| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| General Discussions You may Discuss in this forum any topic that you like and which do not fit into other forums |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Display Modes |
| |||
| Tajarbah Aur Os Ki Ehmiat TAJARBAH AUR OS KI EHMIAT Tamam aloom ki kitabain dar’asal mazi kay tajarboon ka tehriri rikard hain. En kay hawalah say hum na’seraf apnay mazi say aagah hotay hain balkah achay buray ki tameez patay hain. Yah tajarbay humain amli zindgi main behtar karnay ki targheeb daitay hain aur ghaltioon say bachatay hain ya kuch karnay kay dhang say aagha kartay hain. Markoni nay Radio diya os ki es ejaz kay hawalah say kaam aagay barha aur aaj na’janay kitni chezain vajood pa chuki hain jo khalae lehroon kay transfer say motalaq hain. Goya mazi kay tajarbay aaj aur aatay kal ko behtar aur ziyadah sood’mand bananay main moavan sabat hotay hai. Baad’qesmati yah hai kah yah mukhsus aur kursi kay qareeb logoon kay tajaboon ka rekard hai. Eak aam aadmi bhi zindgi main bohat kuch banata aur bigarta hai. Bigray ko sahi karta hai. Nafa noqsan say guzarta hai. Khushyaan samaita hai. Aanso bahata hai likin os ki zindgi rekard main nahain aa pati. Ya woh yah nahain janta kah os kay tajarbay samaj kay liay kis qadar sood’mand hain. Kuch log dairiaan likhtay hain likin oon ki ehmeat maloon na honay kay sabab pakoray samosay baichnay waloon ki nazar ho jati hain aur hum yah nahain jan patay kah hum nay kitna qemati sarmaya apni la’ilmi kay baes zaya kar diya hai. Mukhtalif shoboon say faraght panay walay apna mazi sonana chahtay hain. Nae nasal ko sonatay bhi hain likin nae nasal baizari ka ezhar karti hai ya keh kar oon oldmanoon say bhagti hai kah baba dhengain marta hai. Ossay khabti khayal kiya jata hai. Ossay estamal’shudah tissue paper samjh liya jata hai. Yah rovaeya qate qate gher’sehat mandana hai aur es main hum khud apna noqsan kar rahay hotay hain. Baba kehta hai chalti gari say na otarna ya charna tu es main woh ghalt kiya keh raha hota hai. Baba kehta hai ghusay main na aaya karain es main koon se ghalt baat hai. Mein apnay potay ko 20 din daktaroon kay pas lay jata raha. Eak rooz eak khtoon aae os nay bachay ko daikha aur kaha essay tu kandi pari hoe hai. Pher os nay os kay galay main kuch kiya subh ko bacha thek thak tha. Bachi ko mehdah ki takleef hoe achay achay moalgoon kay pay 3 mah 10 din dhakay kha’ay aafaqah na howa. Eak oldage orat nay os kay pait par hath lagaya. Kehnay lagi essay tu naaf pari hoe hai. Bachi aadh ghaintay kay baad thek thi aur Allah kay fazal say aaj tak thek hai. Eak BSc (eng.) kae din tak eak bigri machine par magh mari karta raha likin noqs na talash paya eak tajarba’kar mistari nay chand mintoon main machine chalo kar di. Yaqeen na aa’ay tu Bilal Gang ya Hafeez Centre ka chakar laga kar daikh lain. Angraiz log modat khataum ho janay par nae khareed laitay hain likin yahaan moddatoon pehlay ki cheez aaj bhi kisi na’kisi ghar main chalo halat main mil ja’ay gi. Hum cheez ka kacomar nikal kar kabariay kay hath baich daitay hain woh ossay thek karkay dobarah estamal kay qabil bana kar farokhat karta hai. Yah sab kiya hai Life/work Experience. Yah tu seraf doo teen misalain hain. Mein mukhtalif shoboon say motalaq es qesam ki saikroon misalain paish kar sakta hoon. Eak khtoon cooking main master kar laiti hai likin nani amman sa khana nahain paka sakti. Achay ostadoon say school main par kar aaghi milti hai oon ka aur kitabi tajarba transfer hota hai likin jab tak yah ilm shakas kay apnay tajarbay say nahain guzarta, es ki ehmiat kuch nahain hoti. Eak sepoy say subaidar eak clerak se head clark tak kis bunyad par taraqi milti hai? Section Officer Secy. Kay ohday tak kis bunyad par jata hai. Salana taraqi kis bunyad par lagti hai. Yah tajarbay ka ehtaraf hai. Hum es ka ehtaf bhi kartay hain likin jis qadar faedah hasal kiya ja sakta hai ya kiya jana chahiay, nahain kartay. Apni baat ki wazahat kay liay eak aur missal darj karta hoon: aakhbar main eshtihar diya jata hai kah eak Associate Professor ki asami khali hai aur en koaef kay hamil hazraat darkhasain gozarain: Phd+9 sal tajarba+ 3 tehqiqi maqalay ya Mphil +11 tajarba+ 5 tehqiqi maqalay ya MA +13 sal tatarba + 6 tehqiqi moqalay Mphil+zaed 2 sal tatajarb+zaed 2 tehqiqi moqalay= PhD MA+zaed 4 sal tajarba +zaed 3 tehqiqi moqalay = PhD Mein yahaan 20eoon Maghrab ki Universitoon kay naam daraj kar sakta hoon jo dakhlay kay hasool main Life Expeience kay credit daiti hain. Published Papers par bhi digriaan jari karti hain. Maghrab main Life/work Experience par bhi digriaan jari ki jati hain aur wo market main estamal hoti hain. Hamaray haan bhi es qesam kay edaroon qaem karnay ki zarorat hai. Es say doo faeday hoon gay : 1-Wo omomi aur khsusi tajarbah jo rekard main nahain aata rekard main aa ja’ay ga aur aaj aur aatay kal kay liay mofeed sabat ho say ga. 2-Hunar’mandoon ko oon ki estadad kay motabaq market main kaam mil say ga ya woh apni ehliat kay motabaq kaam hasal kar sakain gay. Es kaam kay liay jo adaray qaem kiay jaein oon kay liay ala tajarba’kar jo sefaresh’shudah na hoon aur HEC kay manzoor shudah hoon, ki khidmaat hasil ki jaein. Yah adaray: a-Darkhast gozar/dakhla hasil karnay waloon say os kay life/work Experience say motalaq pura rekard talab karain. b-Os tajarbay ko tehriri shakal di ja’ay. c-Oon ki daeriaan mangwae jaein d-Hasil kiay gay her qesam kay aizazaat ki naqool talab ki jaein. e-Os ki field say motalaq sawal’nama diya ja’ay takh os kay sinay main mehfooz her qesam ka raz rekard main aa ja’ay. f-Jahaan jahaan kaam kartay rahay hoon whaan say jari honay walay her noeat kay order talab kiay jaein. g-Dichrage papers/ faraght nama/namay mungway gaein Gharz her qesam kay rekard say os ki zehni aur hunar’mandi ka andazah ho sakay ga. Es main koe shak nahain maghrab kay en adaroon main kuch ya kuch say ziyadah ghalt bhi ho raha hai. Wo es tara: Shakas apna Life/work experience bata kar marzi ki digri hasal kar laita hai, Yah qatan darust nahain. Es amal ko shafaf aur behtar bananay ki zarorat hai. Wo es tara: 1-Demanod ki gae digri na di ja’ay balkah kaam ki janch partal kay baad ehliat say monasbat rakhti digri di ja’ay. Qaisar Saleem Interflow Consultants Office No 9, 2nd Floor, Al Jannat Plaza G 11 Markaz - Islamabad Pakistan Ph: 0092 51 2220897-8Cell: 0092 3215513271 HEC ki nak kay qareeb baitha farad ki dokan chala raha hai. Logoon Ko bari bari batain sona kar aur maghrab ki univarastioon say apnay talaqaat bata kar oon ki taraf say frad namaendgi kay kaghzaat dikha kar logoon say paisay ant/thag kar onhain aaj kal par rakh raha hai. Aisi kali bhairoon kay sath sakhti say nipta ja’ay. 2-Kisi dusri university say hasal ki gae digri ka rekad mehfooz kiya ja’ay ta’kah wo hamaray apnay bhi kaam aa sakay. 3-Hamaray haan kay digri holder sahiban kay tehqiqi kaam ki HEC naqal mehfooz kiaray 4-Hamari apni univarastiaan her sal bohat saray tehqi maqalay Likhvati hain aur yah maqalay kiram ka luqmah ban jatay ya ban rahay hain. Yah ravaeyah qatan darust nahain. En tehqeqi moqaloon ki naqool HEC kay rekard main honi chahiay. 5-Baz maqalay maz khana’puri ya naqal ka palandah hotay hain sefaresh kay bal botay par oon par digriaan jari ho gae hoti hain. Es amal say haqeqi tehqeq kis tara samnay aa sakay gi aur amal daramad ka adarah es ko amli surat day kar tehqeq kay haqiqi maqsad ko pura kar sakay ga. Maqalay likih kar rakh chorna koe danesh’mandi nahain. Yah qate bai’maqsad kaam hai. Tehqeq ko amli surat milnay say hi taraqi kay darwazay khul saktay hain aur tehqeq ka asal maqsad bhi yahhi hain. 6-Univarastioon say bahar bhi loog shoqeya ya apni takhliqi salahitoon kay ezhar kay lia’ay likhtay rehtay hain. Oon ka kaam rasael wagherah main publish hota rehta hai. Oon ki jama bandi ka maqool zareya hona chahiay. Maqool, kar’aamad aur jin main bikul naya khayal diya giya ho, tehriroon par qaem honay wala adarah oon ki haisiat aur noeat kay motabaq certificate/diplomay/digriaan/naqdi enam jari karay takah logoon kay sinay main poshidah raz aur tajarbaat samay aa sakain. Jahaan tak main sajhta hoon shakas kay hunar, tajarbay aur sina ba sina montaqil honay way raz aashkar ho kar wasi paimanay par tasaraf main la’ay ja sakain. Yah kehna kah maghrab ka bashindah zaheen-o-fateen hai, say ziyadah bakwas aur ahmaqah koe aur baat nahain ho gi. Tax kis tara bachaya jata hai, Gher maqool ko maqool kis tara banaya ja sakta hai, Kabar main pari cheez kis tara tasaraf main lae ja sakti hai. Ghraz un’haad chezain logoon kay sinay main mehfooz hain oon ki moot kay sath sab khatum ho jata hai. Kaghaz kay eak purzay ya chand takoon kay mool agar yah sab mayasar aa ja’ay tu soda mehnga nahain ho ga. Taleem say juray bishshmool HEC ko zati pasand aur zati aghraz say bahar nikal kar yah sab karma paray ga. Yahhi nahain sefareshi nalaeqoon ko choti karwani ho gi. Zabni kalami jama tafreeq say kuch nahain ho sakay ga. Taleem say jura her koe apnay pait par hath phair raha hai. Yah tu khuli kud’ kushi hai. Chumchoon karchoon aur nalaeqoon ko tu apnay aaq-o-mola ko salam-o-parnam karma hi hai magar jannay aur ehliat rakhnay walay kis hisab main sajda-e-bandgi baja laein. Nahain latay tu dashnam tehartay hain. Baat yahaan tak hi nahain kamishan’khoor en ka moashi samaji aur tazimi, jis ka kay woh estehqaq rakhtay hain, ka qatal kar rahay hain. Bala tabqay angraizi hi ko taraqi ka raz samjh rahay hain es soch main koe sachae aur dam nahain. Yah soch hamari taraqi ki rah main hamalah say barh kar pathar hai. Hunar’mandoon say oon ki rawan/zati zoban main likhwaya ja’ay. Apni zati zoban main woh behtar toor par ezhar kar sakain gay. Mein en satoor kay zareay Chairman HEC aur es kay digar moqtadrah hazrat say estada karta hoon kah woh marozaat-e-bala par sanjidgi say tovajo dain.
__________________ a good listener |
| Sponsored Links |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
|
|
| Register | FAQ | Members List | Calendar | Search | Free SMS | Today's Posts | Mark Forums Read |