| Kisii se kabhii Dil lagaayaa na thaa
Muhabbat kaa sadamaa uThaayaa na thaa
Hasiinon ke rone pe haNsate thAy hum
Kabhii ek aaNsuu bahaayaa na thaa
Ko_ii huur ho yaa parii, apanaa sar
kisii aastaaN par jhukaayaa na thaa
Siyaah gesuuon ko tamannaa Rahiiiii
Magar dil ko ham ne phaNsaayaa na thaa
Zamaane mein vo kaun thaa zohraa_vash
Ke seene se jiss ne lagaayaa naA thaa
Basar kii sadaa aish-o-isharat mein umr
Kabhii ranj hum ne uThaayaa na thaa
Magar ek jhalak ne hamein kho diyaa
yeh sadamaa to hum ne uThaayaa na thaa
__________________ If you like me, raise your hand, if you don't, raise your standard........ |