View Single Post
  #17 (permalink)  
Old 25-05-2008, 05:00 AM
Arain.faizan Arain.faizan is offline
 

Join Date: May 2008
Posts: 142
Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Rep Power: 0
Arain.faizan is an unknown quantity at this point
Koi mousam ho dil main hai tumhaari yaad ka mousam
ke badla hee nahi janaan, tumharay baad ka mousam

Nahi tou aazma ke daikh lo kaisay badalta hai
tumharay muskuranay se dil-e nashaad ka mousam

Sada taishay se jo nikli, dil-e Shireen se uthi thi
chaman Khusru ka tha laikin raha Ferhaad ka mousam

Parindon ki zubaan badli kahin se dhund lay tu bhi
naee tarz-e fighan aye dil ke hai ijad ka mousam

Ruton ka qayida hai waqt per yeh aati jati hain
hamaray sheher main kyun ruk gaya feryaad ka mousam

Kahin se us haseen awaz ki khushbu pukaray gi
tou us ke saath badlay ga dil-e berbaad ka mousam

Qafas ke baam-o dar main roshni si aayi jati hai
chaman main aagaya shayad lab-e azaad ka mousam

Na koi gham khizan ka hai, na khuahish hai baharon ki
hamary saath hai Amjad kisi ki yaad ka mousam
__________________
i dun find it hard to meet wid expensives bcoz dey r every whr
Reply With Quote