View Single Post
  #25 (permalink)  
Old 26-03-2008, 02:10 AM
MaYa.000's Avatar
MaYa.000 MaYa.000 is online now
Kaisa yEh jUnOOn...
 

Join Date: Nov 2007
Location: dOzakh! Aana hai kisi nE? huhh
Posts: 6,601
Country: Users Flag!
Images: 12
Thanks: 12
Thanked 9 Times in 9 Posts
Rep Power: 7
MaYa.000 will become famous soon enough
Merey bass main ho to kabhi kahin

Koi sheher aisa basaoon main

Jahan fakhtaon ki phurpharahat sey naghma-e-raaz-e-hayat main

Jhunjhunati saanson ki jhanjharain jo chanak uthain

To dhanak k rangon main bheeg jain havaas tak

Jahaan chaand maand na ho kabhi, jahan chaandni ki rida buney

Mairi baanjh dharti k baasiyon ka libaas tak

Jahan sirf hukm-e-yakeen chaley! jahan be-nishaan ho qayaas tak

Jahan aadmiyat k nutq-o-lab pai na sheher-e-yaar ka khof ho

Jahan sarsaray na aadmi ki ragon main koi hiraas tak

Jahan vehem ho na dilon main vehem ka sehem ho

Jahan sach ko sach sey ho wasta

Jahan jugnuon ko hava dikhati ho raasta

Jahan khushbuon sey badalti rut ko hassad na ho

Jahan pastiyon sey bulandiyon ko bhi qud na ho

Jahan khuaab aankhon main jagmagain to....

Jism-o-jaan k sabhi dareechon main tergi ka guzar na ho

Koi raat aisi basar na ho keh, bashar ko apni khabar na ho

Jahan daagh daagh seher na ho

Jahan kashtiyan hon rawan dawan_to samandaron main bhanwar na ho

Jahan barg-o-baar sey ajnabi_koi shaakh, koi shajar na ho

Jahan chehchahatey huey parindon ko_barishon k azzab ka koi darr na ho

Merey bass main ho to kabhi kahin_koi sheher aisa basaoon main

Jahan barf barf mohabbaton pai_gham-e-jaan ka asar na ho

Rah-o-rasm-e-dunia ki bandishain_gham-e-zaat k sabhi zaaiqey

Sum-e-qaainat ki talkhiyan_kisi aankh ko bhi na choo sakain

Jahan mairi saans ki tazgi,tairi chahaton k kanwal main ho

Taira husn mairi ghazal main ho,jahan qaainat ki ik sadaf

Shab-o-roz k kisi pall main ho

Jahan noha-e-gham-e-zindagi,mairi hichkiyon sey ayyan na ho

Jahan loh-e-khaak pai ummr bha,kisi be gunnah k khoon ka

Koi daagh, koi nishaan na ho

Koi sheher aisa kabhi,,,,...kahin! jahan dhoop chaon galey milain

Jahan baanjh rut main bhi gull khilain

Jahan chahaton k hujoom main_kabhi geet ammn k gaoon main

Jahan zindagi ka rijz parhoon_jahan be khallal gungunaoon main!

Jahan moj moj ki aut main_tu kiran baney, muskuraoon main

Mairey bas main ho to kabhi kahin

Koi sheher aisa bassaoon main
__________________


JiYa mOra GhabrayE baabUl...
Bin bOlaY raha na jayE baabUl...

BaabUl mEri itni Arazz sUnn lijO
mOhaY sUnaar kaY ghar na dijO...
mOhaY Zaivar kabhi na bhaayE baabUl...
JiYa mOra GhabrayE baabUl...

BaabUl mEri itni Arazz sUnn lijO
mOhaY rAjA ghar na dijO...
mOhaY rAAj na kErna aayE baabUl...
JiYa mOra GhabrayE baabUl...

BaabUl mEri itni Arazz sUnn lijO
mUjhy lOOhaar kaY ghar daY dijO...
jO mEri zanjEErain PighlaayE baabUl...
JiYa mOra ghabrayE baabUl...
Reply With Quote