Welcome to Forumpk.com Mark forums read | View Forum Leaders
Forumpk.com




Adab / Literature Here you can share afsanay, Novel, Mazameen and stories

Reply
LinkBack Thread Tools Display Modes
~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~
 
  #1 (permalink)  
Old 20-09-2006, 12:18 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~


As salam o Alaikum All
Friendsssssssss.


**********************************
Sawan Rutt Ka Pehla Badal ........... Part 1
.............................................

Qurbatoon ke khaleej yaad karay gay
Mousam -e- hijar khush gawar karay gay
Jhoot bolay gay khud apnay aap say ham
Or pher us pay aitabaar karay gay

.................................................. .........
Kuch log esay sar phiray hotay hain keh un hain Seedhay rastay bhi galat lagtay hain, kyun keh wo khud he galat chalnay kay aadi hotay hain. .....

ak esay No-jawan ke Kahani jo khud kay khayal main sahi tha.

*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*

__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:25 AM..
Reply With Quote
Sponsored Links
  #2 (permalink)  
Old 20-09-2006, 12:27 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~



Sawan Rutt Ka Pehla Badal .......... Part 2
.................................................. ..............


..... In dino puray mulk main sawan rutt ke rimjhim apnay puray joban per thi.
..... Ammi nay usay jatay dekh kar pukara tha " Yasir betay, tum yaha kay rastoo say anjan ho. Edhar udhar bhatak jao gay pher barish bas aaya he chahati hai. esay main kaha niklo gay".

Mager us nay suni-un-suni kar de. Mann mani shoro say he us ke aadat rahi rahi. wo har kaam apnay mood say karnay ka aadi tha. Is waqt bhi long drive ka mood tha. So chabi lay kar porch main aa gia. Ammi bhi pechay pechay chali aai.

" Yasir beta, main kia keh rahi hoon? betay sawan sawan ka mahina hai, kisi waqt bhi jhari lag sakti hai".

"Sun liya na" , us nay ziddi pan say kaha or lock khool kar driving sit per beth gia.

Ammi nay tas-suf say sar hilaya or gehri saans lee.

*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*

__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:27 AM..
Reply With Quote
  #3 (permalink)  
Old 21-09-2006, 11:46 AM
Senior & Important Member
 

Join Date: May 2006
Location: khi
Posts: 670
Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Rep Power: 7
krazzy will become famous soon enough
NiCE Keep it up bro
Reply With Quote
  #4 (permalink)  
Old 21-09-2006, 12:33 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~


As salam o Alaikum All
Friendsssssssss.


**********************************

Sawan Rutt Ka Pehla Badal ........

Last Episode
**********
"Sun liya na" , us nay ziddi pan say kaha or lock khool kar driving sit per beth gia.

Ammi nay tas-suf say sar hilaya or gehri saans lee.



Sawan Rutt Ka Pehla Badal ............ Part 3
.................................................. ................

Kabhi dosro ke baat maan bhi liya kartay hain Beta".

" Mujhay aadat nahi hai, dosroo ke khowahish per chalnay ke. us nay ak jhatkay K sath gari back ke , Chokidaar nay dekhtay he gate khool dia. Kuch dari baad wo F-10 ke sarkoo pay din kay malgajay andheroo ujaloo main maho safer tha. Gari main Pungaj Udaas ka song Dheray Dheray ghoonj raha tha.

Or aahista kijiye bateen,
Dharkanay koee sun raha ho ga

Bateen.... ? Mager bateen insan kis kay sath karay ? Wo Uljhay howay khayalat main gum bezar sa F-8 kay double road per murr gia.Wo Poli Clinic Wali side per apni dhun main ja raha tha keh achanak gari rokni pari. Waja Sarak kay kinaray Siya or Sufaid combination kay lebaas main Siya Cotton ka Dopata ourhay khari Gan-da-mi rangat wali Larki thi. Us nay haath hilaya tha. Yasir nay jhuk kar front sit ka Shesha Nechay khiskaya.

Excuse Me, Aap ko kuch andaza hia keh "Alfa Computer Training Institute" kis side per hoga?" Wo Front sit ke khuli khirke per qadray jhuk kar puch rahi thi. Us ke Gan-da-mi Surkhi Ma'el galoon per barish ke nanni nanni bonday dera jamaye howay thi. Siya Ghongar-yalay baloon ke ak Lat dopatay ke qaid say aazad ho kar Kanoo kay paas say nikalti hoee bayey gaal per aa gaee thi. Larki kay lehjay main Fkar-madni, Ujlat or Shahistagi kay sath sath ak ajeeb sa Bojhal-pan tha. Thaka Thaka bezaar sa bojhal-pan..... jo us ke siya aankhoon say bhi manakas ho raha tha. Isi bojhal-pan or Gham-bheerta nay usay us ke zaat main Dil-chaspi leenay per majboor kiya tha.

*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*

__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:28 AM..
Reply With Quote
  #5 (permalink)  
Old 21-09-2006, 01:23 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~


As salam o Alaikum All
Friendsssssssss.


**********************************
Sawan Rutt Ka Pehla Badal

Last Episode
...................
jo us ke siya aankhoon say bhi manakas ho raha tha. Isi bojhal-pan or Gham-bheerta nay usay us ke zaat main Dil-chaspi leenay per majboor kiya tha.


Sawan Rutt Ka Pehla Badal......... Part 4
.................................................. ............

" Baat yoon hai keh main bhi Islamabaad main No-warid hoon. Pechlay Mah London say louta hoon. Taqreeban 8 saal baad..... Behar haal, Aap aayey meray sath mil kar dhooondh laitay hain".

"LIFT"....... us kay bharay bharay piyazi hontoon ke Amodi lakeeray sukree, pher wo dayey bayey sar hilanay lagi " Mazarat kay Sath" main kisi say lift lainay ke aadi nahi hoon". Wo dorr hatt gaee

" Main bhi har Eray Geray ko lift denay ka qaeel nahi hoon". Us ka
lehja qadray sakhT tha. "Barish chand lamhoo main taiz ter ho jaye ge. Yaha say Aap ko public transport tu kia is waqt Texi bhi nahi milay ge. Kab tak yoon he khari rahay ge?"

" Wo taz-b-zab ka shikaar thi".

" Chalo, yeh tajurba bhi kar kay dekh laytay hain. Bil-aakhir wo kuch soch kar gari kay qareeb aa gaee. Yasir nay pechlay darwazay ka lock khola or us kay bethnay kay baad gari aagay barha de.

*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*

__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:29 AM..
Reply With Quote
  #6 (permalink)  
Old 21-09-2006, 02:10 PM
Senior & Important Member
 

Join Date: May 2006
Location: khi
Posts: 670
Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Rep Power: 7
krazzy will become famous soon enough
Zabardast
Reply With Quote
  #7 (permalink)  
Old 24-09-2006, 12:46 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~


As salam o Alaikum All
Friendsssssssss.

**********************************

Sawan Rutt Ka Pehla Badal

Last Episode
.....................
Chalo, yeh tajurba bhi kar kay dekh laytay hain. Bil-aakhir wo kuch soch kar gari kay qareeb aa gaee. Yasir nay pechlay darwazay ka lock khola or us kay bethnay kay baad gari aagay barha de.



Sawan Rutt Ka Pehla Badal ........... Part 5
.................................................. ..................

Ourat ke Surat, Seerat or us kay Kirdaar kay baray main janchanay kay liye Mardoo ka apna ak tarazoo hota hai. Wo back marrer say pechay dekhtay howay usay usi tazaroo main toul raha tha. Chand lamhoo kay tafseeli jaizay say usay us ke "Category" Maloom ho gaee.

Us ka shumar un Ourtoo main kia ja sakta hai jo b-zahir Aam See hotay howay bhi apni Be-Naizi, Khud main magan kafiyat or sada mager pur ahtamaad, be fkar andaz ke b-doulat mard kay liye Bala ke pur-kashish ban jati hain, Asal main Be-parwa shaks main ak israar hota hai. Jo dosroo ko us ke taraf khancha hai. Usay khojnay, talashnay or chahanay per majboor karta hai. Tajas-sus ubharta hai, mazeed jannay, qareeb honay or taluq istawar karnay ke tarap paida karta hai.
*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*

__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:32 AM..
Reply With Quote
  #8 (permalink)  
Old 24-09-2006, 01:13 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~


As salam o Alaikum All
Friendsssssssss.

**********************************
Sawan Rutt Ka Pehla Badal

Last Episode
....................

Tajas-sus ubharta hai, mazeed jannay, qareeb honay or taluq istawar karnay ke tarap paida karta hai.



Sawan Rutt Ka Pehla Badal ............ Part 6
.................................................. ..................

Us ke shaksiyat main bhi kuch esa he israar tha....... Wo usay ak esi Ketaab kay manend lagi. Jis kay sarwarq per chapa naam Qaari kay nazar say oujhal ho gia ho.

"Street No maloom hai aap ko? " Us nay chand saniye key baad sawal kiya.

"Aaa haan .... Ghar say nikaltay waqt tu yaad thi mager afsoos, ab nahi" Wo jesay apnay he kisi dehaan say chonki thi.

"Aap pehlay is Institution bhi nahi gaee?" Wo us kay kaam ke noiyat kay baray main puchna cha raha tha.

" nahi , Asal main , main nay Computer Instractor ke job kay liye apna C.V post kiya tha. Kal edaray say interview call mili thi. Aaj 9:30am per interview ho ga." Us ka lehja saaf, Shahista or hamwar tha.


*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*

__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:35 AM..
Reply With Quote
  #9 (permalink)  
Old 24-09-2006, 01:26 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~


As salam o Alaikum All
Friendsssssssss.

**********************************

Sawan Rutt Ka Pehla Badal

Last Episode
....................
Aaj 9:30am per interview ho ga." Us ka lehja saaf, Shahista or hamwar tha.


Sawan Rutt Ka Pehla Badal ....... Part 7
.................................................. ..............

Yasir nay ghari dekhi. 8 say kuch oper ho rahay thay. " Abhi tu kafi time hai. Fkar na karay ham pohach jaye gay."

" Yeh aap is taraf gari kaha lay ja rahay hain?"

Wo usay Main Road per gari daltay dekh kar ak dam mashkook ho gaee thi. Lehjay main Iztaraar or Sakhti thi.

" Ghabraiye nahi , main Petrol Pump ke taraf ja raha hoon. Gari main petrol bas khatam he howa chahata hai. 2 mints lagay gay is kaam main. "

Yasir nay us ke tasal-lee karaii mager pher bhi wo pump kay agay gari rukhnay or Tunki bharnay tak Mutaz-bzab see rahi.

" Lejiye hamara safer dobara shoro ho gia hai. Umeed hai Aap ko itmanaan ho gia hoga. " Wo us kay jatanay per zara baraber sharamsaar na hoee.

"Baat itmanaan ke nahi ahtiyaat ke hoti hai."

"Ahtiyaat achi cheez hai." Us nay sar hilaya, " Khas tour per Khawateen kay liye."

Wo khamoshi say khirki kay shesay say bahar bheegti sarkoo, emartoo or gariyoo ko dekh rahi thi. Barish kuch taiz ho gaeet thi. Cassette badastor dhemay suroo main baj rahi thi.

*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*

__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:37 AM..
Reply With Quote
  #10 (permalink)  
Old 24-09-2006, 01:39 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~


As salam o Alaikum All
Friendsssssssss.

**********************************
Sawan Rutt Ka Pehla Badal

Last Episode
.....................

Barish kuch taiz ho gaeet thi. Cassette badastor dhemay suroo main baj rahi thi.


Sawan Rutt Ka Pehla Badal........... Part 8
.................................................. ..................

Kesay bholoo usay, Wo jo ak raat thi
Tum meray sath thay, Zindagi sath thi
Tum say pehli mulaqat thi

Punghaj Udaas ka dil kay taroo ko cherta howa khoobsurat geet moqay ke munasbat say fiza main ubhra tha.

"Aap kia karti hain?" Yasir ka dil us say baat karnay ko cha raha tha.

" bohat kuch " Wo talnay walay andaz main boli.
Nazrain Be-chaini say Khirki say paar apni matloba jaga ko talash kar rahi thi.

"Main samaj gia, shayed aap ko mujh per abhi tak ahtabar nahi aaya hai. Aap mujhay talnay kay chakkar main hain Goya."

"Awal tu main ahtabar karnay ya na karnay ke position main nahi hoon. 2nd yeh keh ager esa karna Na-guzeer ho tu bhi ak ajnabi shaks per 2 ghari main ahtabar nahi aa sakta. Zahir hai is main time lagta hia." Wo resaniyat say boli thi.

" Aap computer ke feild say wabasta hain?"

" Jee, main nay haal he main MCS kiya hai."
"Mera shuba bhi yahi hai. Faraq yeh hai keh aap nay computer ke education hasil ke hai or hamara computer ka business hai. Meray Dady London main hotay hain, wahi business set kiya hai. main nay MBA kay baad Dady ke fram join kar lee thi. Kuch arsa kaam kiya pher dil nahi laga tu wapis PAKISTAN aa gia."

*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*

__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:42 AM..
Reply With Quote
  #11 (permalink)  
Old 24-09-2006, 03:03 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~


As salam o Alaikum All
Friendsssssssss.

**********************************
Sawan Rutt Ka Pehla Badal

Last Episode
....................

main nay MBA kay baad Dady ke fram join kar lee thi. Kuch arsa kaam kiya pher dil nahi laga tu wapis PAKISTAN aa gia."


Sawan Rutt Ka Pehla Badal ..... Part 9
.................................................. ............

" PAKISTAN main aap ka koun hai, mera matlab hai kesi Rishtay dar kay pass theray hain kia?" Wo yoon he waqt guzari kay liye puchnay lagi.

"Nahi , yaha hamara zati ghar hai. Ammi yahi rehti hain or Dady beech main main chakkar laga laytay hain."

Aap ke Ammi aap kay Walid sahab kay sath London Shift kyun nahi ho jati ?"

" Gaee thi bohat saal pehlay mager jab un ka London main dil nahi laga is liye wapis PAKISTAN aa gaee. Ab hamara ak ghar yaha hai or ak London main. Mustaqbil main kaha rehahish pazeer hongay is kay baray main Hatmi tour per kuch nahi kaha ja sakta kyun keh ammi b-zid hain keh main shadi kar kay yahi set ho jaon or Dady jab bhi aatay hain Ammi ko London sath lay janay per israar kartay hain."

" Or aap ....... Aap ka kia erada hai?"

" Abhi tak tu kuch nahi socha. Mustaqbil kay baray main qbal az waqt keh nahi sakta. Jedhar mood howa deray daal longa."

"Ak mint...! yahi rokdijiye. yeh side per "Alfa institute" ka board laga hai. Us kay pur josh lehjay main sahi jaga pohach janay ke tamaniyat thi. Yasir nay kinaray per gari rok de.
*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*
__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:43 AM..
Reply With Quote
  #12 (permalink)  
Old 24-09-2006, 03:19 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~


As salam o Alaikum All
Friendsssssssss.

**********************************

Sawan Rutt Ka Pehla Badal

Last Episode
....................
Us kay pur josh lehjay main sahi jaga pohach janay ke tamaniyat thi. Yasir nay kinaray per gari rok de.


Sawan Rutt Ka Pehla Badal ...... Part 10
.................................................. .............

"Acha jee, bohat shukriya. Pehla tarjurba bara khushgawar raha. mujhay aap ke khush ikhlaqi or mohad-dib andaz yaad rahay ga.
Wo darwaza kholtay howay rasman boli.

"Yeh mera mobile no hai, isay rakh lijiyey. Ager kabhi dil manay tu call kar lijiye ga." Us nay deshboard say kagaz Gheset kar us per apna NO likh kay us ke simt barhaya.

"Shukriya, mera khayal hai keh is ke zarorat nahi paray ge." Us nay saholat say inkar kar dia.

"Goya aap ko sach much mujh per ahtabar nahi aaya." Yasir ko us kay rawayey nay hairan kar dia.

"Aap bas-ro-chashm mujhay Dakyanosi or ghatay howay tang nazar gharanay ke larki qaraar day saktay hain, mujhay koee ahtaraz nahi hoga mager baat yeh hai keh main Mard Ourat kay darmiyan bagair kisi mohtaram rishtay kay rabt wo zabt ke bilkul bhi qaeel nahi hooon. Na Larki Larkay ke dosti ko achay mainay pehna sakti hoon. Mukhtasran yoon samaj lay keh main is "line" ke nahi hoon keh aap say Telephonic Friendship ya milnay milanay wali Aazadana dosti aford kar sakoon. Meri zindagi main itnay jhamaylay hain keh in rastoon per chalnay kay liye darkar be fikri ka dorr dorr tak guzar nahi ho sakta. Lehaza mazarat, Khuda Hafiz.

*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*

__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:44 AM..
Reply With Quote
  #13 (permalink)  
Old 24-09-2006, 03:33 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~


As salam o Alaikum All
Friendsssssssss.

**********************************
Sawan Rutt Ka Pehla Badal

Last Episode
....................
Meri zindagi main itnay jhamaylay hain keh in rastoon per chalnay kay liye darkar be fikri ka dorr dorr tak guzar nahi ho sakta. Lehaza mazarat, Khuda Hafiz.



Sawan Rutt Ka Pehla Badal ........ Part 11
.................................................. .................

Wo institute kay get per bethay Chokidaar say mutalaqa shubay ka puch kar andar chali gaee. us kay hath main dabi file kay Cover per likha naam gari say utartay howay Yasir nay phar liya tha " Naila Mazhar."

Wo ajeeb kaifiyat main ghira ghar ke taraf lout aaya.
Us nay mehsoos kiya atay howay jo rastay or rastay main anay wali chezay usay bohat buri lag rahi thi , un main achanak Tazgi or rang photnay lagay hain. Us ka mood fresh tha balkay yoon lag raha tha jesay wo hawa main parwaz kar raha ho. Pechlay ak Mah say tabiyat per chaya jamood tootnay laga tha. Barish ke mast bondoo nay usay makhmoor sa kar dia tha.

Kia zindagi main dar aanay wali yeh kashish us ke zaat ke bdolat thi?"

Us kay kafi din Khushgawar guzar gaye. Ak naii tarang or umang thi. Ammi nay bhi sukh sa saans liya keh bil aakhir us ka mood tu normal howa.

*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*

__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:46 AM..
Reply With Quote
  #14 (permalink)  
Old 24-09-2006, 03:56 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~


As salam o Alaikum All
Friendsssssssss.

**********************************
Sawan Rutt Ka Pehla Badal

Last Episode
....................
Us kay kafi din Khushgawar guzar gaye. Ak naii tarang or umang thi. Ammi nay bhi sukh sa saans liya keh bil aakhir us ka mood tu normal howa.


Sawan Rutt Ka Pehla Badal ...... Part 12
.................................................. ..............

Ak din janay kia dil main samaii wo Alfa Training Center kay Reception per chala aaya.
Theek 10 din baad wo yaha aaya tha.

Usay taa'jub howa yeh hal usay pehlay kyun nahi soja. Wo us kay naam say waqif tha. Edaray kay kisi bhi shaks say Naina Mazhar kay baray main pucha ja sakta tha mager is tareeqay main yeh risk bhi shamil tha. kia khaber usay yaha job na mili ho ya shara'et esay hoon keh wo khud he inkar kar kay chali aai ho. Behar haal, us nay mohoom khadshat dil main liye Reception per bethay Udhair umar Attendent say istafsaar kiya.

"Excuse Me Mujhay Computer Instracture Miss Naila Mazhar say milna hai." Wo pur ahtamaad andaz main counter per khara ho gia.

"Naila Mazhar" ! Udhair umar attendent Lateef Baig apni chandiya per hath phairtay howay kuch sochnay laga. Us ka dil dharak utha.

Haan.... ya na! Kia sunnay ko milay ga bhala ?"

"Acha, wo jo naii nai appt ke gaee hain. Bhi wo tu aaj chutti per hain. Yeh rahi un ke darkhowast. Subha institute ke bas un kay Sector say guzartay howay pick karnay kay liye ruki tu un ho nay driver ko Ruqa thamaya tha. Aap ko un say koee kaam hai tu kal aa jaye ga."

"Jee Acha" Us ka bilyoon uchal para.

Bil-aakhir us nay us ka thekana daryaft kar he liya tha. kisi tarah say he sahi wo usay mil gaee thi. Talash ka hasil jholi main aan gira tha. Wagar-na intay dino say wo yahi soch kar afsoos kar raha tha keh zindagi main pehli larki thi jo usay achi lagi thi or us ka ata pata maloom na honay kay baa'is us tak pohachnay say la-chaar tha.

Ghar aa kar wo be-tarah khush howa " kal jao ga dobara,,,,,, mager us say kia kahoonga ? wo yaqeenan mera aana pasand nahi karay ge. kia khaber pehchannay say he inkar kar day."

Ab usay naii fkar lag gaee. Sari raat isi udhair ban main guzri.

*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*

__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:47 AM..
Reply With Quote
  #15 (permalink)  
Old 24-09-2006, 04:24 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7
Thanks: 2
Thanked 31 Times in 30 Posts
Rep Power: 15
Im_Sha will become famous soon enoughIm_Sha will become famous soon enough
020 ~~ Sawan Rutt Ka Pehla Badal ~~


As salam o Alaikum All
Friendsssssssss.

**********************************
Sawan Rutt Ka Pehla Badal

Last Episode
....................

Ab usay naii fkar lag gaee. Sari raat isi udhair ban main guzri.


Sawan Rutt Ka Pehla Badal ........ Part 13
.................................................. ................

"Miss Naila Mazhar say kaho un kay visitor ayey hain"
Lateef sahab nay usay bethnay ka eshara kartay howay kuch faslay per kharay Attendent say kaha.

"Wo period lay rahi hain jee!" Attendent nay aa kar italah de " keh rahi hain 10 mints main aati hain. Period khatam honay kay baad." Wo ghari dekhta howa kursi per pehloo badalnay laga.

Bil-aakhir 10 mints guzar he gaye.

" Jee lateef sahab, aap nay bulaya tha." Wo sabz plain suit per siya or sabz pholoon wala sooti dopata liye ghongar-yalay baloon ke dheli dhali poni banaye baray masroof say andaz main chaltay howay wo lateef sahab ke table kay aagay theri thi. Wo apnay dehan main thi. Abhi yasir per us ke nazar nahi pari thi.

" Yeh sahab aap say milna chahatay thay." Lateef sahab nay us ke taraf eshara kiya. Un kay nazroo kay taqoob main us nay Yasir ke tarar dekha. Us ke aankhoon main pehlay Ajnibiyat pher shanakhat or us kay baad hairat kay rang b-tadreej umandtay gaye thay.

"Kesay mijaz hain aap kay?" Wo khara ho gia.

*********************************
Kese Ke YaaD* Kese Ke YaaD*

__________________
Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*


<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>

Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad

ShaZo

Last edited by Im_Sha; 14-04-2007 at 11:49 AM..
Reply With Quote
  #16 (permalink)  
Old 24-09-2006, 09:14 PM
Im_Sha's Avatar
Hansta Howa Chehra.
 

Join Date: Jan 2006
Location: Dhoondti Hai Nazar.
Posts: 9,513
Images: 7