Quote:
Originally Posted by Emblem99 Hey fellows, I am sharing another one of my poems
"Bicher ker hum se kabhi wo bhi terpa to hoga
Chund lamhey hi sahi, wo bhi roya to hoga
Beenai chashm ki kho gai hai ter reh ker
Us ke nainon ko bhi ashkon ne bhigoya to hoga
Dil ke rishtey bhi kis kader ajeeb hotey hain
Tujh ko bhi sanam kisi rishtey ne thukraya to hoga
Lub khamosh honge, kismat main tanhai hogi
Tub hi wo merey piyaar main dooba to hoga
Terey naseeb main hai aakhiri saans jub tuk
Jahan bhi jaoge wahan piyaar ka saya to hoga"
Allah hafiz |
aray wahhhhhhhhhhhhhhhhh

kya bat hay nadeem sahab ap ki..... bohot khoooooooooob poetry ki ap ne.. parh kar maza agaya..