Pakistan is waqt Karbala Ka manzar Pesh karr raha hai Aata (Wheat) is waqt 1 nayab cheez ban chuki hai
Log Faqay Karne per majboor hain. Pakistan jese Zarai Mulk me aatay ke Husool kay leye Lambi Lambi qatareen
esi hi hain jese Oil ki dolat se malamal mulk me petrol Kay husool ke leye log maray maray phireen.
BBC ko interview dete hue 1 khatoon ka kehna tha kay jis taran karbala kay medan me pani (water) mayassar nahi tha isi taran yahan aata mayassar nahi hai Musharraf hume marna chahta hai to Zaher de kar mar de is taran tarpa tarpa kat mat maaray.

Musharraf ne mulk me gurbat mitao muhim shuru ki thi wo shayad yahi hai kay Gareeb awam ko chun chun kar maroo in kay oper bum blast kardo in ko buhraan me mubtila kardo ta kay ye kahe or hijrat kar jaen.

Musharraf ne ye elan kia tha kay is saal pakistan me Record ****um (wheat) ki pedawar hui hai. to phr
ye ****um gae kahan. Kia ye baat Musharraf ko nahi pata. agar nahi pata to Kis baat ki Hukumat Karr raha hai ye shaks.

Han is ko pata hai to ye pata hai kay be nazir ko kis ne mara
Han is ko pata hai to ye pata hai kay al qaida walay kahan chupay hain
Han is ko pata hai to ye pata hai kay Sadar bush ko salami kese deni hai
Han is ko pata hai to ye pata hai kay Dehshat gardi kay khilaf jang me kitni kamyabi hui
Han is ko pata hai to ye pata hai kay Amrica se milnay wali imdad kis bank me rakhi hai
Yar jab musharraf Lal Masjid kay khilaf operation kar sakta hai. Sawat me operation kar sakta hai Bilochistan me
operation kar sakta hai to ****um Kay Zakheera Andozoon kay khila kioon nahi.wo isi leye nahi kay ye khu sab se bara
Zakheera andoz hai. is ko sab pata hai kay ****um kis ne chupai hai ye sab milay hue hain.
ye chahta hai kay Ghareeb awam ko khatam kar do ta kay Mulk me gurbat hi na ho . or jab
gurbat nahi hogi to pareshani bhi nahi hogi. ye is ka plan hai.