| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Adab / Literature Here you can share afsanay, Novel, Mazameen and stories |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Display Modes |
| ||||
| Bandiyaan >>>>>>>> Part 001 ------------------------------ ==> Baqool Uncle Sargam>>> Tax Do Tarah Kay Hotay Hain. Ak Wo Jo Emaan-Dari Say Ada Kia Jata Hai Or Ak Wo Jo "Dukan-Dari Say Ada Kia Jata Hai. Emaan-Dari Say Tax Denay Waloon Ko "Sarkari Mulazim" Kaha Jata Hai Or Dukan-Dari Say Tax Denay Waloon Ko " KaroBari Mulzim" Kay Naam Say Pukara Jata Hai. Mohib -e- Watan Wo Hota Hai Jo Watan Ke Khush-Hali Kay Liye Apni Aamdani Main Say Wajib -ul- Ada Tax Ada Karta Hai. Ak Sarway Kay Mutabiq Hamaray Watan Kay Sarkari Mulaz-Meen Or TV Artist He Mohib -e- Watan Hotay Hain. Is liye Nahi Keh Wo Tax Ada Kartay Hain Balkay Is Liye Keh Un Ke Salary Ada Honay Say Pehlay He Tax Kaat Liya Jata Hai. Lehaza, Sarkari Mulaz-Meen Or TV Artist Ko " Majboran" Mohib -e- Watan Kaha Jaye Tu Be-Ja Na Ho Ga.
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo Last edited by Im_Sha; 30-12-2007 at 09:42 PM.. |
| Sponsored Links |
| ||||
| Bandiyaan >>>>>>>>>> Part 002 --------------------------------- ==> Bar-e-Sagheer Kay Mugliya Hukmarano Ka Shugal " Lagana " Tha. Jin Main Dil "Lagana", Bagaat "Lagana" Or Shajar "Lagana" Sar -e- Fehrist Tha. Hamaray Gaye Guzray " Shugila Hukmarano" Nay Bhi Is Riwayat Ko Jari Rakha Or Un Ka Bhi Sab Say Bara Shugal " Lagana " He Raha. Jis Main Ak Dosray Per " Elzaam Or Tohmat Lagana" , " Laray Lappay Lagana", Sarkari Khazana Ko " Phakki Lagana" , "Tax Lagana", Or Apnay Mukhalif Ko Thekanay " Lagana" etc. Qabil Zkar Hain.
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo Last edited by Im_Sha; 30-12-2007 at 09:43 PM.. |
| ||||
| Bandiyaan >>>>>>>>>>>>> Part 003 ----------------------------------- ==> Sarkari Ahal-Karo Ke Dekha Dekhi Karo-Bari Ahal-Karo Nay Bhi "Laganay" Kay Kaam Ko Aagay Barhatay Howay Apnay Karo-Baar Ko Taala Laganay Ke Riwayat Shoro Ke, Jo Khud Un Kay Ya Hakomat Kay Liye Munasib Ho Na Ho, Mager Awaam Kay Liye Bari Mufeed Sabit Hoii Hai. Haaliya Hartaal Kay Douran Hakomat Ke Zabaan Or Tajiroo Kay Dukaan Per Taalay Lagay Rahay. Dukan-Daro Kay Baal Bachay Muta-Watir Din Dharay Apnay Baap Ko Ghar Main Pa Kar Hairan Reh Gaye. Esay Bachay Jin Kay Walid Dukan Per Bethnay Kay Liye Subha Saweray Ghar Say Nikaltay Or Raat Gaye Wapis Louttay, Un Kay Chottay Bachay Un Ke Goud Main Aanay Say Yoon Sharma Rahay Thay Jesay Ghar Aaye Kese Mehmaan Say Kuch Dair Kay Liye Sharma Jatay Hain Or Phir Be-Takalluf Bhi Ho Jatay Hain.
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Bandiyaan >>>>>>>>>>>>>> Part 004 -------------------------------------- ==> Dukan-Daro Nay Bhi Hartaal Kay Dino Main Pehli Baar Apni Femily Kay Sath " Majboran" Khoob Enjoy Kia. Bohat Say Dukan-Daro Ko Gharelo Qyaam Kay Douran Aatay Daal Kay Zaati Bhao Ka Bhi Pata Chala. Haftay Main Saaray 5 Din( 5 1/2 Din ) Gahakoo Say Jhoot Bolnay Walay Dukan-Daro Ko Ghar Reh Kar Is Liye Bhi Maza Nahi Aaya Keh Un Ke BVyon Un Ke Kese Baat Per Yaqeen Nahi Aa Raha Tha. ==> Edhar Uncle Sargam Ka Kehna Hai Keh Hartaal Say Awam Main Mehangaii Ka Rona Bhi Kam Howa Hai. Hartaal Kay Dino Main Na Dukan Khuli Or Na He Mehangaii Nazar Aai. Insano Kay Elawa Wo Jandaro Ke Jaan Main Jaan Qa'eem Rahi Jo Rozana Lakhoon Ke Tadaad Main Bakroo, Murgo, Murgiyon, Gaaaye, Bail Or Bhanso Ke Shakal Main Insano Ka Pait Bhartay Hain. Janwaroo Main Kitnay Biliyaan Bhi Mutasareen Qisaii Banay Rahay Keh Unhain Hartaal Main Wo Checharay Khanay Ko Na Milay Jo Qisaab Gahakoo Ko Ghoost Kay Bhao Bechtay Hain. Hartaal Main Jaha Ghareeb Ka Khali Pait Faaqay Ke Prictis Karta Raha, Waha Ameer Ka Deep Frezer Bad-Hazmi Ka Shikaar Raha.
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Bandiyaan >>>>>>>>>>>> Part 005 ----------------------------------- ==> Hartaal Kay Ak Roza Match Main Koun Jeeta Or Koun Haara ? Is Ka Fesla Aanay Waqtoo Tak Mehfooz Hai. Al-Batta, Is Khail Say Uncle Sargam Nay Andaza Lagaya Hai Keh Tajiroo Ke Tarah Hamaray Kuch Shoubay Bhi Hartaal Kar Kay Awaam Ko Sakoon Pohcha Saktay Hain. Example, Petrol Pumps Ke Hartaal Say Jaha Sufaid Posho Ke Bachat Hogi, Waha Sarkari Mulazmeen Ko Dafter Na Janay Ka Bahana Mil Jaye Ga Or Chukeh Sarkari Mulazmeen Wesay Bhi Ofices Main Sirf Time-Pass Karnay Jatay Hain. Lehaza, Un Kay Dafter Na Janay Say Awaam Ko Koi Faraq Nahi Paray Ga. Balkay Sarkaar Ke Bijli Or Sarkari Gariyoon Per Kharch Honay Wala Yeh Petrol Be-Daraig Bachay Ga. Is Kay Elawa Sab Say Bara Faida Yeh Ho Ga Keh Petrol Na Honay Say Moter-Cycle Bhi Khud-ba-Khud Band Ho Jaye Ge. Is Tarah Dehshat-Gardi Ka Khaatma Khud-ba-Khud Ho Jaye Ga. Akhbaar Walay Hartaal Kar Day Tu Is Say Siasat-Dano Ke Lout-Maar Ke Khabray Na Chapnay Say Maashray Main Sakoon Sa Phelay Ga. Film Industry Kay Hartaal Say Filmoo Kay Filaap Honay Ka Khatra Tal Jaye Ga. Hajaam Hartaal Per Chalay Jaye Tu Ourat Mard Ke Barabari Kay Liye Kaam Karnay Wali NGOs Ka Kaam Aasan Ho Jaye Ga. Doctor Hartaal Per Chalay Jaye Tu Awaam Main Apni Sehat Khud Bar-Qaraar Rakhnay Ka Sha'oor Ujager Hoga. Police Hartaal Per Chali Jaye Tu Log Ziada Hoshyari Say Zindagi Basar Karay Gay. etc.
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo |
| ||||
| Bandiyaan >>>>>> The End. ---------------------------- ==> Sadar Parvez Ko Kese General Hartaal Ya " Taala Bandi" Say Pareshan Nahi Hona Chahiye Keh Hamari General Public Is Qsim Ke " Bandiyoon" Ke Aadi Hai. Hamaray Haan Is Say Pehlay Bhi Bohat See Bandiya Ke Gaii Jin Ka Kese Per Koi Aser Nahi Howa......... Example,............ Khush-Haali Ke Mansoba Bandi, Khandani Mansoba Bandi , 5 Saal Bandi, Naaka Bandi,etc. Aap Bas "Zabaan Bandi" Say Hoshyaar Rahiye. " Dukan-Bandi" Ke Fkar Na Kijiye. Haan Albata Ager Koii "Bandi" Hamaray Yaha Kamyabi Say Ham-Kinaar Hoii Tu Wo " Zabaan Bandi" , " Firqa Bandi" Ya " Nazar Bandi" He Ho Sakti Hai. ==> Hamaray Siasi Partiyoon Ko Jambori Mousam Main Hartaalo Kay Liye MARCH Ka Mahina Mukhtas Kar Dena Chahiye Keh Yeh Mahina Qadray Thanda Hota Hai Or Thanday Mousam Main Garam Garam Naaray Or Taqreeray Achi Lagti Hain. Wagarna Is Say Aagay Aanay Wali Shadeed Garmi Main Hartaal Karnay Say Hakomat Ka Dil Phiglay Na Phiglay Muzairah Zaroor Phigal Sakta Hai Sargam Nay Muzairah Office Ko Mashwara Dia Hai Keh Muzaira Or Hartaalo Kay Liye Kese Thandi Jaga Ka Taa'un Karay Takay Ahtajaji Muzairah Karnay Or Dekhnay Walay Thanday Demaag Say Muzairah Beeni Kar Sakay. Is Silsalay Main Marri, Swat, Kagan Or Chitraal Jesi Jagahoo Per Ager Muzairay Ka Intazam Kia Jaye Tu In Elaqoo Main Mulk Kay Har Elaqo Say Aaye Howay Sayahoon Ke Ab Bari Tadaad Baal Bacho Samait Aaai Hoti Hai. Lehaza Ager Muzairoo Ko Dekhnay Per Ticket Or Lucky Draw Karaya Jaye Tu Muzairoo Or Hartaal Ko Popular Bananay Main Bari Madad Mil Sakay Ge.
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad* <<<<<<<<<<>>>>>>>>>> Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say OR Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad ShaZo Last edited by Im_Sha; 30-12-2007 at 09:45 PM.. |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
|
|
| Register | FAQ | Members List | Calendar | Search | Free SMS | Today's Posts | Mark Forums Read |