Assalam O Alikum
April k Naiee Poetry Competition k post hmed Faraz thay ..............Thanks to All members..........lakin ab voting say pehlay ye rules follow kar ligea
Rules
1. Members khud ko vote nahi day saktay nahi tou un ka vote cancel kar dia jaye ga
2.Voting ki last date 22nd April hai.
3. Reply with "vote"......aur phir ap ka vote chek kar lia jaye ga nahi tou ap ka vote cancel kar dia jaye ga.
4.
Rules For Voting In Polls
Best of Luck Members...
I Am In Love
Chalo Eshq Nahi Chahanay Ke Aadat Hai
------------------------------------------------------
1)
Chalo Eshq Nahi Chahanay Ke Adat Hai
Kia Karay Kah Hamay Dosaroon Ke Adat Hai
2)
Tu Apni Shesha Gari Ka Na Kar Hunar Zaya
Main Aaina Hoon Mujhay Totnay Ke Adat Hai
3)
Wasaal Main Bhi Wahi Fasalay Saraab Kay Hain
Keh Usko Neend Mujh Ko Ratt Jagay Ke Adat Hai
4)
Tera Naseeb Hai Ay Dil Sada Ke Mahroomi
Na Woh Sakhi, Na Tujhay Mangnay Ke Adat Hai
5)
Yah Khud Azyati Kab Tak Faraz Tu Bhi Usay
Na Kar Yaad Kah Jesay Bholnay Ke Adat Hai
Decent Kuri
ranjish hi sahee dil hi dukhnay kay liyah aa
aa phir say mujhay choor kay janay kay liyah aa
pehlay say maraim na sahee phir bhi khabi to
rasam-o-rah-e-dunya hi nibahnay kay liyah aa
kis kis ko batain gay joodai ka sabub hum
to mujh say khafa hai to zamanay kay liyah aa
kuch to meray pandarrr-e-mohabbat ka baram rakh
tu bhi to khabi mujh ko manany kay liyah aa
ek umar say hoon lazat-e-garya say bhi mehroom
ai rahat-r-jaan mujh ko roolany kay liyah aa
ab tak dil-e-khush feham ko hain tujh say umeedain
yeh akhiri shamain bhi boojanay kay liyah aa ..
notxtra
~pari~
MaYa.000
QurbatOn mEin Bhi Judai Kay zamanaY MangEy...
Dil wOh bay mEhEr rOunay kay Bahanay MangEy-!
Hum Na hOtay Tu kisi Or kay charchay hOtay...
KhalQat-i-shEhEr Tu kEhnaY kO Fasanay MangEy
yEhi Dil Tha kay Tarasta Tha Marasim kay liY...
Ab yEhi TarrQ e TaluQ kay Bahanay MangEy-!
Apna yEh Haal,Kay jEE haar chukay lutt bhi chukaY...
Or mOhabbat wOhi Andaaz puranaY mangEy-!
Zindagi Hum tEry DaaghOn sE rahaY shErminda...
Or tu hai kay sada Aaina khanay mangEy-!
shagufta malik
Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote
Rider Of Sucess
ab ke ham bichray to shaayad kabhi Khvaabon mein milein
jis tarah sukhe hue phool kitaabon mein milein
DhooNDh ujray hue logon mein vafaa ke motii
ye Khazane tujhe mumkin hai Kharabon mein milen
tu Khuda hai na mera ishq farishton jaisa
dono insaN hain to kyon itne hijabon mein milen
Gam-e-duniya bhi Gam-e-yaar mein shaamil kar lo
nasha berhta hai sharabein jo sharabon mein milein
aaj ham daar pe kheinche gaye jin baaton par
kyaa ajab kal vo zamane ko nisaabon mein milein
ab na vo mai.n hooN na tu hai na vo mazi hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamanna ke sarabon meim milein
~dArd~
wO Gaya tO Saath Hii Ley Gya Sabhi Rang Utaar Kay Shehar Ka
kOii Shakhs Tha Meray Shehar Mein Kisi dOor Paar Kay Shehar Ka
Chalo kOii Dil tO Udaas Tha, ChalO kOii Aankh tO Num Rahii
ChalO kOii Dar tO KhUla Raha Shab e InteZaar Kay Shehar Ka
Ye jO Main Nay Tazza Ghazal Kahi, sO hAi Nazr Ehal e FiraaQ Kii
K Na Mil Saka kOii Nama-Bar mUjhey Meray Yaar Kay Shehar Ka
sO Matta e jAan kO Liye hOye Palat Aaye Teray Garifta Dil
Kisay Baichtay K Milla Nahien kOii Aitbaar Kay Shehar Ka
Meray Tarz e NaGhma Saraaii Say kOii BaGhbaan Bhi tO KhUsh Nahi
Yeh Mera Mizaaj hAi Kya KarOn K hOn Main Bahaar Kay Shehar Ka
Kissi Aur dAis kii Oarr kO sUna hAi "Faraz" Chala Gaya
Sabhi dUkh Samait Kay Shehar Ka Sabhi Qarz Utaar Kay Shehar Ka
freeek
Ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan janaan
yaad kya dilayen tujhko tera pemaan janaan
yunhi mosam ki adaa dekh k yaad aya hai
kis Qadar jald badal jatay hain insaan janaan
zindagi teri ata thi so teray naam ki hai
hum ne jaisay bhi basar ki tera ehsaan janaan
dil ye kehta hai shayad ho afsurda tu bhi
dil ki kya baat karain dil to hai na-daan janaan
awal awal mohabbat k nashay yaad tu ker
be-piye bhi tera chehra tha gulistaan janaan
akhir akhir to ye alam hai k ab behosh nahi
rag-e-minaan sulagh uthi k rag-e-jaan janaan
mudaton say yehi alam na tawaQu na umeed
dil pukaray hi chala jata hai janaan janaan
hum bhi kya saada thay hum ne bhi samajh rakha tha
gham-e-doraan say juda hai gham-e-janaan janaan
ab k kuch aisi saji mehfil-e-yaraan janaan
sir ba-zanon hai koi sir ba-gir-e-baan janaan
her koi apni hi awaz say kaanp uth'ta hai
her koi apnay hi saey say hirasaan janaan
jisko dekho vohi zanjeer bapaa lagta hai
shahar ka shahar hua dakhil-e-zindaan janaan
ab tera zikr shayad hi kabhi ghazal main aye
aur say aur huay dard k unwaan janaan
hum k roothi hui rut ko bhi mana letay thay
hum ne dekha hi na tha mosam-e-hijraan janaan
hosh aya to sabhi khawab thay raiza raiza
jaisay urrtay huay auraaQ pareshan janaan
umarqureshi
ye meri nazmain
ye meri ghazlain
tamaam teri hakaayaten hain
ye tazkaray tere lutf ke hain
ye she'er teri shikaayaten hain
main sab teri nazar kar raha hoon
ye un zamanon ki sa'aten hain
jo zindagi ke naye safar main
tumhain kisi waqt yaad aayen
to ik ik harf ji uthay ga
pehen ke alfaaz ki qabaayen
udaas tanhaaiyon ke lamhon main
naach utthain gi apsarayen
mujhe tere dard ke ilawa bhi
aur dukh thay ye maanta hoon
hazar gham thay jo zindagi ki
talaash main thay ye jaanta hoon
mujhe khabar thee
ke tere aanchal main
dard ki rait chanta hoon
magar har ik baar tujh ko choo kar
ye rait rang-e-hina banee hai
ye zakhm gulzaar ban gaye hain
ye aah-e-sozan ghata banay hain
ye dard mauj-e-saba hua hai
ye aag dil ki sada banee hai
aur ab ye saaree mata-e-hasti
yeh phool, yeh zakhm
sab tere hain
ye dukh ke nohay
ye sukh ke naghmay
jo kal mere thay
wo ab tere hain
jo teri qurbat teri judaayi main
kat gaye roz-o-shab tere hain
eo tera shaayar
tera Mughanni
wo jis ki baaten ajeeb see theen
wo jis ke andaaz khusrawana thay
aur adayen ghareeb see theen
wo jis ke jeenay ki khwahishen bhi
khud us ke apne naseeb see theen
..
..
..
..
na pooch uska..
ke wo deewana
bahut dinon ka ujar chuka hai
woh kohkan to nahin tha laikin
kayee chattano se larr chuka hai
wo thak chuka hai
aur us ka tesha
usi ke seenay main garh chuka hai..
fairnas
savera
Chalo ek baar phir say ajnabi ban jain hum dono,
Na main tum say umeed rakhoon dil nawazi kee,
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazron say,
Na meray dil kee dharkan larkaray Teri baaton say,
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazron say.
Tumhain Bhi koi Uljhan roktee hai paish qadmi say,
Mujhey bhi log kehtay hain yeh jalway para-ay hain.
Meray humrah bhi ruswa-e-yan hain meray maazi kee,
Tumharay saath bhi guzree huee raaton kay sa-ey hain.
Taruff rog ho jaey tau usska bhoolna behtar,
Taalluq bojhe ban jaey tau uska torna acha.
Woh afsaana jissay anjaam tak lana na ho mumkin,
Ussay ik khoobsoorat mor day kar chorna acha.
Chalo ik baar phir say ajnabi ban jain hum dono
Amial Khan