| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Adab / Literature Here you can share afsanay, Novel, Mazameen and stories |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Display Modes |
| |||
| kitab rasta ya moaawan-e-zindgi?! Kitab say zeyada kuch bhi motabar aur mohtaram nahain. Kitab’dost qomain zindgi main na’kami ka monh nahain dekhtein. Es haqeqat kay ba’vajood kitab (Sova’ay Quran Majeed) zindgi karnay ka meaz eak moaawan onsar hai rasta nahain. Kitab guzray kal ka tajarba hai. Aaj ki zamini aur amli surat mukhtalif hosakti hai. Essi tara aata kal kahaan khara ho, kuch nahain kaha ja sakta. Aaj aur aatay kal main live karnay kay liay kitab kisi haad tak moavan sabat ho sakti hai likin os say nibah aur nibarnay kay liay khud say ya halaat aur zarorat kay tanazar main teh karnay ki zarorat hoti hai. Es liay kitab par mokamal enhasar khud’koshi kay motradaf ho ga. Trainging Centre main de gae training aur training School say liya giya darass/sabaq midan-e-kar’zar main hikmat amli teh karanay aur bandooq chalanay kay kaam aa sakta hai likin aein ossi tara karna moot ko masi kehnay kay mutradaf ho ga. Wahaan surat-e-hal kay motabaq aur mayasar vasael kay hawala say hi dushman ko mara aur khud ko bachaya ja sakta hai. Ho’baho ossi toor say karna kisi tara danesh’mandi na ho ga. 1-Baz moamlaat main aqal ko guide bana kisi tara faeda mand nahain wahaan jazbaat ki pairvi karna paray gi likin bohat say moamlaat main jazbaat maslay ko kharaab kar detay hain wahaan aqal ko sathi karna paray ga. Goya dil aur damagh apnay apnay daera-e-kar main darust hain. 2-Eak moqaam par aadmi bay’bas ho jata hai wahaan dua madawa ban sakti hai. 3-Aaq kareem ka farman-e-garami hai kah sadqa bala ko kha jata hai. Goya bohat say moqamaat main sadqay ki zarorat pesh aati hai. 4-“Panchoon Havas” khamosh hoon to chati hes kaam aati hai. 5-Dolat hath ki mail hai, yah awami khahavat hai likin essay (dolat) yaksar nazar’andaz karna bay’waqofi ho ga. Es kay bal’botay par sab acha ki tovaqo bhi tabahi hai. Soo gaz rassa seray pay ganth, kitab, halaat, tagheraat kay thet hekmat-e-amli hi sab kuch nahai aur bohat saray aanasar bhi zindgi karnay kay liay zarori hotay hain.
__________________ a good listener |
| Sponsored Links |
| |||
| ik bar phir bht hi umda or suchi tehreer.............. ![]() acha laga parh k ....keep writing |
| |||
| kitab rasta ya moaawan-e-zindgi khoob'surat ra'ay k liay shukar'gozar hoon.zaroor ji, kuch na'kuch arz karta rahoon ga. Allah ap ko kush rakhy.
__________________ a good listener |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
|
|
| Register | FAQ | Members List | Calendar | Search | Free SMS | Today's Posts | Mark Forums Read |