Jo mera aur tumhaara waqt guzra hasne rone me
Use poori taraah se tum bhulaado, phir chale jaana…
Bas ek hasi se apne ashko ko chupaane ka
Jo fan aata hai tumko,wo sikhaado, phir chale jaana…
Wo jo ek wafa hai,vaise to hamaare naseeb me nahi…
Wo wafaa ko mitaado, phir chale jaana,
Jo kehte kehte ruk gaye,wo saari baato ko
Chori chori ek baar sunaado, phir chale jaana…
Na jaane kyu hai,lekin tumhe dekhte rehne ki aadat to hai
Meri ye aadat ek baar chudaa do, phir chale jaana…
Meri ye benaam mohabbat kaa naam bas ek tum ho
Tumhaare jaisa koi doosraa laado, phir chale jaana…
Buhut achi hai... really nice ...
thnx for sharing