| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| General Discussions You may Discuss in this forum any topic that you like and which do not fit into other forums |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Display Modes |
| |||
| Zindah Ba'dast Murdah ZINDAH BA’DAST MURDAH Kuch hi din pehlay ki baat hai, mairi baiti sakht bimar par gae. Ossay DHQ, Kasur ki amar’jansi main lay jaya giya. Dr, Azeem Khokhar duty par thay. Oon tak rasae ki puri koshesh ki gae aakhar sharaf-e-qadam bosi ka moqa mil hi giya. Mosoof Masiha kam, rooh shikan fareshtah ziyadah sabat howay. Basad ehtaram surat-e-hal gosh’gozar karnay ki sae ki gae. Kuch nahain hota, kuch nahain hota, keh kar onhoon nay mujhy faragh kar diya. Oon kay es rovaeay par sadmah howa. Oon ka yah taraz-e-amal seraf mairay sath hi nahain tha, woh sab ko eak aakh daikh rahay thay. Ajeeb sa laga kah woh aisa kayoon kartay hain. Oon kay es taraz-e-amal ka baad main raz khul; moamlah yah tha, eak maqtool ki lash cheer phar kay liay pari thi aur woh bahar kusi takht bhichay adalt lagay baithay tha. Bila’shubah muqtool ka ziyadah haq tha kayoon os bi’charay nay koon’sa es kay baad aana tha. Yah os ka aakhri jogi wala phaira tha. Qesmat ya naseeb. Ghaliban natijah kay hawalah se koe mok moka nahain ho pa raha tha. Zindoon ki sansain murday kay hath main thein aur woh traing karnay wali naroon, wardboys sweeper waghera kay reham-o-karam par thay. Zindah kab tak airiyaan ragartay rahay, mein nahain janta kayoon’kah char ghaintoon say ziyadah mein maintain tarlay nahain kar sakta tha. Marizah ki halat gher hoti chali ja rahi thi lihaza mujhy wahan say jana hi para.* ------------------------------------------------------------------------------------- *Apni ezzat kay bharam kay hawalah say yah jumlah matan ka hisah nahain banana chahta kay bistar khali karwa liya giya.
__________________ a good listener |
| Sponsored Links |
| ||||
| Hmare Yaha K Doctors Bhi Mulkul Mout Se Kam Nahi Unki Duty Hy Roohen Qabz Karna Ye Part Time Mai Sath Hyn
__________________ Jab bhi mera siggi read karen 1 bar Durood pak parhen have you watched meri adhoori mohabbat kisy kahbar thi a story by me todays lesson |
| |||
| tovajo k liay mumnoon hoon. molvi masiha bhi daikhnay ko milain gay. en main say bohat saray masiha kam, qasaab ziyada hain. aawaz othatay rahain. kabhi to en ka qiblah darust ho ga hi.
__________________ a good listener |
| ||||
| acchy dr bhi hein lekin lekin majority qasab hi hein |
| ||||
| wo zamana gaya jub tabeeb ko maseeha samjha jata tha aur wo is mansab per poorey utertey the. aaj kul meri nazer se aisa koi maseeha kum hi guzerta hai, ziada ter apni jaibain bhurney waley qasai hi hotey hain. maseeha ka dil shafeeq hona chahiyeh hai, but aaj kul aisa koi maseeha milna mushkil hi nahin na mumkin bhi hai. ziada ter shakee ul kalb hotey hain. "jis ne aik insaan ki jaan bachai, us ne goya poori insaaniyat ko bachaya" mager aaj kul paisa jaib main na ho to yehi maseeha katil bun ker mareezon ki jaan le leta hai. to goya sabit huwa ke jin ke paas paisa hai, zinda rehney ka haq bhi unhi ke paas hai. ye kaisi na-insaafi hai? Allah Tallah ne her insaan ko baraber paida fermaya hai. to phir ye kiyun bhool jatey hain ke choti si zindagi guzar ker jub ye log Allah Tallah ke hazoor jaengey to apney kartooton ka kiya jawab daingey? in ki rooh kiyun nahin kanpti aisa kertey huwey? in ka zameer inhain tahookey kiyun nahin deta? in ka dil kaisey maan jata hai aisa kerney per? mera to saans hi bund ho jae, dharkanain hi ruk jayen, kadam bhari h ojayen aur dil astaghfaar perhey ager main kabhi aisa kerna to derkinaar soch bhi loon. Nauzobillah, ye log Allah SWT ko sirf aik kitabi charachter samajhtey hain aur apney aap ko mali ke kul (Astaghfirullah). Allah Tallah se dua hai ke aisey tamaam insaanon ko musalamanon ko hidayat ata fermae, aur in ke sitam zareefiyon ke shikar logon ko saber ata fermae, ameen sum ameen.
__________________ Forumpk.com |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
|
|
| Register | FAQ | Members List | Calendar | Search | Free SMS | Today's Posts | Mark Forums Read |