| kuch ishq tha kuch majboori thi so main ne jeevan waar diya..
main kaisa zinda aadmi tha eik shakhs ne mujh ko maar diya..
ye saja sajaaya ghar saqi meri zaat nahin mera haal nahin..
ai kaash kabhi tum jaan sako jo us sukh ne aazaar diya..
main Khuli hui eik sachayi mujhe jaanne wale jaante hain..
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se piyar kiya..
wo ishq buhat mushkil tha mager asaan na tha yun jeena bhi..
us ishq ne zinda rahne ka mujhe zarf diya pindaar diya..
eik sabz shaakh gulaab ki thi eik duniya apne pyar ki thi..
wo aik bahaar jo aayi nahin us k liye sab kuch haar diya..
main rota hoon aur aasmaan se taare ttotete dekhta hoon..
un logon par jin logon ne mere logon ko aazaar diya..
woh yaar hon ya mehboob mere ya kabhi kabhi milne wale..
eik lazzat sab ke milne main wo zakhm diya ya pyar diya.. |