Quote:
Originally posted by Afsana ab tak meri yadoon se mitaye nahi mit'ta
bheegi hui sham ka manzar, teri aankhain
mumkin ho to ik taza ghazal aur bhi keh loon
phir aurrh na lein khuab ki chader teri aankhain
yun dekhtey rehna usay achaa nahi Mohsin
woh kaanch ka paiker hey to pather teri aankhain!! |
Niyyat-e-Shouq bhar na jaaye kahiin
Tuu bhii dil say utar na jaaye kahiin
Aarzoo hai keh tuu yahaan aayee
Aur phir umar bhar na jaaye kahiin