| Amjad Islam Amjad titliyun k mosam mein nochna gulabun ka
reet is nagar ki hai aur janay kab se hai
dekh kr parindun ko baandhna nishanun ka
reet is nagar ki hai aur janay kab se hai
shaher ka yeh bashinda, nafratun ko boo kar bhi
intizaar kartay hain, fasal ho mohabbat ki
bhool kar hakeekat ko, dhoondna suraboon ka
reet is nagar ki hai aur janay kab se hai
tum abhi naya ho na, issi liya pareshan ho
aasmaan ki janib, is tarha mat dekho
aaftain jab aani hoon, tootna sitaroon ka
reet is nagar ki hai aur janay kab se hai
khamoshi mera shaiwa, guftagoo hunar un ka
meri be-gunahi ko loog kesay maanein ge
baat baat par maangna jawabun ka
reet is nagar ki hai aur janay kab se hai
ajnabi fizaon mein, ajnabi musafir sa
apne har ta'alluq ko daimee bana lana bicharna jab uska tu maangna duaon ka
reet is nagar ki hai aur janay kab se hai... |