
04-07-2008, 12:26 PM
|
| ~Bhutto~The Great Martyr | |
Join Date: Mar 2007 Location: Karachi
Posts: 3,108
Thanks: 2
Thanked 5 Times in 5 Posts
Rep Power: 7 | |
Quote:
Originally Posted by Mrs.Khan Well............ Why would we even say "DATING CULTURE" a part of us ??? Nahi na aisa koi culture humara hay na hum kabhi iss ko appreciate ker saktay hain aur yeh itnee ghaleez cheez cancer ki terhan society may phail rahi hay!
Magar I DO NOT blame the governments for that! govt aur kaun sa kuch sahi ker rahi hay jo yeh nahi roka to bara gunah ho gaya hay! Sub say PEHLI zimadari to Parents ki hay na guriya :) nayee ? Kia aap nay jin bachay bachion ko dates maartay huay dekha hay aapko yaqeen hay 10% kay bhi parents ko patta hogga humara bacha iss waqt KAHAN hay ?
Maan baap ka kaam sirf paal ker bara kerna aur paisa kama ker feed kerna nahi hotta hay, jub baap paisa kamanay kay liyeh raat gaye tuk ghur may na hon aulaad kay ser per aur aisay may Mayen BHI tamam time star plus ko denay lug jayen to phir aap ko aisay threads bananay kay liyeh yoon hee dates luganay walay log dikhain gey na! Baap say bhi kahin zayda maan ki zima dari hotti hay keh wo aulaad ko sahi raastay per rakahy aur agar baat uss kay bus say bahir hay to baap ko bhi invlove keray tah keh aulaad kay qadam rokay jayen tabahi ki taraf janay say. Bachon ka kia hay jo wo TV per hota dekhain gey aur parents bhi usko discourage nahi kerain gey to unhon nay to usko sahi hee samajhna hay na :)
Main daway say ye baat keh sakti hoon jis jis ghar may Insdian soaps aur aisay hee behooda Pakistanni soaps with out any care bachon ko dikhaye jatay hain, wahan 13-14 saal kay bachay bachiyan aisay hee khuwabon ki duniya may jeetay hain! ye qasoor unn bachon ka nahi hay isska jawab to wo tub dain gey jub SHAOOR in true sense un may aayeh ga pehli pooch to walidain ki honi hay na! |   |