| kitni takleef ho tou cheekhoon ga
aaj yea baat aazmani hai
mein nai us say kaha keh aansooo hein
us nai mujh say kaha keh paaani hai
phir usi zakhm ko khurachna hai
phir woh hi chout mujh ko khani hai
phir woh hi hai sawal e koun o makaN
phir woh hi meri bay makani hai
aadmi kiya hai , aata jata hai
zindagi kiya hai, aani jani hai
__________________ |