| Register | Members | Radio & TV | Games | Quran | Calendar | Search |
| Adab / Literature Here you can share afsanay, Novel, Mazameen and stories |
![]() |
| LinkBack | Thread Tools | Display Modes |
| |||
| nishanyaat-e-ghalib kay sakhtyati mafaheem JADAD Jadad bada noshi-e-rindaan hai shash jayhat Ghafal gomaan karay hai kah giti kharaab hai Jadad (Ja’aydad) zatti cheez hoti hai.Es per bila sherk-e-gheray tasaraf ka haq hassal hota hai. Tasaraf ki noeat kiya hai, es ka taalaq jaded kay malak say hota hai. Jadad madi or fikri-o-finni ho sakti hai, almi ho sakti hai, hasool-e-marfat ho sakti hai. Goya gadad ki noeat kay motabaq jaded ki tushreh-o-tafheem mumkin hoti hai. Jab kaha ja’ay jaded main shash jayhat mayassar hain to yah batt hi or hai. Islami nuqta-e-nazar say sari kaenat Allah nay ensan kay lea takhleeq farmae hai jo kavash kartay hain, apni kavash kay tanasab say hessa pa latay hain. Ashya kayestamal kay motabaq hassal mayassar aata hai.yah batt bhe es say wabasta hai kah kaaysay kiya jata hai. Hassal os estamal kay motabaq hi dasyab ho sakay ga. Rohani noqta-e-nazar say ehhal-e-urfan ka zooq, kaenat ko oon kay lea mosakhar rakhta hai Wo hajat say bala hotay hain es lea kaenat kay estamal ki surat dusroon say mukhtalif hoti hai. Dakhnay wala samjhain gay kah faeda nahain othaya jar aha halanah woe s jaded ko tsaraf main la rahay hotay hain. Mayassr jaded darja charam say motalaq hi kayoon na ho shakhas eskay hawala say jagirdar, samayadar ya sahia-e-jadad hi kehlata hai. Os kay lea e ski bari ehmeat hoti hai. Es kay bagher wo tital say mehroom rehta hai. Jadad aala ya adna nahain hoti. Wo serf or serf jaded hoti hai.Ayain mumkin hai darja chahram ki zameen ki teh main Qaroon ka khzana chupa howa ho jabkah darja awal ki zameen apnay shekam main saim thoor kay aanasar rehti ho. Es lea jaded kay estamal ko awaleat ka darja hassal rahay ga. Ghulam Rasool Mehar kahtay hain: “Sari kaenat--- eak javaghah hai e ski har shay say haqeqat shanas dil yah sabq laytay hain kah es kay pas-e-parda eak aazeem Sana’ay ki tadbeer-o- karfarmae jari hai. Jo lopg urfan ka zooq nahain rakhtay wo samjhtay hain kah dunya abta or bay’sar-o-pa hai. Jiss ki koe kal sehdi nahin.”(57) Koe kal sedhi ho ya na ho jaded ki makeat ka es say koe taalaq nahain. Assal taalaq tasaraf say hai. Jadad ka tasaraf sood-o-zayaan samay lata hai. Sood ki surat main zahmat kam neamat zayada hoti hai. Pert ult kar dekheay zayaan ki surat main ensan dastbardari ka élan kar data hai, hrgez nahain wo jo or jayse bhe hai os kay titak ka zarea hai. Eak tasavar say zayaan wabasta hai kiya yah zaroori hai kah dusray tsaraf say bhe chemta howa ho. JALVA Jalva pher araz-e-naz karta hai Rooz bazaar jaan sapari hai Neshan jalva kay mafaheem ba’zahar 8 daeroon main mulfoof nazar aatay hain: 1- Ezhar-e-zatt 2- Dedar dayna 3- Vajood main aana 4- Andaz-o-ada 5- Namaesh-e-hosan 6- Dekhava, musnoe sajvat, matasar karnay (kay lea) banao sangar 7- Kisi mukhsoss ka tushreef lana 8- kisi mukhsoss ka tushreeh rekhna Raad-e-sakhat say es neshan kay maeni taqabal kay baramad hotay hain. Hosan or hosan parastoon ka hosan ghalab aata hai kah hosan parastoon ki hemat-e-aali ki jo tab la sakain gay jab wo pehlo-e-hosan main jaga pa sakain gay. Jo chall bassain gay “havas kho behtain gay” surkharoo therain gay oon kay lea yahhi kafi ho ga kah onhoon nay hosan ko ba’chasham-e-khud malahzah kiaa. Pas-e- sakht jalva kay maeni wo cheez ya namood jiss ki taab na lae ja sakay. Dastanoon main es qessam kay waqayaat mojood hain kah jab hosena /shazadi samnay aae shazada os kay hosan ki taab na la saka or bay’hosh ho gaya. “Musa ki qoom nay jalva-e-khodavandi kay lea esrar kiya, wahein dhaer ho gay. Khud Musa Bay’hosh ho gay” (58). Chand mazeed mafaheem malahzah hoon: Namaesh karna, khud ko dusaroon ko dekhana, kisi khas andaz say samnay aana, namudar hona, nazaara karna, noor, ronaq, mashooq ka naz-o-ada say chalna, Dulha dulhan ka aamnay samnay bath kar aaenay main dakhna Badshah ka jharokay main bathna Dedar, zeyarat, nazaara, darshan, namaesh, namood, khud namae, hosan, jamal, khobi Aamad, tashref aavri, warad hona, achanak aamad Kisi bhalay kay mathay lagna Kisi parivash say samna hona, dedar hona Achanak molaqaat Kisi nae jinis ka bazaar main aana Sampal, namona Ronamae, namaesh Assal roop dakhna, asleat malahzah karna Dayer say khana chuna jana Janggi mashqain, askari maharat dakhna Kartab, kamal, hunarmandi malahzah karna, Kisi herankun cheez ka daykhna JAAMA Jamaa kartay ho kayoon raqeeboon ko Ek tamashah howa gilla na howa Es neshan kay mafaheen jannay kay lea bohat se kaenatoon say guzarna paray ga. Muslin: · Kisi ghmi khushi kay moqa per ahbab-o-aaqarab ka akth hota hai. Es § akth kay lea jama ka neshan estamal main aata hai · Kisi julsay, jaloos, saminar, bazam, anjman waghera main logoon kay § ejtama kay lea yah neshan bola jata hai · Shahadat,gowahi waghera kay lea aa’ay logoon kay lea jaama ka § neshan booltay hain · Yah neshan ehsab kay eak kulyay kay lea bhe boola jata hai. · Jaama sarmayadari nazam ki eak estalah bhe hai. Es main kisi khas kay lea ya khas halat main dolat ki gardash rok de jati hai · Tajar baradri zayada manafa khori kay lea kisi cheez ka zakhera kar § lati hai · Zameen ki pedawar ya lagan kay farad say bandi ka lahqa joor deya jata hai(jaama bandi) · Bachat kay lea bhe yahhi neshan estamal main aata hai · Kisi ko zaleal-o-ruswa karnay, kisi moaamlay ka tasfeya karnay ya pher koe safae daynay/laynay kay lea moezzazeine-e-aalaqa ko bola lea jata hai. Oon ka ejtama bhe jaama kehlata hai Aagha Baqar ka kehna ha “ Tum gilla karnay kay lea raqeboon ko kayoon jaama kartay ho. Yah gilla hai ya tamashah.” (59) Ghulam Rasool Maher nay to saff keh deya hai: “ Mahboob nay setam zarefi yah ki kah Ghalib kay raqeboon ko bola lea jo pehlay hi odhar kheay bethay thay” (60) logoon ko jaama karnay ka yah manfi hawala hai goya jan bujh kar tazleal kay lea logoon ko jaama kiya ja rah hai. JUNBASH Mar gaya sadma-e-yak junbash-e-lab say Ghalib Na’tavani say hareef -e- dam -e- Esa na howa Yah neshan apnay batan main manfi-o-musbat, donoon tarah kay mafaheem rekhta hai. Junbash ka taalaq harkat say hai. Harkat kay tafeal zindgi kay jumlah silsalay jari-o-sari hain. Harkat ka jamood zindgi kay tamaam hawaloon ko madoom kar dayta hai. Hakam kay lab ki junbash say zara pehlay qedi zinda tha. Hakam kay lab ki junbash say pehlay eak para lekha howa nokari per tha. Nambardar ya gaoon kay chohdri kay lab ki junbash kisi kami kameen ya kamzoor ki hadyaan pasleaan toor kar rekh dayti hai. Zameen ki eak karari junbash hastay bastay aalaqay ko malbay main badal kar rekh dayti hai. Hakam kay lab ki junbash aazad ko bayreaan pehna sakti hai taham junbash kay musbat mafaheem bhe etni hi shedat rekhtay hain. Maslan Badshah kay lab ki junbash kcsh ka kcsh kar sakti hai. Mahboob ki aankhoon ki junbash aashaq ki ragoon main nashat kay payalay ondael dayti hai. Junbash kay pas-e-sakht dekhain, yah lafaz or maeni bhe rakhta hai. Es she’er kay hawala say junbash ko dekode karain. Junbash-e-lab say pehlay aashaq zinda tha. Esa bhe masehae kay lea ponch gaya tha. Sawal othta hai aashaq maez lab ki junbash say mar gaya. Goya os nay ahwal kehnay kay lea lab kholay hi thay kah na’tavani kay sabab os kay lab ki junbash lay baythi. Mareez kuch kahnay ko tha kah kisi kay laboon ki junbash (kuch kaha nahain) nay mana kar deya. Mareez janbash ki zoban samjh gaya. Kuch kah na paya, agar kah dayta to mun ka bojh halka ho jata or maseha kahay gay ahwal kay motabaq masehae karta. Ya pher Esa kuch perh kar phunkta. Molana Saha or Yousaf Saleem Chesti nay yahhi maeni lea hain. Apni karamat dakhata. Kisi kay hontoon ki junbash ki zoban kay mafhoom daryafat karnay kay baad hi she’er ki tafheem mumkin hai. Ho sakta hai kaha gaya ho “Rusva karnay lagay ho?!” Eshaq ki batt logoon main kha wo Esa hi kayoon na ho, kehnay ki nahain hoti. Kuch keh na saknay kay sabab mun ka bojh bher gaya jo marez ki jan janay ka ssbab bana. Taham yah atya junbash ka hi hai kah marez nay hoont kholay bhe nahain kah koe bhaanp gaya kah yah sab kuch baknay wala hai, ossi lamhay os kay lab harkat main aa’ay,. Kissi or nay kuch sonna nahain na’tavaan jo oon laboon ki zoban janta tha, nay unkahi son li. Eshaq ki batt ka etna bojh hota hai. Aashaq ki moot say es ka ba’khobi andaza ho jata hai. JANNAT Ham ko maloom hai, jannat ki haqeqat,l ekin Dil kay kuch rakhnay ko Ghalib yah khayal acha hai Es she’er ki tafheem ka sara daromadar lafaz “Jannat” per hai. Jannat Arbi essam movans hai. Yaeni wo bagh jiss ki zameen sabaz tehnioon say dhaki ho. Bahesht ka bagh(61) Sovarg (62) Marnay kay baad sahib-e-eman, naykoon karoon ka maskan, Abakas ka balae hessa (63) Ur’raf main sakoon, aasodgi or madi wasael ki faravani kay lea bhe booltay hain. Es lafz ki tafheem kay lea char kod estamal karnay ki zaroorat mehsoos hoti hai: 1- Mazhabi kod. Naek amal kay selay main marnay kay baad milnay walay sowaab (Jannat) ka Ghalib mazaq ora rahay hain. Pehli nazar main yahhi mafhoom samjh main aata hai. Etni asan,sasti or foran samjh main aa janay wali tafheem Ghalib kay es lafz ki ho hi nahain sakti. 2- Masherti kod. Ghalib kay puraashoob ehhad main aasudgi, aasaesh, ezzat ya kisi khushi ka mayassar aa jana, dil behlanay say zeyada batt na the. Yah mazmoon/ mafhoom aysa achuta nahain 3- Shakhsi kod. Ghar main etfaq, aasudgi, sakoon, zorooryat ki bohtat, mazaj say laga khati bevi waghera ka eak sath mayassar aa jana na’mumkinat main dakhal hai. Ghar ka Jannat ban jana ya Jannat nazeer hona baray nasebay ki balkah na’mumkin batt hai. Es mazmoon main koe jeddat nahain. Dusra es mazmoon ka daera entahae mahdood hai. Es lea yah firkar,lafz Jannat kay sath nathi nahain ki ja sakti. 4- Tarekhi kod. Ehhed-e-Ghalib doo entahoon say guzr raha tha: A. Mugleya ehhad ka (Baadtareen) zavaal B. Angrayzoon ka (Masali) aaroj Mughal sarkar ka suraj ghroob ho raha tha es kay bavajood logoon ki nazraion mughal Badshah per lagi hoe thein jabkah angrayz ki madi taraqi, khushhali or horoon (Maymoon) ka bara shohrah tha. Ghalib logoon ki yah kushfahmi, kah najaat ki zaroor koe surat niklay gi ya Bartanea ki se taraqi-o-kushhali mayassar aa sakay gi, ko dil behlanay ka bahana qarar day rahay hain. Oon per yah haqeqat wazey ho chuki the jiss ka wo barmala ezhar bhe kartay hain. “ Ham ko maloom hai” goya wo jaan chukay thay kah mughal Badshah kabe quvat nahai pakar sakay ga. Es lea yah khitta (Barraysagheer) Jannat nahain ban sakay ga. Bartaneaa ki se khushhali or taraqqi barraysagheer ka moqadar na ban sakay gi. Aaqa Aaqa rahay ga jabkah Ghulam Aaqa ki ayar say mukti na pa sakay ga. Es kod kay hawala say Jannat ka mafhoom kisi haad tak samjh main aa jata hai. JOOSH Joosh-e- janoon say kuch nazar aata nahain Asad Sehra hamari aankh main yak mosht -e- khak hai Joosh apnay andar obaal ki kafeat rakhta hai. Honay ya karnay ka enhasar obaal ki noeat per hai. Joosh ki shedat, an’honi ko honi bana dayti hai. Yah emkan kay dar wa karta hai ya kamyabi kay bohat qareeb lay aata hai. Haad say barha josh qeyamat dha dayta hai. Joosh ka sakhtyati hawala ghussay or jazbay say jura howa hai. Ghussay main aadmi nafa-o-nuqsan ki perva nahain karta. Jazbay main apni or mokhalif ya kaam kay khathan honay ki parva nain karta. Wo bay’sar-o-saman hi medan main uttar aata hai. Es zeman main badar ka hawala mazboot haseat rakhta hai. Eshaq ka josh, janoon tak lay aata hai. Ghalib ka apna kehna hai: Aaraz kijea johar -e- andayshah ki garmi kahaan Kuch kheyal aaya tha wehsht ka kah sehra jal gaya Sharayhen-e-Ghalib nay josh kay mukhtalif mafaheem daraj kia hain. Shadaan Bilgarami ka kahna hai: “Es darja josh-e-janoon barha howa hai kah dunya ki jiss cheez per nazar dalta hoon wo meray janoon kay aagay koe hasti nahain rakhti” (64) Ahsan Ali Khan kahtay hain: “Sehra oon ki dasht novardi kay shooq ki taskeen karnay say mazoor hai” (65) Neshan joosh ko jazbay kay sath joor dain ya ghussay kay sath nathi kar dain, es ki entahaoon ko mapna mushkal ho ja’ay ga. Yah nahain dakhta kah fard-e-wahad pahar ka sena cheer kar dodh ki nehar kayoon kar nikal sakta hai ya yah es haqeqat per nazar nahain dalta kah mad-e-moqabal na’serff mosalah hai balkah taqat main bhe kae gonna hai. Obaal lohay ko pani bana dayta hai. Ejez-o-enksari main shakhas zatt say guzar kar zatt-e-aala ka qurb hassal kar layta hai. Zatt-e-aala kay nazdeek jumlah kaenatoon ki haseat hi kiya. Ghalib ka kehna hai: Eshrat-e-qatrah hai darya main fana ho jana Darad ka haad say guzarna hai dava ho jana Darya nadi nalay ko kiya samjhta hai. Joosh main sehra ki bhala heseat hi kiya hai?! Chand mafaheem malahzah hoon: Obaal, khudbud, hijan, jazbat ka bay’qabo hona, valvala, mooj, hararat, tezi, zeyadti, kasrat, zoor, masti, shahvat, ghussa, ta’assab, sargarmi, shooq, tughyani, dhun, kuch kar guzarnay ka jazba, lagan Horreat, jazba-e-jehad Taseer, assar Faeda Hassal Nateja, jo akhaz kiya gaya ho Kamae, manafa, bachat, jama punji Penshan, pravedant fund, GP Fund waghera Kamal, vasf, seft, Aaghi, alam Bal, tavanae, qoovat, shakti, taqaat Dastaras Sahbao, vertara, dad-o-satad Takhlikqi salaheat, takhliqi mada, mada manveaa, veraj Dam kham, sakt Sanad, degree Aas, ommeed Aakhrat kay lea jaama kiya gaya saman Haraf-e-aakhar, aakhri kalma/kalmaat, jo puray kahay ka aahata ki’ay howay ho Pura pura, na kam na zeyada, mutvazan, mokammal, saalam, apni zatt main mokammal JOHAR Joshanda Qemati pathar, kholasa, lub-e-labab, atar, sat, wo cheez jo ba’zatt-e-khud qaem ho, talvar ya folad kay naqoosh jin say oon ki khubiaan undigi zahar hoti hi Haseat, gon, khobi, hunnar, kamal, liaqat, estadad Bhayd, assal haqeqat, raaz, chalaki, chatrae Aaenay ki aab-o-taab, nafes lakri ki ragain Khud kushe, lartay lartay mar jana, rajpoot jab dushman say maghloob honay lagtay thay to beve bachoon ko halaak ya nazar-e-aatesh karkay khud bhe halaak ho jatay thay Atom, taqseem na honay wala zarra (66) Moti (67) Marvareed Nachoor,rooh, wo joz jo qaem bilzatt ho (68) Malkiat khatam hona Raqam dubna, devaleaa nikalna, zaya hona Taalaq tootna Nazroon say girna Sakh khtam hona Jovani khatam hona Her qessam ki munfi tubdeli CHARA Aalaj, tadbeer, daroo, anjam, madad (69 Tareqa, zareaa, vasela Hull, dava (Medicine), dast-e-sawal daraz karna Rajoo, dooaa(Prayer) Koshesh, sae-o-johad, bhag door Minnat samajat, reshvat, muk’moka, TC, cha’palose Qaraz, zokaat, khareat, Allah kay naam per jo deaa ja’ay, sadqa, bheak Saya, saeban Moot, khud kushi, qatal, qaeed Shadi, nekah, bhandan La’taalaq, aaq karna, bay’dakhal karna Shakaet, nalesh,patetion, dawaa, (Kay khalaf) darkhsat Aah-o-zari, rona dhona Aaza ka katna Marham pati, tona totka, taveez dhaga, dam darood Payar, mohabbat, dosti Begarna, ghusa, sakhti karna Sabr, shukr, Qanaat Aaladgi, dast bardari, ta’yaag Safar,hijrat, mahajrat Mehnat moshaqqat Tasleem kar layna, kisi sharat ka aakharkar maan layna Dhokah, faraeb, jhut, maker, hela, bahana Maazrat, ma’aafi Pa’zanjeer karna, jakarna Za’ar dast hona CHARAAG Wo bartan jis main tail or bati dall kar roshan karein, Deya, lump, Bati (Dewa), bayta, farzand, ghoray ka pechlay pa’oon per khara hona (70) Badshah, sarbarah, ameer-e-shehar, khandan ka bara, bap, maan Chand, suraj Lakht-e-jegar, putar, poot Jiss per enhasar ho Hazoor Akram, Rasta dekhanay wala, Nabi, Ammam Peer, faqeer, shahib-e-taqva, hadi, murshad Wakeel, consal, mashwara daynay wala Pehla qatra, aaghaz karnay wala, jo shuroo karay Mohabbat, chahat, ulfat Molaqat, vesal Nazaam, Dene, mazhab, nazreya, Islam, thuri Ebadat gah (Masjad, Mandar, Gerja, Goroo Davara, Ammam Bargah ,Daer, Haram waghera) Jiss per moaashi enhasar ho, Mal-o-manal, tunkha, moaavza, evzana, mazduri, mehnatana Nazam, aalaqay ka me’ar. MNA. MPA, BD member, ameer, surbarah-i-mumlakat, sarbarah Doctor,Hakeem, vayd Zaraat officer, inspector co. op socities Dalal Khubsurat batt Govah, shahadti Mahboob,mashuq, sathi, ham’rahi Tavan karnay wala, madadgar Charag, qutab nama, qutabi setara Odhar daynay wala, banya, soodeaa Gari, acha waqat, khushgovar lumhay,mahboob kay sath betay lumhay CHARCHA Batt ka phelna, batt ka chall nikalna Kisi batt ka kehna, batt batana Aaga karna, jankari dayna,waran karna, tunbeh karna Mashhori, eshtahar, kamarshal, doondi TV, radio, akhbar waghra main khabar shapna, internet par batt aana Pehlana, aaghah karna Raz khoolna, posheda na rehna, bohat say logoon ko maloom ho jana, pehalna Salah mashvara Hakeem kay nuskhay, dasavar say aae kisi cheez ya jinis say motalaq logoon ko maloom hona Tazkara, shohrat, guftago, beass-o-mobasa (71) Elan,vesal, nobat,haran say aagahi dayna Govahoon or barateoon ki mojodgi main nikah hona, nikah kay patashay taqseem karna Khusi kay movaqey per khushi kay élan kay lea koe shay ya ashya taqseem karna CHAMAN Molah, ghar, mohalah, elaqa, janam bhomi Parevar, khandan, kunba Khushaan, rahatain, mosaratain Arman, tamanna, khaesh Cheray kay badaltay rang (Ghusa,dukh,peshani, khusi waghera) Jahaan say rezaq hassal ho raha ho, dokan, karobar ki jaga Achchay karam, amal-e-saleha Achchay or mazaj say mail khatay logoon ka sang Sharab kay nasha say cheray kay badaltay rang Ek no’bahar-e-naz ko takay hai pher negah Chehra farogh-e-meh say gulstan keay howay Sabza, Palat, keyari, khayabaan (72) Wo jaga jahaan sabza waghera boein, bagh kay qetaat, gulzar, phulvari Sabaz kiyari, chota sa baghecha jo ghar kay andar lagatay hain, bostaan sara, phuloon ka baghecha (73) Sataroon kay jhurmat Bachoon kay khalnay ki gaga, jahaan bachay khal rahay hoon HALL Mojooda zamana,halat, kafeat, haseat, asloob, too tareeq, wajad, bay khudi, reqat, zekar, beyan, taaqat, sakt, dam, es waqat, felha, essi waqat (74) Yah neshan eak waqat main bohat say kuroon say jura howa hai. Maslan Samaa: Hamdeaa nateaa kalam,murshadeaa kalam, es kay lea Urdu main eak mohavra hall aana/khalna mustamal challa aata hai. Halat: Mada, shakhas, jandar, poday Maasheat: Mall, bhao, satak, karobar, endustri, qemat, qadar Aarza: Maraz kis sata per hai Mareez: Bemari ki surat, sehatmandi ki surar, care, adveyat ki noeat or farahmi, Temardari, kahaan or kiss mahool main rakha gaya hai Mada: Ashya, khaam ya tayar shuda halat main Waqat: Darkar ya saraf howa Selab,Toofan: Pashgoe, rafter, sad-e-bab, nuqsan Aafat Aafat bohat kuch cheen kar lay jati hai or badlay main bohat kuch day Jati hai. Kiya lay gae kiya day gae Khushi; Khushi ki noeat, kuch milla ya bigra,sawanra Ghami Ghami ki noeat, kiya bigra, kiya nuqsan howa Tameer: Naqsha, material ki noeat Ejad: Haz or aasodgi kay lea ya qatal-o-ghrat say motaalaq Takhleeq: Madi, fikri, samaji, qalam-o-kaghz kay zareay Taghaeraat: Samaji, mosharti emrani, moaashi, seyasi, nafasyati Eman, Nazreaat: kiya thay kiya hain. nataej, rovaeay, rujhaan or salook kay hawala say HASAL Khayti bari, aamdeni, nafa, nateja, phal, pedawar(75) Kisi cheez ka baqya, naqdi, bikri, matlab, kholasa, manafa, faeda(76) Hasal ki hoe cheez(77) pae hoe cheez (78) hath lagna, mil sakna(79) Mayassar aana,hath lagna jo dastyab ho sakay Karobar: Envestment Taalaq : Ulfat, payar, Chahat, mohabbat, lagao, qurbat Mehnat : Evzana, mehnatana, mazdoori Tehqeeq: Nataej Kulya waghera kay apply karnay say jo fovaed ya nuqsan samnay aaein Koshesh: Sae-o-johad baraavar hoe ya kisi haad tak behtar rahi ya nakami ka samna Karna para Parvaresh: Ensan ya janvar ki parvaresh kay kiya netaj rahay Enaet : Jiss per enaet hoe, ki halat badal gae ya moaamlah pehlay sa raha Odhar : Deya gaya odhar gharat ho gaya ya manafa bakjsh sabat howa HAAD Haadbandi, emtayaz, rokna(80) Kinara, oofaq, sarhaad, entaha, aqqalidess ka maqarara assool, rovana honay ki jaga, ahata,, bara saza jo sharet-e- Islamia kay motabaq de ja’ay, bohat zayada (81) Faraq(82) Moqarar or teh shuda(83) Makiaat jo taeyar shuda ho Oqaat, heseat Heffz-e-moratab (kay motabaq) protokool Sharae or gher sharae hadood ka fasla Offcer or matehat kay darmeyan ekhtayarat ka fasla Hejaab, posheda, parda main Reshtoom main sharae ehtaram, mehram or na’mehram ka emteyaz Merit per, estehqaaq kay motabaq asool, qaeda or qanoon kay motabaq Dehleez, burji,bani, batti Teh shuda, moqarara sharah Tadaad-e-nazar Bokh kay motabaq, Ta’eayan (ehkhtayaraat ka) Mumkinna Paymana, (kay motabaq) taqseem, aanaet Zoqat, fitrana, vajbaat Sharah sood Umer, arsa, girvi ki mudat, mudat Peer ka khencha howa daerra HASRAT Kisi shay kay na millay ka afsoos, afsoos, pashmani, aarzoo, arman, daraygh (84) Khaesh, Tamanna Shooq Ta’saf, ranj, dukh Kaash falaan cheez mil jati, ya falaan kaam es tarah say ho jata Kisi jaga jannay ki khaesh, koe cheez khreed karnay ki aarzoo HAQ Sach, sedaq,laeq,vajab, darost, bayja, theak, sabat, qaem, faraz, zemadari, jaez, mobah Ensaf, sillah, badlah, moaavzah, mazdoori, ennam,neak,aadal, Asleat, waqeah, monsab, ekhtear, darosat (85) Merit Nekah, aaqad Zarori hona, haq-ul-amer,aagah hona, haq-ul-khabar (86) Sachae, assal main, ahwal-e-waqeaa Jiss ka kah ho, jiss ki malkiaat ho Pura tool Haiseat kay motabaq protokol Jitna kah banta ho, (kay) motabaq Farman-e-elahi, Farman-e-nabi, mamoon ka kahna, hadi or murshad ka farmaya howa Tovazan, tarteeb, moqarra, teh’shuda, pura Motaalaq, assal kay motabaq, mosadqah Gurba or massakeen ka hessa Mokammal, saalam, pura, kisi khrabi ya kaji kay bagher Seraat-e-mustaqeem Shak-o-shuba say bala Khalas, khara, sacha,sucha HOSAN Khubi, undgi, bhalae, khushnamae, dilrabae, khubsurti, jamal, ronaq joban, bahar (87) Chamak, nekhar, rang nikalna, wazey hona Jo motasar karay Shabab Jachna, phab, bhalla lagna, bha jana Tarteeb, tunzeem, tovazan Methay bool, shaesta guftago, ba’maeni guftago Sajavat, aaraesta, tamkaya howa Banao singhar Jo bohat suoon main nemayaan ho Jaa-e-nazar, apni banavat kay hawala say maqnateseat ka hamal ho Safae suthrae Ehtamam, unda pash kash Asool kay motabaq, sach, haqeqat Jo mohtabar , mohtaram or mahboob theray Jiss ki janab raghbat peda ho Sametri, galaemar Deyanatdari Puri puri bant, estaqaq kay motabaq taqseem, pura tool Doo took, billa lagi lipti Aadal, ensaf Gher’janabdari Namoo, nash-o-nama, phutna, namudar hona Shanakht, pehchan Khud’dari, anna Merit Naz, nakhray, adaein Ladla’pun Leh, tarang, gheet kay motabaq thaap Khush’navesi Taqat, eqtadar, sakhti Sukh, sakoon, aaram, (Peat bher) mayassa Barabar ka mail, mutvazan jora Garam joshi, warm welcome, khush aamdeed Unda paeking, unda pesh’kash Kam magar umda, khush zaeqa Khalas, pak saff, povetar Kush lebasi Kisi kaji or mazoori kay bagher Chup, khamoshi KHAK Matti, dhool, zameen, dherti, kuch zarray, kuch nahain bilkul nahain, rakh, bhabhoot Kayoon’kar, kis tarah, khameer, sa’resht (88) Ensan ka mada-e-takhleeq Daman main samoo laynay wali (Khazanay) Ogalnay wali Maloom, na’maloom (khoraak) peda karnay wali Nafi, nahi ki aalamat Mazay jahaan kay apni nazar main khak nahain Sova’ay khoon-e-jegar, so jegar main khak nahain Naram-o-malaem, sakht, sanglakh, bhurbhari, shoor, seam Segha-e-malamat Pani mohaya karnay wali Aanasar ka mamba Panah gah Bay’reham darendoon ka maskan Badalti rutoon ka markaz (Halaat or zoroorat kay motabaq) dhal janay wali Phelany or sukarnay ki khaseat rakhnay wali Jiss kay senay per khana-e-khoda hai, povetar (Dherti)mata, (Janam)bhomi Peyar,mohabbat,nafrat, bughaz, hasad, hamdardi waghera ka markaz Jahaan mutzad rovaeay or saliqay eak sath chaltay hain Mitna, mita howa Kis qadar khak howa hai dil-e-majnoon para Naqash her soveda - e - beyabaan nikla Khak, ensan ayse ashraf-ul-makhlooqat ka mada-e- takhleeq hai. Sakhtyati hawala say degar madoon say yah afzal mada hai. Khak say takhleeq honay walay ensan kay lea aag, pani, hawa, sardi, garmi, khushki, tari waghera ki khedmaat , es ki marzi, mansha or zaroorat kay motabaq makhsoos hain. Noor, jo khososi ehmeat ka hamal hai, bhe es khak ki khedmat per maamoor hai. Es khaki ko adrak, fehem-o-farasat, vahi, alhaam kashaf waghera ayse naymatain mayassar hain. Khak kay es putlay main rooh (Ammer-e-Rabi), kheal, khaab, khaesh, tameez, gherat, mohabbat, tamanna, nafrat, hasad, gham,ghussa waghera chezain rekh de gae hain. Khak kay mafaheem jannay kay lea en omoor ko janna bohat zoroori hai. Khak bay’ball-o-par urti or orati hai. Es say or es per taameer ka na’qabal-e-yaqeen haad taak kaam hota aaya hai. Yah apni kokh main bhej rekhti hai or pher ossay apnay johar ojagar kanay kay movaqey faraham karti hai. Bhej kay johar ki hafazat or nash-o-nama karti hai. Khak khaki ko os ki kartoon samaat apnay daman main chopa layti hai. Jaltay ko bhojati or thandak ponchati hai. Mukhtasar yah kah khak main na’seraff tameri johar posheda hain balkah tamer ki hefazat or sehat ka bhe kheal rakhti hai. Zara aagay bhertay hain to dusri noeat kay johar bhe khak main penhaan miltay hain. Khak main milna eak aam mohavra hai essay ghrat hona kay maenoon main estamal kiya jata hai. Kaha jata hai, yah tum nay khak kaam kiya hai. Yaeni jo kiya gaya ba’kar-e-maez tha. Khak ki koe moaashi qadar nahain es kay ba’vajood es ki shanakht mosalm rahi hai. Khak ko mazeed aagay ja kar malahzah ki jeay yah vasela-e-zatt hai. Es ki zatt ka ehtayhar bhe. Jiss tarah kah Ghalib kay es she’er kay pehlay misray main wazay kiya gaya hai taham dusray misray nay es ki kaya hi palat kar rekh de hai. Qaes aashqi main es haad taak gaya kah khak ho gaya. Nateja-e-kar beyabaan ko os kay es jazbay kay sabab qaes ki boli boolna pari yaeni her zera naqsh-e- soveday dil beyabaan ho gaya. (89)Sakhtyati hawala say khak kay goya chay(6) shades samnay aa’ay hain: 1- Ensani takhleq ka aaghaz khak say hota hai or khak main mil jata hai. 2- Khak ki khedmat per ungli nahain rakhe ja sakti. 3- Khak hai, nahain ka ezhar karti hai. 4- Khak shakhas kay jazbay or ehsas say ham’aahang ho kar apna vojood barqarar nahain rekh pati 5- Khak kay khameer main shaktiaan penhaan hain. 6- Khak balandeoon or pasteoon say ham’kinar hoti rehti hai KHABAR Etla, aagahi, waqfeat, pegham, sandaysa, afwa, hades-e-nabvi Pata, nishan, soraagh, hosh ,sudh budh, hall Pati shohrat, khoj, osan, havas, halat, kayfeat, Elan(90) Aaghi,alam hona, maloom, jankari Bhao niklana, daray ki aavaz, dara niklana, daray ka nambar maloom hona Pesh goe Atkal, huner, kasab say motaalaq kisi shakhas ka aaga hona Mukhbari, mukhbar ki de gae etla Bheed, raz ka afsha hona Khaseat, johar ya kamal ka khulna Taalaq vasta maloom hona Sanaoni Moot ki etla Nae rah, naya tareqa sujhna Motalqaat, mutradfaat samnay aana Tajarba, moshahida, nateja KHODA Zindgi apni jab es shakal say guzri Ghalib Hum bhe kiya yaad karain gay kah khoda rakhtay thay Es she’er ka kaledi lafaz “Khoda” hai. Khoda farsi esam mazakar hai. Es kay maeni Allah taala, aaqa, hakam khodavand (91) Banday kay moqabal, khalq-e-kaenat ka zatti naam, eshvar, bhagwan (92) Esa ebn-e-maryam kay lea bhe yah lafaz bola jata hai (93) Lafaz khoda ki tafheem kay lea teen kod estamal karnay ki zaroorat mehsoos hoti hai: A- Mazhabi kood “Khoda” per yaqeen honay or os ki aata’at gozari kay bavajood zindgi na’khushgowar guzri. “hum bhe kiya yaad karain gay” awami mohavara hai. Shakaet or gillay ki surat main boltay hain Pehli nazar main khoda ka yahhi mafhoom samjh main aata hai. Ghalib gustakhi kay murtakib ho rahay hain lekin khoda ka yah mafhoom tasleem nahain kiya ja sakta kayoonkah: 1- Forun samjh min aa jata hai 2- Koe Musalmam etna gustak nahain ho sakta 3- Aasulan pehlay miray main gilla jabkah dusaray misray main tobah hoti to batt ban sakti the B- Masharti kood: Ghalib kay moaashray main dhanvaan, sarkari ohdaydar, nawab waghera khud ghulam thay. Koe jaddi pushti ameer ya nawab na raha tha. Ohdaydar khud mukhtar na rahay thay. Es lea oon say kisi ata ki tovaqqo ka sawal hi peda nahin hota . dusri taraf angrayz billa’ghaddari sellah dayta hi nahain tha. Es lea lafaz khoda oon kay lea nahain ho sakta C- Tarekhi kood Badshah bay’ekhtayar ho kar bbe Badshah hi kehlata tha. Wo Khud muflass tha kisi or ko kiya day sakta tha. Ghalib darbar-e- Shah say wabasta ho kar bhe osrat ka shaker thay. Dusri taraf (Baad jang-e-aazadi) angrayz ki khedmat main darkhastain gozarein. Qaseday bhe kahay kah onhain reaaya pervari ka dawa bhe tha. Es kay ba’vajood kuch hath na laga.Mohaveray ko bhe dakhain khoda rakhna yaeni jiss ka koe palnay wala bhe ho. Mughal Badshah ki chakri os ki muflasi kay baess kaam na aae. Angrayz bahadar ki “Chapolosi” os ki raoonat, fitri kameengi, shaki tabeat or give and take, after take put on death assool kay tehat samarbar na ho saki. Khoda ka es mafhoom kay baad Ghalib ka khahna samjh main aa jata hai. KHAT Lakirain, haroof, aabroo,laboon per sabza, maqtoob, lekhae, line, rasta, rute (94) Tehreer, noveshta, neshan, nama, naya sabza jo marad kay chehray per aata hai. Hath ka lekha howa Hajamat, Eslah (95) Check, hondi, Sefarshi chett, chethi, ruqa Hand writing, kush khati Kisi daftar ki janab say jari ki gae chethi Dari ki thap Moaalaj ka nuskhah, Nuskhah Farmula Parvana rahdari, raseed, shanakhat kay motaalaq dastavaz Professional dastavaz (Driving licince) Koaaef kay motaalaq dastavaz (CV) Samun, FIR, challan, search warrant, machalkah waghera KHATA Qasur, jurm, Taqseer, ghalti, saho, bhool, chook, china ka eak shahar jo mushak kay lea mashhoor hai (96) Ghaddari, Mukhbari, mulki raz dushmun ko mahaya karna Choori asmagling Naap tool main baad deyanti Dhokha dahi, faraeb, helah, hayra phayri Bherya dekha kar ghatya dayna ( Baraysagheer main) Nekh-e-sani Zana Azdvagi hoqooq say faraar Bhanjpun (Taraqi pazeer or pasmanda mulkoon main) Oolad ka zeyada hona Nan-o-nafqa faraham na karna Zun moredi ekhtayar na karna Apnay azizoon say nata toor kar susrali reshtadaroon ka pani na bherna Sach, sach boolna, emandari, deyanat, serat-e-mustaqeem Hakamti tabkay (haqeqat main tubqa) ki haan main haan na milana, boss ki khush aamad na karna Gher fitri, gher akhlaqi, gher assoli halaat say samjhta na karna Halaat say monh moor layna Aflass, gurbat, ghurbat, bay’chargi, bay’basi,bay’kasi Haqooq ki talab karna, haqooq say aaghi, haqooq ghsab na karna, ghsab na karna Sha’oor Gher janab dari Khlas ashya farokhat karna, zayada monafa hasal na kamana Fahashi ki mozammat karna Borae ko borae kehna Mazahmat, kisi baray ki reass karna, barabarri ki batain karna Nishana chookna KHANJAR Eak hatyar jo churi ki qesam ka hota hai Chura, katar, talvar, bechwa(97) Kharapan, sach, sachi batt Zoban, zobandarazi, galigaloch, bura bhala, taana mayna Bara bool, takabr, gharoor, Okaat say bhar kar batt Dhamki Ghussa, karood, aapay say bahar aana Zayaan, nuqsan Puchtava, ta’asaf Entaqam, badla Gurbat, muflasi, bay’chargi, bay’basi, mujburi Mehngae, bhao bherna Ghurbat, vatan say doori, perdas Bay’sakoni, bay’chayni Entazar Eztarab Chinta, taradad,parshani Shak-o-shubah Bukh,peyas Shavat, jinsi khashaat ka bherna, humjinsi, aghlam Havas, tama, lalch, mofad parasti Ghaddari Bay’wafae, jafa, falart karna Asmagling, thagi Laraki, mayka pall, khud gharaz, zania Gher monafa bakhsh karobar main raqam lagana, devaleaa, raqam dabona Munfi aqdar daramad karna Markaz say dori, ooqat main na rehna, ooqat bhulna, tajavaz karna Sehat mand aqdar ki mokhalfat Haasad, bughz, nafrat, dushnani Shadi Zimmadari, gher zimmadari Zeerdasti, ghulami, anna ka mujrooh hona/hona, khudi ka qatal Waqat ki nazaqat na samjhna, na’dani, baywaqufi, sada lohi KHUMAAR Daytay hain junnat hayat-e-dahar kay badlay Nashah ba’andaza -e- khumar nahain Neshan khumaar umoomum charty howay nashay kay lea estamal hota hai. Ghanoodgi kay maeni bhe lea jatay hain. Taqat doolat or eqtadar kay lea bhe yah neshan estamal main aata hai. Lekin apni assal main nashah tootnay ki halat kay lea mukhsoos hai. Zara ghoor karnay say maloom parta hai kah yah lafaz nashay ki zaroorat or hajat ka pemana bhe hai. Mazeed ghoor karnay say yah neshan tovaqo say jur jata hai. Tovaqqo teen tarah ki ho sakti hai: · Sakhi ki sakhvat kay hawala say · Mehnat or moshaqat kay motabaq · Hunermund ki hunermundi kay hawala say khumaar kay es she’er kay hawala say Sharaein-e-Ghalib nay doo tarah kay maeni lea hain: 1. Takaleef ka moaavza(97) 2. Zaroorat ka evzana, mabaad ki beja’ay naqad milna /chahea(98) Es she’er main es neshan kay teen tarah kay or maeni bhe mojood hain: · Ensan dunya main tumknat, nakhvat or tantanay ki zindgi guzarta hai. En tenoon aanasar ki havass bherti challi jati hai. Wo jiss nuqtay per en aanasar ko choor jata hai es say bher kar en aanasar kay hasool ki tamunna karta hai. Jahaan ensan aazad ho wahaan koon talvay chatty ga · Ensan dunya main havass lalch or zaroortain aziz rakhta hai. Yah aavamal es ki fitrat main mojood hain. Hayat-e-dahar kay en tashna aavamal ki kayoonkar sairi ho sakay gi · Khumaar darhaqeqat aysi bukh ka naam hai jiss ki takmeel emkan say bahar hai. Es hawala say ghalib ka yah she’er malahza ho: Ba’qadar -e- zaraf hai saqi khumar-e-tashnakami bhe Jo too darya-e-meh hai to main khamyaza hoon sahel ka Dr Khalefa Abdal Hakeem ka kehna hai: “ Alam-e-kabeer kay moqablay main ensan alam-e-sagher sahi lekin sara alam es main moaaqas hota hai. Kaenaat jitni wase hai es say zeyada es kay nafas main vosaat ki salaheat hai”(99) Goya sahel ki peyas darya pe kar bujh sakti hai jabkah peas ka daera mazeed wase ho jata hai. KHOO. Khoo nay teri afsurda kiya vehshat-e-dil ko Mashuq - o-bay’hoslagi turfa bala hai Khoo, fitri ravish or omumi chalun ka naam hai. Khoo kay motabaq reshtay, wastay, hawala or taalaq bantay hain. Khoo ki takmeel samaj kay sabhao ka natija hoti hai. Khoo ko char kurroon main taqseem kar saktay hain. Her kurra ensan kay kisi na’kisi garoh say jurra howa hai: 1- Neak khoo 2- Khoo-e-baad 3- Zoomaeni khoo 3- monafqana khoo Khoo kay yah charoon kurray kisi moqam per eak dusaray main madghm bhe ho jatay hain balkah eak wahdat dekhae daytay hain or es wahdat kay char shades dekhae partay hain. 1- Khoo ensani saleqay ka khoj dayti hai. Yah saleqa social taalaqaat bananay begarnay ki rah humvar karta hai. 2- Khoo manners ki mutradaf halat ka naam hai. 3- Mahboob ka nakhra, naz-o-ada, andaz waghera nazar aatay hain. Vajbe say mahboob ki havas shekan adaein parsaoon kay eman main shagaf kar dayti hain 4- Pass-e-sakht es kay“khud sakhta atvar” kay mafaheem bhe miltay hain KHAAB Wo batt jo ensan neend main daykhay, roya, sapna, neend, kheal, vehham, khaab ghaflat(100) Pakistan,aazadi gevan, zindgi, zeeast mazi, yaadain ayse cheez jiss ka hath lagna na’mumkinaat main ho lekin os ki tamunna ho Bay’maqsadeat, bay’maenevat, La’yaenieat Amli zindgi say gher motaalaq La’hasal KHAESH Khaesh ko ahmaqoon nay parastesh deya qarar Kiya pujta hoon os butt-e- bay’dadgar ko main?! Khaesh, jo mayassar na ho, os kay mayassar aanay ki tamunna ko kahtay hain. Mayassar aanay ki tamunn ka taalaq rujhaan or zarooat say hai ya pher oroon ki daykha daykhi hi kuch chahna jo wo chah rahay hoon ya onhain dastyab ho. Yah bhe emkan main hai kah kisi kay pass kuch dakh kar vesa hi apnay paas honay ki tamunna karna. Es ki zaroorat hai ya nahain, es per tovajo nahain de jati. Khaesh ki shedat, shay ki noeat per enhasar karti hai taham her doo suratoon main yah assool lagu nahain hota. Noeat kay tehhat khaesh, janoon ki haad tak ponch jati hai or butt-e-la’shareek ka darja hasal kar kay talab ko aabad bana kar rakh day. Es moqaam per talab ki zatti shanakht or tashkhas fana ho jata hai. KHOSH Saabqa(Khoshboo, khushgovar, kushtabba waghera) Shad, khoob, bhalla, achcha(101) Kisi batt ya moaamlay ka achcha anjam Khubsurat, behtar zaeqa, ajar, ennam, jo dakhnay main achcha lagay Jo rovaea main behtar tabdeli la’aa Zatti malkeaat honay ka ehsas Razi, razamundi, haan, mytfeq Koe etraz na ho Sehatmund, bhalla changa, tundrusti Jiss main koe kaji ya maazuri na ho, jo khraab ya ****a na ho Masroor, shadaan, shadman, khursund, khuram, tarotaza, shadab, sarsabaz, ba’moraad, achcha, unda(102) Jo behtar asraat moratab karay
__________________ a good listener |
| Sponsored Links |
| |||
| very nice ......! |
| |||
| nishanyaat-e-ghalib aap donoon dostoon ka shukarreya Allah aap donoon ko kush rakhy
__________________ a good listener |
![]() |
| Bookmarks |
| Currently Active Users Viewing This Thread: 2 (0 members and 2 guests) | |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
|
|
| Register | FAQ | Members List | Calendar | Search | Free SMS | Today's Posts | Mark Forums Read |