| Raaton Ko Uth Uth Kr Rotey Hain "Aye ishq na chair aa k hamein ...
Hum bhoole hoan ko yaad na kar ...
Pehley he bohut nashaad hain hum ...
Tu aur hamein nashaad na kar ...
Qismat ka sitam he kam nahen kuch ...
Yeh taaza sitam ijaad na kar ...
Yon zulam na kar bedaad na kar ..
Ay Ishq Hamay Barbad Na Kar
Raaton ko uth uth ker rotey hain ...
Ro ro k duwaein kertey hain ...
Aankhon main tasawar dil main khalish ...
Sar dhondhtey hain aahein bhertey hain ...
Aye ishq yeh kaisa rog laga ...
Jeetey hain na zalim martey hain ...
Yeh zulm to aye jallaad na kar ...
Ay Ishq Hamay Barbad Na Kar
jis din say bandha hay dehan tera...
ghabraay huway say rehtay hain...
har waqt taswaur kar kar kay...
sharmaay huway say rehtay hain...
kumlaay huway pholon ki tarhan...
kumlaay huway say rehtay hain...
pamal na kar bedad na kar...
Ay Ishq Hamay Barbad Na Kar
Adeel
03003077273
03343298925 |