Tera dard tha, teri yaad thi..
Main jahan raha, main jidhar gaya...
Mera din tou yunhi guzar gaya..
Junhi shaam hui main bikhar gaya...
Is abr ka mere yaar se..
bara milta julta mizaaj tha..
Kabhi toot k baras gaya...
Kabhi berukhi se guzar gaya..
Jab mein chor dunga wo gali...
Usay yaad ayegi tab meri...
Khojay ga wo tab mujhe...
Usay khabar miley gi main guzar gaya...
Abhi tang hai wo mere naam se..
Mere baad ayega wo doston...
Wo tumhein ko rouk k pooche ga..
Wo kahan pe hai, Wo kidhar gaya.../