tum aagaiy ho to kiun intezaar E shaam karaiN
kaho to kiun na abhi say kuch ahtamam karaiN
khaloosOmehrOwafa log ker chukay haiN bohat
meray khayal mein ab aor koi kaam karain
her aadmi nahi shaista ramoz sukhan !
wo kam sukhan ho mukhatib to ham kalam karain
Juda huay hain bohat log aik tum bhi sahi
ab itni baat pe kia zindagi haram karain
Rhe talab meiN jo gumnam mar gay Nasir
mata-E dard unhi saathioN k naam karaiN