| mera likhna to ek bahana tha,
paas kuch aur unke, aana tha,
maine likha jise, fasana tha,
ye tarika bhi kuch, purana tha,
jisko gujre hue, zamana hua,
woh mera khwab tha, khajana tha,
yaad aate hain sabhi pal, jo kabhi beet gaye,
aakhri saans tak unke thhe, ye batana tha,
koshishein aur bhi thi, unko batane ki "hasib"
waqt bhi kam tha aur, nabj toot jaana tha
__________________ Nahi h woh Shakhs Muqadar main
Phir bhi Us Se Miltey Hain......
Bara Pur Lutf Lagta Hai
Muqadar Ko Saza Daina......,, |