~ Love Collection ~ Tum Aa Gaye Ho Tu Kyun Intazar -e- Shaam Karay
Tum Aa Gaye Ho Tu Kyun Intazar -e- Shaam Karay
------------------------------------------------------------------
Tum Aa Gaye Ho Tu Kyun Intazar -e- Shaam Karay
Kaho Tu Kyun Na Abhi Say Kuch Ahtamaam Karay
Khaloos Mehar o Wafa Log Kar Chukay Hain Bohat
Meray Khayal Main Ab Or Koee Kaam Karay
Har Aadmi Nahi Shaista Razoom o Sukhan
Wo Kam Sukhan Ho Mukhatib Tu Ham Kalaam Karay
Juda Howay Hain Bohat Log Ak Tum Bhi Sahi
Ab Itni See Baat Pay Kia Zindagi Haraam Karay
Rah -e- Talab Main Jo Gumnaam Mar Gaye Nasir **
Matah -e- Dard Un He Sathiyoon Kay Naam Karay
[ Nasir Kazmi ]
__________________ Kese Ke Yaad*Kese Ke Yaad*
<<<<<<<<<<>>>>>>>>>>
Suna Hai Har Cheez Mil Jati Hay Dua Say
Ak Din Tujh Ko Maang Kar Dekho Ga KHUDA Say
OR
Sab Kuch KHUDA Say Maang Liya Tujh Ko Maang Kar
Uthtay Nahi Hain Haath Meray Is Dua Kay Baad
ShaZo |