sUna hai...
Hazaron dukh pare sehna mohabbat mar nahi sakti
Hai tum se bus yehi kehna mohabbat mar nahi sakti
Tera har mere khat ko parhna, aur roo dena
Mera har baar likh dena mohabbat mar nahi sakti
Kiya tha hum nay campus ki nadi pay ik haseen wada
Bhale humko pare marna mohabbat mar nahi sakti
Pooranay ahad ko jab zinda karne ka khayal aaye
Mujhay bas itna likh dena mohabbat mar nahi sakti
poorany raabton ko phir naye wade ki khuawish hai
zara ik baar tu kehna mohabbat mar nahi sakti...!
Mujhy tu yEh lagta hai aap lOgOn kO kya lagta hai?
rEgards,
MaYa
