View Single Post

  #15 (permalink)  
Old 22-04-2008, 05:18 AM
Khu$h!'s Avatar
Khu$h! Khu$h! is offline
¤~ká§hmî®Ï kµRï ¤~
 
Join Date: Mar 2006
Location: City of rain, and Tearz...Mäï äü® Më®ï Täñhäÿëë
Posts: 51,887
Reputation: 95
Rep Power: 44
Khu$h! will become famous soon enough
pyaar zindagi hai…
pyaar khushi hai…

pyaar ansoon bhi hai….
aur hasi bhi..

kabhi din me dikhtay huay sitare hai..
to kabhi raat me dikhta hua suraj.

pyaar sangeet hai..
jiski sur hamesha dil me rehte hai..

pyaar dewanapan hai….
diwangi ki haad tak hai..

pyaar jazbaat hai..
jo hume kabhi bhi le ja sakta hai..

yeh ek ehssas hai……
jo hum mehsus kar sakte hain..

pyaar dil ka ayena hai..
jahan pe sab kuch nazar ata hai..

pyaar yaqeen hai…
jo agar toot gaya to zindagi badal jati hai..

pyaar taqat hai..
jo humein jeene ki aas deta hai aur marne ki himmat..

pyaar aag hai…
jo kisi ko bhi jaala sakta hai..

pyaar tufan hai..
jo sab kuch bikhar kaar rakh deta hai..

pyar badal hai….barish bhi..
ismein samunder ki tarha leher bhi hai…
to kabhi nadi ki tarha shant bhi..

pyaar mano jaise jharna hai..
jo beh jata hai leikin yaadain chhor jata hai..

pyaar kismat hai…
mano jise mil gaya, usse saab kuch mil jata hai..

saab se bar kar, pyaar pyaar hota hai..
jo kia nahin jata…
baas ho jata hai.

__________________


Aye Rabba...tu hi meri jaan...tu hi jahaan...tu hi meri manzil...
...tere ishq mein main qurban..."ju ho gaya woh ho gaya ...
ju ho raha hai usko honay dien ... aur ju hoga acha hoga ...
believe in ALLAH n urself"
Reply With Quote