| Agar talaash karoon koii mil hii jaaye gaa
Magar tumhaarii tarah kon mujhko chahay ga
Tumhain zaroor koii chahton say dekhay ga
Magar woh aankhain hamarii kahan say laaye ga
Na-Jaanay kab teray dil peh naii sii dastak ho
Makaan khaalii huwa hai koii tou aayee ga
Main apni raah main deewar ban key baitha hoon
Agar woh aayaa tou kis raastay say aayee ga
Tumharay saath yeh mousam gulabon jaisa hai
Tumharay baad yeh mousam bohat rulaayee ga |