| Bicharne walay
Chalay jo ho to bata k jao
K kitni shaamein udaas aankhon main kaat-ni hein
K kitni subhain akelay pann mein guzaarni hein
Bata k jao k kitne sooraj..azaab rastoon ko dekhna hai
K kitne mehtaab..sarrd raatoon ki wus-at-ton se nikaalne hein
Bata k jao k chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai
Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai
Bata k jao k kitne lamhay shumaar karne hein hijj ratoon kay
K kitne mousam aik aik kar k judaiyoon mein guzaarne hein
Bata k jao k panchiyoon ne akele pann ka sabbab jo poocha
Tou kaya kahoon ga?
Bata k jao ..main kis se tera gilla karoon ga Bicharr kay tujh se habbib..kis se mila karoon ga
Bata k jao k aankh barsi to kon moutii chuna karay ga
Udaas lamhoon mein dil ki dharkan suna karay ga
Bata k jao k mousamoon ko payaam dene hein ya nahee hain
Fallk ko,taroon ko,jugnooon ko salaam dene hein ya nahee hain
Bata k jao k kis pe hai aitebaar karna
To kis ki baatoon pe be-niyazi kay silsale ikhtiyaar karna
Bata k jao k abb ravviyoon ki chaal kiya ho
Jawaab kiya ho,sawaal kiya ho
Arooj kiya ho,zawaal kiya ho
Nighah,rukhsaar,zulff,chehra ..nidhaal kiya ho
Bata k jao k meri haalatt pe chaandani khikhila pari tou main kiya karoon ga
Bata k jao k meri soorat pe tairgi muskara parri tou
Main kiya karoon ga
Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai
Ujaarna hai? nikhaarna hai?
Chalay jo ho tou bata kay jao
kay loutna bhi hai ya................????????
__________________ [IMG]  om/sfuk5f.gif[/IMG] اے چشم فلک اے چشم زمیں ہم لوگ تو پھر آنے کے نہیں
دو چار گھڑی کا سپنا ہیں دو چار گھڑی کا خواب ہیں ہم
کیا اپنی حقیقت کیا ہستی’ مٹی کا ایک حباب ہیں ہم
دو چار گھڑی کا سپنا ہیں دو چار گھڑی کا خواب ہیں ہم۔۔ Life and death are different sides of the same coin |