Aye Phool tu mujhko bata k tu kyu aajtak khilta raha,
tune to di sabko khusbu
tujh ko kya milta raha,
phool muskurakar bola,
abhi tu nadan hai,
jivan ke sache pyaar se abhi tu anjan hai,
kuch dene ke badale kuch lena,
ye to ek karobar hai,
jo de kar bhi kuch na mange wahi to sacha pyaar hai.........