Walikum Salam Wa Remtul lahey wabrakatu hu
Dosto! Main aap ki koshishoon ko sarhata hoon, Magar koshish yeh honi chaiay
kay Forum ka waqar bahal rhey our kisi kay saath na-insafi na ho. yeh bhi kiya Pakistan ki politics ho gaee kay jis ko chaha utar diya our jis ko chaha
bitha diya. Yeh Forum hay sub ka. Iss main sub ko barabar ka haq hona chaheay. Jab tak hum ek general criteria nahi banaeen gay. kisi kay saath insaaf nahi ho gaa. Agar aap nayay our puranay members ko motivate kerna chahtay hain tu kun naa abb aap 2008 say shroo ker dain. Her members ki karkerdgi her ek section main posting (thread) ki buniyad per honi chaiay.
Lets say, Ek member ki posting Urdu adab main miari hain tu ussay Ek Blue STAR day dain, agar uss member ki thread Islamic section main hain tu ussay
GRREN STAR day dain. Iss trahan her members ki hosla afzaee bhi ho gee our members bajay SPAMMING kay achi post bhi krain gay. Humain esay members ki hosla afzaee kerni chaheeay jo Forum kay maqsad ko pura kray.
Wo log azeem hain jo hum sub ko FORUMPK platform per moqa fraham ker rahey hain kay hum sub tmaam duniya say ek doosray say networking krain. humain
iss say kuch hasil kerna chaheay kay hum azeem qoomoon ki saaf main karthay ho skain. yeh tammam zrayay ablag phelay mojood nahi theay.
But on the basis of new advance technology, it is possible now.
I will request my all respected members. PLZ Don't waist your time. I agree kay forum humain aasan tafreeh mohia kerta hay magar iss kay saath saath
humain ek dossray say faida uthaana chaeeay, I knew kay yaahan per sub he educated log mojood hain our her ek doosaray ki help kerna chata hay. tu kun naa hum yeh koshish main rahain kay humari post kesay increase ho, instead, humain sochna chaheay kay hum khood kiya day rahay hain our doosroon say kiya hasil ker rahay hain. Main kehna tu bohat kuch abhi chahta hoon BUT mazmoon bohat tweel ho gaya hay. shaied kuch log read bhi na krain.
Main mazrat kay saath kahta hoon kay yaqeen manieay iss main zraa baraber bhi koi politics ya kisi per tanqeed kerna nahi hay. Bus Ek mukhlasan guzarish hay kay sub mil jul ker kaam krain our iss forum ko ek missali family forum bananay main apna kirdar ada krain. PLZ again sochiya humaray liyay yeh lamha fikria hay.
Yeh sirf meri guzarshaat hain.. PLZ iss ko personal maat lain. Sub he Mashaalah bohat mehnat our lagan say kaam ker rahain hain. BUS FOCUS ki zroorat hay.
Ek martba phir Mazrat .. main nay apni tuti phooti urdu main likhnay ki saee ki hay our ziada ter yeh urdu main nay issi foprum per sekhi hay.
Ayeay sub miljulker kaam krain Nayay our puranay sub members ko Khusamdeed kahain.
Allah Nighabaan.. Pakistan Zindabaad


