| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Adab / Literature Here you can share afsanay, Novel, Mazameen and stories |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Display Modes |
| |||
| Bhari Aawazain Aur Arbi Kay Lisani Masael Ka Hal BHARI AAWAZAIN AUR ARBI KAY LISANI MASAEL KA HAL Pakistan ki baish’tar zobanain/boliaan maslan Urdu, Punjabi, Pothohari, Saraeki, Gojri Mivati waghera char qesam ki aawazoon par mushtamil hain 1- Mufrad Aawazain yaeni halki aawazain (Alap Paran) 2- Bhari aawazain yaeni (Maha Paran) 3- Marakab Aawazain 4- Alamiti Aawazain Apni es khasusiat kay sabab en main dunyaan ki tamam zabanoon/Bolioon se ziyadah lachak hai. Yah badaisi alfaz/estalahaat (asal halat, aawazoon kay tabadal wagherah kay sath) qabolti chali jati hain. Yah wasaf dunyaan ki dusri zobanoon main mojood nahain. Arbi kay pas teen qesam ki aawazain (mufrad, marakab aur alamati) mojood hain jabkah Angraizi kay pas doo (mufrad aur marakab) qesam ki aawazain hain. Goya bhari aawazoon kay liay Arbi ko jabkah bhari aur alamiti aawazoon kay liay Angraizi ko masael paish aatay hain. Onhain ziyada’tar tarjamah se kaam laina parta hai. Es se ezhar ki asal surat Pas-e-manzar main chali jati hai ya pher dhundla jati hai. Bhari aawazoon kay liay donoon zobanoon ko marakab aawazoon se kaam chalana ho ga. Es tara estalahaat ko ekhtayar karnay main aasani rahay gi aur es se kisi haad tak mafaheem ki kharabi bhi nahain paida ho gi. Es zimun main batoor namonah chand misalain malahzah hoon: Bhay Bhag door Bhak door Baak door Bha Bhawaj Bawaj Bavaj Bhaji Ba’aji Bhaghwat Gita Bakwat kita Bhojan Bojan Bhonchal Bhonjal Bonjaal Bhaid Baid Bhaias Baias Phay Phatak Bhatak Batak Pha Phans Bhans Bans Phansi Bhansi Bansi Phatkari Bhatkari Batkari Phada Bhada Bada Phool Bhool Bool Phonk Bhonk Bonk Phalvari Bhalvari Balvari Thay Tharparkar Tharbarkar Tarbarkar Tha Theatre Thaiter Taiter Theosophy Theasofi Thaisofi Tsyosofi Theory Thaiyori Tayori Thay Thaila Taila Tha Thakar Thakar Takar Jhay Jhanjer Jhanjar Janjar (Punjabi main Essi tara Jha mostamal hai) Jharun Jharun/Jharan Jarun/jaran Jhag Jhag Jag/Ja’ag Jhanda Jhanda Janda Jholi Jholi Joli Jhonpri Jhonbri Jonbri Chay Chati Jhati Jati Shati Sati Cha Cheel Jheel Jeel Sheel Seel Cha’oon Jha’oon Ja’oon Sha’oon Sa’oon Chi’da Jhaida Jaida Shaida Saida Chilka Jhilka Jilka Shilka Silka Dhay Dhal Dhal Da’al Dha Dhakosla Dakosla Dhool Dool Dhair Dhair Dair Khay Khaj Khaj Kha Khad Khad Kaad Khana Khana Kana Khaand Khaand Ka’and Khalari Khalari Kalari Khilna Khilna Kilna Kholna Kholna Kolna Khichri Khijhri Kijri Ghay Ghat Khat Kaat Gha Ghael Khael Kael Ghatna Khatna
__________________ a good listener |
| Sponsored Links |
| |||
| very informative article.....thx for sharing.
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
|
|
| Register | FAQ | Members List | Calendar | Search | Free SMS | Today's Posts | Mark Forums Read |