hi morr deta hon.... Meray dekhey hue khuwaab kahin murda na rah jayein, Gharoondey rait k taamir kar k khud phorr deta hon.... Ajab bachpana hai abtak, wohi takhreebkari hai, qafs ko torr deta hon, parindey chor deta hon......
__________________ |
| ||||
| Bohat khhhhhhhhhob |
| ||||
| Quote:
|
| ||||
|
__________________ |
| ||||
| Quote:
V nice....
__________________ |
| ||||
| Usay apney faidey ki fikar thi, Wo jo mera waaqif-e-haal tha. Wo jo uski Subha-e-Urooj thi, Wohi mera waqt-e-zawal tha. Mera dard kaise wo janta, Meri baat kaise wo manta. Wo tu khud fana k safar mein tha, Usay rokna bhi muhaal tha. Kahan jao ge mujhey chor ke, Main ye pooch pooch thak gaya. Wo kuch jawab na de saka, Wo tu khud sarapa-e-sawaal tha. Wo mila tu sadiyon k baad bhi, Meray lab pe koi gila na tha. Usay meri chup ne ruladiya, Jisay guftugu mein kamal tha.
__________________ |
| ||||
| Saaf Kah do Na ...!!! Nahi acha koi ishaara, Saaf kah do na ! Kahan tak saath do get um hamara, Saaf kah do na ! Judaai ki tarhan darya bhi apne saath chalta hai, Nahi milta kinarey se kinara Saaf kah do na ! Bahaney apni majbori k, Kyun aa aa key sunatey ho Qusoor is mein nahi koi tumhara Saaf kah do na ! Hamein tanhai k taney tu mat do ghar ke aagay, K hum bhi dhoond lein koi sahara Saaf kah do na ! Hamaray haath ki aksar lakerein, milti julti hain, Magar nahi milta apna sitara.. Saaf kah do na !
__________________ |
| ||||
| Maine usko salaam likh bheja, haal-e-dil tamaam likh bheja. Maine poocha teray hoont kaise hain? Usne ek lafz jaam likh bheja! Maine poocha teray baal kaise hain? Usne qudrat ka inaam likh bheja! Maine poocha kab hogi mulaqaat? Usne qayamt ki shaam likh bheja! Maine poocha itna tarpaati kyun ho? Usne jawaani ka intiqaam likh bheja ! Maine poocha kisi se nafrat bhi karti ho? Usne mera hi naam likh bheja !!!
__________________ |
| ||||
| Raat sunti rahi , main sunata raha, Dard ki daastan main batata raha. Log logon se chahat nibate rahe, Aur ek wo tha jo dil jalata raha. Dhoop chason ki si tabiyat rahi uski, Wo nigahein churata raha,milata raha. Ek main hi piyasa raha doston, Log peeta rahe, main pilata raha. Dil k mehman khanay mei ronaq rahi, Koi aata raha,koi jaata raha. Hum-maqtab ne saara sabak parh liya, Main tera naam likhta raha,mitata raha.
__________________ |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | Rate This Thread |
| |