| Mujhe aarzu-e-sehar rahi yun hi raat bhar barri dair tak
Na bikhar saka na simat saka,yun hi raat bhar barri dair tak
Hai buaht azaab aur akailay hum,shab-e-gham bhi meri taweel tar
Rahi zindagi saraab aur rahi aankh tar barri dair tak
Yahan har taraf hai alag samaan,sabhi khud pasand sabhi khud numa
Dil-E-Beqaraar ko na na mila koi chaara gar barri dair tak
Mujhe zindagi hai aziz tar,issi wastay mere humsafar
Mujhe qatra qatra pila zehar,jo asar karay barri dair tak....!!!
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |